Monday 8 April 2013

GAZAL: Aam Aadami Ki Kahani

Khul k kuch bhi na kiya, hamesha se hi tangi dekhi
Jindagi humne bachpane se hi, berangi dekhi

Laakh pardun mein chupate rahe jis ko hum
Wohi cheez bazarun mein sab ne nangi dekhi

Urti urti bedangi lambhi zulfun dekhi ik taraf
Dusari taraf gange ki haat mein khangi dekhi

Zismun k jalwun ki bholi lagi gali koochun mein
Aur wafa bewafai k rangun mein rangi dekhi

Betarteeb duniya ki sab cheezen kyon huvi hai
Tasveer duniya ki maine kitni bedangi dekhi

Garib mehnat kar k gujara kar raha hai tareeke se
Ameer logon k bachun mein hi hurdhangi dekhi

Kaisa jahan hai chup rahe toh log dabatey rahe "Chahat"
Haq k liye bhole toh phir sarri duniya gungi dekhi,

No comments:

Post a Comment