Friday 26 April 2013

Kabhi Koi Aur Gandhi Aaye Ga

Hum gareeb hai badnaseeb hai, sabne hum ko tadapte dekha hai
Dil mein toofan uthey hai badhhaali k, aur ankhu ko baraste dekha hai

Yeh kaisee jindagi tune dee hai humko khuda. itna toh bata
Na chhath apne oopar hai, na khane ko daana bhi bacha
Har kadam pe muskil hai duswaari hai
Paisa kam hai aur badi bemaari hai
Apna kuch nahi na ghar na aagan
Jindagi kuch nahi bas udhari hai
Hum gareeb hai yeh naseeb hai apna
Hum ne dekha hai jinda rehna ka sapna
Tu maalik hai sab ka tune humko kyon taraste dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai ........................

Kya jeene ka sapna dekhna bhi gunha hota hai
Joh mere desh mein hota hai aur kahan hota hai
Gareeb aur gareeb ameer aur ameer hote gaye
Aaj wohi kaat rahe hain joh kal boote gaye
Aazadi apne kis kaam ki jab jeena bhi hai muskil
Janam dene wala hi kyon ban gaya hai katil
Maut sachai hai par iss tarah na aaye
Bhari jawani mein jindagi maut sang so jaye
Apni bednaseebi pe kuch logon ko yahan haste dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai...........................

Hum mein se kuch bina dava k marte hain
Kuch khud faansi lage k marte hain
Kuch footpath pe soye huve hi duiya se chhot jaate hain
Kuch bachuun k sapne paalne mein hi toot jaate hain
Kuch bina khaye peeye bhook na shikaar hote hain
Kuch toh bachpane se hi Polio se bekaar hote hain
Kon se bemaari hai joh apna saat nahi deti
Bedard hakumat hai wohi haat nahi deti
Bade bade netavun ko bade bade vaade karte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

Jis sehar kasbe gavon mein jahan bhi rehte hain
Humko aam log Vote Bank hi kehte hain
Hamari jindagi Electionun k dinu bethar ho jaati hai
Khijaan k baad jaise kisi gulashan mein bahaar aati hai
Kapde latte kambhal halwa poori bhi baanti jaati hai
Jindagi apni kuch dinu toh muskarati hai
Desi English har tarah ki sharaab peelai jaati hai
Roti k saat murge ki tangri bhi kheelai jaati hai
Apni jhuggiuun mein pasiun ko bhi chamakte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

Election k baad reh jaate hain hum vaadun k saharey
Uss k baad deekhai dete hain din mein bhi taare
Hum jaisa paida huve vaise hi mar jaate hain
Kabhi kabhi toh sadkun pe hi sardh jatte hain
Na apni Bhagwaan sunne na neta na adhikaari
Rote rote tadpte taraste hi kat jaati hai jindagi saari
Apni jindagi mein koi na kranti laye ga
Par intazar hai kabhi koi aur Gandi aaye ga
Maine bahut logon ko khuda se yeh duva karte dekha hai
Hum gareeb hai badnaseeb hai............................

No comments:

Post a Comment