Wednesday 10 April 2013

Subha Ki Chabee

Mere sehar mein kal raat saari raat jaagi
Ek kone se dusare tak kitni bhar bhagi
Maazara kya tha poocha toh yeh jaana
Dhoond rahi thee woh subha ki chabee

Par subha ki chabee usse mil nayi payi
Raat bhar udas rahi sehmi sehmi gabrai
Uss k chere pe ik ajeeb sa darr dekha maine
Dasti ja rahi thee usse uss ki tanhai

Saari raat maine raat ko tadapte dekha
Kisi ajeeb see bhayanak aag mein jalte dekha
Na yeh raat rangeen thee na thee kaali
Na yeh raat nangi thee na matwali

Iss raat mein maine koi gunha bhi na hote dekha
Na kisi abla ko sadak pe khade rotey dekha
Koi loot katal ya daketi ki kabar bhi nahi aayi
Mujko bahut saaf nazar aayi raat ki parchai

Aisee raat muje subha se bhi lagi acchi
Maine dekhti suraksith Ma Behan Beti aur Bachhi
Kyon har roj aisee raat nahi aati
Acchi yeh bhi ho sakti hai kyon baat nahi atti

Mujse raha na gaya akhir maine pooch liya
Kya baat hai kyon na mili chabee tujko
Kyon koi na bana pa raha hai gulabi tujko
Kyon thang karta nahi koi saarbi tujko

Raat ne jab apni ankh kholi
Toh woh mujse se bholi
Din deeharde hi ab sabkuch hone laga hai
Swabhimaan izzat ab din mein hi khone laga hai
Loot daketi aur katal k liye ab meri zaroorat hi nahi
Jaise subha ki pehle hoti thee vaise ab soorat hi nahi

Aajkal har subha mujse bhi ho gayi hai kaali
Aaj kal subha ko bhi padne lagi hai gaali
Main raat bhar dhoond na payi subha hone ki chabee
Kyon ki chabee ko chura k le gaya hai
Balatkaari, dhokebaaz, badmas, gunda, apradhi aur sharaabi

No comments:

Post a Comment