Friday 26 April 2013

Mann Ki Nazar Se Tu Mera Pyar Tolna

Duniya ki nazar se kabi mujko na dekhna
Mann ki nazar se tu mera pyar tolna
Duniya tuje kahegi dusare to chunn muje chhod 
Sooch samaz k hi tu haan na bholna

Jeene k saare darwaze tujpe karenge bhand
Muje chhod dene pe tu kabi hona na razamand
Kuch dard aur seh k heera banegi tu
Rukmini Radha ya phir Meera banegi tu
Main shyam hoon tera tera hi rahunga sada
Jeene k liye chahiye muje tere anchal ki hawa
Main tere jindagi mein bharunga asmaani rang
Tu mere jeewan mein armit golna.
Mann ki nazar se tu ..................

Jab se tuje dekha hai tujko maana hai apna
Tere bina kisi aur ka kabhi dekha nahi sapna
Tu na milli toh jindagi ho jaye gi bemaza
Tujko banaana chahata hoon jeene ki har waza
Tere siva kisi ko dil k kareeb aaney nahi diya
Aur tujko dil se door kabhi jaane nahi diya
Tere bina nahi jeena yeh keh diya maine
Tu bhi zaroorat padne pe zubaan kholna
Mann ki nazar se tu .................. 

1 comment:

  1. maine bhi hamesha usi ko chaha kyon ye to maine bhiu nahi jana par tuhe hamesha se hai apna mana
    beinteha mohabat tumse ki hai aj se nahin barso se ki hai mujhe zamane ki parwah nahi par teri raja to aruri hai dil kehta hai main likh du ek kahani tere sang bhar k usme meri chahto k rang ki ban jaye hamari mohbt ek misal ki likha jaye hamari mohbt par bhi itihas janti hu main ................................................

    ReplyDelete