Tuesday 16 April 2013

Sansun Se Milli Sansen

Sansun se mili sansen toh jeena aa gaya
Tere honton k payalun se muje peena aa gaya

Barsun lage mujko teri zulf ko choone mein
Armaan be tarastey they lakhun hi seene mein
Akele tanha rehte they sawaan k maheeney mein
Sahyid badi saadgii thee mere kareene mein
Tamana har ek dil ki puri ho gayi aakhir
Jab teri bahun k ghere k mera seena aa gaya

Pass aa k ik na hote aisa kabi na hota
Kab k tuje bana lete apna agar tu ajnabi na hota
Pyar mein hum youn khoye sabkuch bhula k
Saari jindagi jeena chahen tuje bahun mein sula k
Itna pyar kiya hai toot k humne tumko
Thakh haar gaye tum bhi aur muje paseena aa gaya

Har rang mein mila le ge hum pyar k rang ko
Jeene ka dang bana le ge hum tere hi dang ko
Teri zulfun se mausam badle ga badli badal chaye ga
Teri har ada se pyar karunga mujse rukha na jaye ga
Ik duje mein samanne ko kitna donu tarse hain
Tu hi bata ab kya karen sawaan ka maheena aa gaya

No comments:

Post a Comment