Wednesday 10 April 2013

Tu Mera Kyon Ho Na Paya

Tu mera kyon ho na paya, koi pooche, kahun kya main
Phool dil ka kyon murjaya, koi pooche, kahun ka main


Dil k badle dil lena yeh reet purani hai
Teri meri jaane jaan kyon alag kahani hai
Dil k badle dard mila uss ko bhi apnaya
Zakhmu k saat saat maine ruswai ko bhi paya

Har cheez se pyar kiya maine joh tumko pyari thee
Mujko lagta tha tu ab toh meri jimmewari thee
Lakin sabkuch ulta nikla, ass aur viswaas mera
Kaash k dil-o-jaan le k bhi, tu ban paata khass mera

Pyar kiya, kya khoya paya, koi pooche, kahun kya main
Tu mera kyon ho na paya------------------------


Sahid apni kismat aisee thee, tera koi dosh nahi
Aur sachai main na samjun, itna bhi behosh nahi
Duniya mein aur log bhi hain, jinko chahat aati hai
Chain muje joh de sakta hai, tera hi aagosh nahi

Tune mujko chhod diya, par bhool muje na paye gi
Tu bhi meri deewani thee, kabhi yaad tuje bhi aaye gi
Main tadap k sambhal gaya hoon, tu bhi tadpe gi ik din
Raatein teri bhi beetein gi, tanha tarrun ko gin gin

Bhool tuje main kyon na paya, koi pooche, kahun kya main
Tu mera kyon ho na paya...................................

No comments:

Post a Comment