Thursday 11 April 2013

Naya Saal Nayi Pehal


Naya saal subh ho, hai yehi kaamna
Mann mein rahe sada, pyar ki bhawna
Din raat sab k, khusiyun mein katten
Muskilun se kisi ka, na ho saamna 

Ma k navrarate bhi suru hote hai aaj
Sunn lo tum apne dil ki awaz
Aaj se sach bholne ka kar lo sankalph
Ek saal mein ho jayegi teri kaya hi kalap
Kasam kha lo sachai k raho ge saat
Darr se kisi k aage na jhodo ge haath
Kathin dagar pe chalna pade agar
Jeet k tum khatam karna safar
Zaroorat mandu ki zaroorat karna poori
Aur girte huve ko bhi, tu thamna
Naya saal subh ho hai yehi kaamna
Mann mein rahe pyar ki bhawna


Pati yeh pran kare woh rakhe ga ghar ka dayaan
Patni ghar ki banaye rakhe agar shaan
Sharam parde mein bahu beti ka badhta rahe maan
Agyakaari ho bachha toh dega sab ko woh sammaan
Jis ghar mein hai maryaad uss ghar mein hai Ram
Naye saal mein tum karu sab acchhe hi kaam
Har ek din tu neeki ki rah pe chale
Teri ankhun mein sada deep asha ka jalle
Jis ghar mein kalesh hoga har subha aur sham
Aise ghar mein bassen ge, kabhi Ram na
Naya saal subh ho hai yehi kaamna
Mann mein rahe pyar ki bhawna

Apna naya saal hai pehal nayi kar k dekh
Phoolen k badle kaantun pe chal k dekh
Manjalein teri aasaan ho jayen gi
Khusiyaan door tujse kahan jayen gi
Kuch paane k liye kuch khona padta hai
Khusi zayada mille toh rona padta hai
Mata Rani se ja k kar le parathna
Sudh ho jaye gi teri antar atma
Aisa karne se jeewan hoga safal
Accha hoga tera, baat meri maanna
Naya saal subh ho hai yehi kaamna
Mann mein rahe pyar ki bhawna


No comments:

Post a Comment