Monday 1 April 2013

Dard Dene Wala


Dard dene wala agar ghair hota, hum dard ki dava kar lete
Hamare bina agar woh jee sakta, khud ko us se juda kar lete

Dard ka baadal kab se chaya hai, na barasta hai na dalta hai
Dil hai k tadapta rehta hai, na rukta hai na chalta hai
Din raat sulagta rehta hai na bujta hai na jalta hai,
Iss mein agar woh na rehte, isse bhi kab ka fana kar lete
Dard dene wala........................

Koi apna iss tarah dard dega kabhi gumaan na huva
Hamare dil k saat kya kya dekho yahaan na huva
Kisi ne poocha toh hall dik ka humse bayaan na huva
Ankh bhar aayi hosh urd gaye, nahi toh marne ki duva kar lete
Dard dene wala........................
Na jaane kyon bholi surat pe bharosa kar liya tha
Saare jahan ka pyar unn ki jholi mein bhar liya tha
Sang jeene ki cha mein main toh unn pe mar liya tha
Marna toh tha pyar mein, bethar tha daga kar lete
Dard dene wala........................

Hamere bin woh jee bhi na sakka aur mara bhi na
Aise jiya, kisi k pyar pe uttra, kabhi khara bhi na
Usse phir se apnaya badnami se main dara bhi na
Kaash kuch aisa hota "Chahat", usse hum phir se naya kar lete
Dard dene wala.....................



No comments:

Post a Comment