Monday 15 April 2013

Fasli Bataer

Jidar chale hawa, udar gardhan guma dee
Jahan aag lage, wohi hi hawa dee
Charte suraj ko salaam karne wale
Apni atma ko nelaam karne wale
Zayadatar log aajkal aisay ho gaye hain
Khuda se bhi bhad k paise ho gaye hain
Jahan fasal pakke wohin bataer aate hain
Jab ashanka nahi hoti tabi sher aate hain
Bachh k rehna aisay fasli baterun se
Darna kabhi na kagji sherun se

Yeh fasli bataer fasal kha k baag jaate hain
Baatein bahut karte hai par kisi k kaam na atte hain
In ka ek hi makshad hai apna savarth siddh karna
Aap bhi maan lo meri baat mera saat na jiddh karna
Bachh k rehna aisay fasli baterun se
Darna kabhi na kagji sherun se

Main aap ko in ki sachai se karvata hoon roobaroo
Yeh pounach jaate hai har jagha soong ki khusboo
Chaploosi karna jhoot bhoolna hai in ka param dharam
Gadhe ko bhi baap kehne mein na aaye inne sharam
Bachh k rehna aisay fasli baterun se
Darna kabhi na kagji sherun se

Har jagha har sehar har samaz mein yeh hote hain
Jeet jayen toh badla lete hain har jayen toh rohte hain
Inn ka nahi koi mazhab na koi deen-emaan
Muskil pade toh sabse bachate hain apni jaan
Bachh k rehna aisay fasli baterun se
Darna kabhi na kagji sherun se

Jaate hain sab k pass yeh, chahe Neta ho ya Abhineta
Daftarun mein Boss bhi  inn ki sasun pe hai jeeta
Inn ko pehchaan paana muskil hi hi namumkin hai
Inn mein koi mera relative aur koi tera kin hai
Bachh k rehna aisay fasli baterun se
Darna kabhi na kagji sherun se

Jab tak fasal pakke gi jahan mein
Tab tak inno rehna hain
Imandaar nekh acche logon ko
Inn k karna dukh dard sehna hai
Aavo aaj yeh prann kar le
Fasli bataerun ko doond nikalen ge
Samza k behla k jaisa bhi ban pade
Inney apne sanchen mein dhale ge
Phir fasal zaroor pakke gi, par na aaye ga koi bataer
Phir apne samaz mein lag jayega, khusiyuun ka ooncha dher



No comments:

Post a Comment