Tuesday 2 April 2013

Mera Chand

Koi chand mehla koi chand dundala, Koi chand daagi koi chand feeka, 
Mere chand ki chamak hi alag hai, mere chand k mathe pe teeka 

Mera chand zulfun k badalun se jab nikle
Toh cha jaye har taraf roshni see
Jab woh chhupa le khud ko badalun mein
Toh ho jaye har taraf raat see
Har ik k naseebun mein aisa nazara kahan hai
Sabhi doondate hain chera pyara khan hai
Sada mere aagosh mein rehne wala
Woh mera hai muje apni jaan kehne wala
Mujpe hi apni jawani lutaye
Kisi aur k woh pass bhi na jaye
Muje pyar karna wohi shikhaye. jisne mujse hi pyar karna hai sheekha
Mere chand ki chamak hi alag hai, mere chand k mathe pe teeka 

Meri sasun mein basa hai meri jindagi hai
Usse dekh k hi mahobat jaggi hai
Jab se uss ne kaha hai mujko apna
Poora ho chala hai mera har sapna
Mera sapna bhi woh hakkekat bhi who hai
Meharbaani bhi uss ki enayat bhi who hai
Us ski roshini meri ankhun mein rehti sada hai
Woh door ho k bhi mera hai nahi bewafa hai
Vaada hai uss ka chamkega mere asmaan pe
Par hakoomat karega who saare jahan pe
Bahut hi gazab ka hai who inssan, ajab hai uss k pyar karne ka tarika 
Mere chand ki chamak hi alag hai, mere chand k mathe pe teeka 

Mera chand mein nahi koi daag
Iss mein komalta hai nahi koi aag
Mera chand zara bhi meyla nahi hai
Kon kehta hai yeh pyar uss ka yeh pehla nahi hai
Mera chand dundala nahi saaf hai
Yeh katil bhi kar le toh mauf hai
Mere chand ka rang feeka nahi hai
Yeh mazadaar hai namkeen teekha nahi hai
Chamak iss mein aisee joh kisi mein nahi hai
Uss k gam mein bhi woh hai joh khusi mein nahi hai
Mann se mulayam hai roohi ki tarah, par bolta hai kadwa aur teekha
Mere chand ki chamak hi alag hai, mere chand k mathe pe teeka 


No comments:

Post a Comment