Sunday 7 April 2013

Jindagi Kitne Rang Badalti Hai


Jindagi kitne rang badalti hai 
Kabhi na rukti hai sada chalti hai
Jindagi kitne ...... 
Dost ban k kabhi saat chale muskil mein, 
Ban k dushman kabhi thugti hai chhalti hai 
Jindagi kitne ........


Jindagi kaise katte gi koi yeh jaane na
Yeh ik bhul bulayiyaan hai koi pechane na 
Sabko iss k kehe mutabik hi jeena padta hai
Par yeh apne hi kayede kanoon ko khud badalti hai
Jindagi kitne ........


Jindagi k ajeebo garib rang hote hain
Hum iss mein ho k bhi nahi iss k sang hote hain
Kabhi baharun mein bhi ujjar jaate hain gulshan 
Aur kabhi khijavun mein bhi shaakh khilti hai
Jindagi kitne ........


Jindagi aisa bhi wqat laati hai mahobat mein
Asar khatam hote dikta hai har ebbadat mein
Jis k saat rehna bhi hota hai muskil
Door ja k ussi ki kammi hi khalti hai
Jindagi kitne ........

Har ek insaan ko yeh jeene ka mokha deti hai
Rista accha ya bhura ho par anokha deti hai
Gumaan kisi bhi cheez ka na kar sab ka wqat hota hai
Jawani naam hai jis ka woh bhi dalti hai
Jindagi kitne ........


Iss ko samazna asaan hi nahi namumkin hai 
kitabun mein hai likha
Kyon yeh enaam deti hai aur kyon saza 
kisi ko nahi hai pata 
Kabhi kabhi kuch bhi apne bas mein nahi rehta
Kabhi kabhi jindagi bhi haat malti hai
Jindagi kitne ........

No comments:

Post a Comment