Monday 1 April 2013

Pyar Ki Duniya

Pyar aur dil ki duniya ajeeb duniya hai
Iss mein mausam badalte rehte hain
Kabhi har khawish hoti hai poori
Kabhi armaan tadapte rehte hain

Pyar aur dil ka jahan bada nirala hai
Chahane wale hi taraste rehte hain
Kabhi zazbun mein khusi machalti hai
Kabhi ansu hi baraste rehte hain

Pyar aur dil ki kahani nassebun se chale
Main bhi kar loon pyar koi apna sa mille
Kabhi armaan k karwaan lut jate hain rahun mein
Kabhi umeedun aur arzoovun k chalte hain silsille

Har pyar karnewale ki alag kahani hai
Kisi ka tadpa hai bachpan kisi ki jawani hai
Bina dard sahey chhot khaye pyar milta nahi
Mehbooba aam ghar ki rahe ya raani hai

Raja Rani ka milan sirf khawabun mein hota hai
Pyar Raja ko bhi rank bana deta hai
Pyar andhe ko dikha deta hai duniya
Aur behre ko har raag suna deta hai

Gunge bhi pyar mein gazal gaate hain
Aam log bhi mashoor ho jaate hain
Pyar pathar dil ko bhi mulayam bana deta haii
Dard sehne wale bhi judai mein roh jaate hai

Pyar accha hai hai bhura yeh baat chodo
Bas itna jaan lo yeh sab ko milta nahi
Khass tarah ki mitti mein ugta hai is ka podha
Par kisi gamle mein kabhi khilta nahi

Pyar ko paana aasaan hai bahul muskil nahi
Par isse bachana khayam rakhna bahut hi muskil hai
Kuch khass dil hote hain jinne yeh milta hai
Har ek dil yahan pyar k kahan kabil hai

Main bhi khuskismat hoon tu bhi hai kismat wali
Pad rahi hai hum donu ko pyar karne ki gaali
Main tere naam ko chidvadun ga apne seene pe
Tu mere naam ki pehan lena Anguti aur Baali

No comments:

Post a Comment