Dharkanu ne aaj mujse kuch kaha toh hai
Jinda hoon jeene ki koi waza toh hai
Koi mera kya begade ga yahan
Pass Ma ki mere duva toh hai
Kya chupaye ga, kis se chupaye ga tu
Dekhta sabkuch yahan khuda toh hai
Mehsoos kar le bahaar ko ab tu bhi
Khusboo mein ghuli todhi hawa toh hai
Kya huva tuje abhi mehsoos na huva
Tere dil mein mere liye jagha toh hai
Raat ki galtiyaan tu bhi sudaar sakta hai
Bulati tumko phir se nayi subha toh hai
Laaelaz hota hai pyar ka marz phir bhi
Sharaab ban jaati kabhi dava toh hai
Ishq kisi na kisi baat pe jaan luta dega
Husan k pass jaan leva har ada toh hai
Dil k tootne ki koi awaz nahi hoti “Chahat”
Maine bhoga hai mujko yeh pata toh hai
No comments:
Post a Comment