Friday 12 April 2013

Pyar: Kamzoori Ya Himmat

Pyar dil ko kamzoor bana deta hai
Shareef insaan ko b chor bana deta hai
Pyar ka asar har ek pe alag alag hota hai
Insaan kuch hota hai kuch aur bana deta hai

Maine b pyar kiya main b bahut badla hoon
Par abhi pyar ka asar tujpe poora na huva
Tune b pyar kiya aur tu b poori na badli
Tu bata de kya maine tere dil ko na chuva

Ashista ashista na badal wqat bahut kam hai
Tuje mere pass jaldi jaldi aana hai,
Jaldi jaldi se seekh le pyar k sab tareeke
Mere saat abhi tuje door tak jaana hai

Yeh aagaz hai pyar ka abhi lamba safar hai
Tu mere saat chali gi yeh dushman ko khabar hai
Ek duje ka sahara ban k chalna hai humko
Anjaan sehar hai pyar ka anjaani dagar hai

Raste mein dukh k darya hain dard k hai pahaar
Bach bach k nikalna hai jaana hai manzil tak
Nadiya pahaar se nikle gi lade gi chatannu se
Kyon usse apne paani ko le jaana hai sagar k jal tak

Pyar himmat bhi ban sakta hai agar sacha hai
Pyar kisi se bhi lad sakta hai agar sacha hai
Pyar paane ka hi naam nahi pyar na hai jeene ka
Premi shaan se mar sakta hai agar sacha hai

Apna pyar hai sacha par humko jeena hai
Sar jukha k chalte hain par chhora seena hai
Pyar mein apni mehanat ka rang bhi hai samil
Rang laye ga ik din yeh apna khoon paseena hai

Isliye kahen ge pyar insaan ko himmat deta hai
Jeena kaise hai yeh pyar seekha deta hai
Duniya se ladna aur jeetna sab k bas mein nahi “Chahat”
Sacha ho yaar toh yeh yaar seekha deta hai

No comments:

Post a Comment