Wednesday 10 April 2013

Nazam : Mujko Mera Khuda Deejiye

Tuje mauf kar k tujko duva di, 
Khata thee tumari par khud ko saza di 

Teri galti mauf karne k kabil kahan thee 
Jahan thee burai khadi tu wahan thee
Behki nahi tu batakne lagi thee
Anjaane rahun pe chalne lagi thee

Apne aap se ladai karte karte
Apni hi nazrun mein hi girne lagi thee
Jab tera koi na tha, sahara diya hai
Mazdaar mein thee dhubi, kinara diya hai 

Bachaya hi nahi tuje savara hai maine 
Atma k haatun sahid haara hai maine 
Bachate bachate tuje pyar kar gaya main, 
Aur saari haaden paar kar gaya main. 

Maine pyar itna gehra sacha kiya hai
Ab pyar mera khuda ho gaya hai
Meri atma pe nahi bhoj koi
Khon kehta hai mujse gunah ho gaya hai

Mauf karna jindagi bachane pyar karna agar paap hai,
Toh is paap ki mujko saza deejiye
Le jahiye mere sab kuch joh mere pass hai
Par mujko mera khuda deejiye 

No comments:

Post a Comment