Saturday 13 April 2013

Bada Sehar : Rajdhani


Na Raja bana na huva dil ka danni, yeh kaisee rajdhani hai
Gulshan kitne khile hai aaspass, dil mein magar bechaini hai
Iss sehar ko maine sab kuch diya bachpane se buraape tak
Yeh sehar itna bhooka hai kha gaya meri jawaani hai
Vachan jaye par pran na jaaye, iss sehar mein aisa hai chalan
Jis ki laathi ussi ki bhenes, taqatwar karta har manmaani hai

Mere gaon ka bachpan accha tha
Main garib tha par sacha tha
Sab jan mil jul k rehte they
Ghar aagan chahe kacha tha

Ab paisa mere pass hai khoob
Phir bhi na mittey iss ki bhook
Sukh chain par mere pass nahi
Na samaza kahan pe huvi hai chook

Kamre sab k alag hai ab
Door door rehte kyon hai sab
Pooja karne ka ghar mein mandir hai
Par door chala gaya hai rab

Saat saat rehne ka chalan hatt gaya
Alag alag rehne se pyar butt gaya
Jitni badi huvi deewaren
Pyar utna hi gutt gaya

Saat saat khana khane ko bhi
Main ab har roj hi tarsun
Mann mein itni aag lagi hai
Bina kaaran hi sab pe barsun

Khokhali ho gayi hai meri jindagi
Khul k jiyun toh bhi pabhandi
Amir hona gunha ho gaya
Mashoor ho k tabha ho gaya

Apni marzi se hasna muskil hai
Roh loon toh khabar ban jaye
Sab kuch pa k bhi maine kya paya
Khul k jeena bhi muje na aaye
Sirf meri yeh baat nahi hai, lakhun ki yehi kahani hai
Yeh sehar itna bhooka hai kha gaya meri jawaani hai

Sehar bada hai badi hain baathein
Rangeeniyaan le k khadi hain raatein
Malai sehar ki tujko bulaye
Jaye bina bhi raha na jaye

Kaam huvi main roj karta hoon
Jis ko karne se darta hoon
Atma jis ki nahi deti gawai
Lade mujse meri parchai

Phir bhi muje yehi kaam karna hai
Tabhi toh sabse aage badna hai
Peeche rehna ko haar hain kehte
Ik Raat k milan ko pyar hain kehte

Haar mujko bardash nahi hai
Kon kehta hai pyar ki pyas nahi hai
Par sabkuch deekhawe k liye hota hai
Akele mein mann bhi rohta hai

Mann ki baat sunavun kis ko
Geet bahut hain par gavun kis ko
Kisi geet k bole bhure hain
Kisi k sur hi besuru hain

Apni dunn bhi banayi na jaye
Dusare ki bhi churai na jaye
Besura ho gaya hai saara jeewan
Kis se poochain kahan gaya yovan

Dekho sehar mein koi naya aaya hai
Pooche maine kya khoya paya hai
Sukh chain shanti sab kuch kho k
Paisa daulat mehal chubare yehi mera sarmaya hai
Sab ko yeh sab kuch pata hai, nahi hoti kisi ko heraani hai
Yeh sehar itna bhooka hai kha gaya meri jawaani hai

No comments:

Post a Comment