Friday 26 April 2013

Pyar Ka Dukh

Tu jitna seh rahi se uss se kam keh rahi hai
Main yeh jaanta hoon bahut dukh seh rahi hai
Magar yeh pyar ka dukh hai bahut kaam aaye ga
Chahane walun ki ginti mein apna pehle naam aaye ga

Tu akeli nahi hai pyar bhi sang hai tere
Raste katin bahut par yaar bhi sang hai tere
Manzil joh door thee khud chal k pass hai aayi
Thodi see tu dari hai todhi hai ghabrai
Jaldi se tere mann ka bhar ho jaye ga halka
Kab tak dushman tumpe paryog karenge bal ka

Pyar ki jeet hogi tuje khusiyan milen gi
Sapne poore hongen chamakti akhiyan milege
Saat janmu ki mahobat ka sila bhi tujko mile ga
Dil ki bageechi ka har kona khila tujko mila ga
Apni marzi se phir tu jeena apni jindagi
Phir kisi ki mohtaaz kabi na hogi jindagi.

Kal tera toh khuda k haat mein hai

Pyar ka mazza toh pyari see mulakaat mein hai
Abhi toh mulakaat pe bhi lagi hai pabandi
Bichar k kab tak reh pavun ga main jinda tu jindi
Ik mulakaat ka nahi saari jindagi ka saat chahiye
Payr ka darya gehra hai paar karne ko tera haat chahiye

Bina dard sehe kisi ko khusi nahi milti
Kantun k sang na rahe toh kali bhi nahi khilti
Tere har dard ko dava mil jaye gi
Mere seene se aa k tu joh lipat jaye gi
Main bhi utna hi tadapa hoon tere bina barsun
Kab tu aayegi pakne lagi hai umar ki sarsun

Hum donu ka intazar ek din rang laye ga
Duniya ki nazrun mein bhi tu mera ho jaye ga
Wqat joh bhi jindagi ka baaki  hai bacha
Woh bhi maine tere hi naam hai laikha
Dukh kabhi na doonga tujko vaada hai mera
Tera sang jindagi betane ka erada hai mera

No comments:

Post a Comment