Thursday 18 April 2013

Tapasaya


Joh tere kadmu k nissan pe chal k tuj tak aaya
Tune uss k haat b na lagne diya apna saya

Lamba safar aur aadi umar kaatne k baad bhi
Teri yaadun k saharae jiya aur  raha tanha
Sab k vaste jis ne dhoond k layi khusiyaan
Dard judai ka uss ne kyon saha tanha
Gum sehta raha  aur yeh b nahi sooch paya
Pyar mein uss ne kya khoya kya paya.

Tu saari umar parchai ki tarah uss k saat chali
Uss ko logon ne badha sataya jab teri baat chali
Tune tukhraya hai usse sara sehar kehta raha
Woh hai k chupp reh k saare taane sehta raha
Ab teri marzi hai usse phir se chhod ya apna 
Aaj phir se tere liye woh pyar le k hai aaya

Kyon k deewanu ko bas pyar karna hai
Baaki naseeb mein milna bicharna hai
Tu uss ka hoga ya nahi wqat k haat mein hai
Uss ki umarbhar ki kamai ik mulakaat mein hai
Tuje dekh k mill k mulakaat kar ke
Usse lage ga k uss ki tapasaya nahi huvi zaya




No comments:

Post a Comment