Monday 15 April 2013

Kab Tak Chalega Apna Honeymoon

Oh jaanejaana shaadi k baad
Kab tak chalega apna honeymoon
Kab tak tu rahegi meri deewaani
Kab tak na ublega teri raagun ka khoon
Muje yehi darr laga huva hai
Pyar joh dil mein jagha huva hai
Jaldi hi kahein yeh soo na jaye
Tu dubara door ho na jaye
Subha abhi hai pyar ki, ban jaye na noon

Main chahata hoon apne gulistan k 
Phool sada khilte rahen
Pyar ik duje ko toot toot k karen
Jab b hum milte rahen
Wqat k saat saat aur pakka ho jaye
Apne pyar ka rang
Rahein chahey muskil ho ya aasaan
Hamesha chalen hum sang sang
Kuch bhi ho jaye kabi kam na ho apne pyar ka zanoon.
Oh jaanejaana shadi k baad....................

Garmi k mausam mein pasene paseene  ho k pyar karegen
Sardhi mein kambal ya razai ka pyar mein istamaal karegen
Barish mein beeg beeg k shanth karegen k badan ki tapan
Aur bahaar mein khile gulshan mein hoga tera mera milan
Meri bahun mein aa k sama jaan tu jab aayega moonsoon.
Oh jaanejaana shadi k baad.........................

Office se ghar aane k baad tumko bazar le k jaavun ga
Har satday sunday ko badi badi shopping karvavun ga
Hafte mein ek baar tujko Movie bhi dikhlavun ga
Mummy Papa k ghar pe bhi tere saat raat beetavun ga
Chutiyun mein kabhi jayen ge Kashmir kabhi jayen ge dehradoon
Oh jaanejaana shadi k baad............................

Muje lagta hai agar maine yeh saare vaade nibha liye
Phir kabhi bhi khatam na hogi apne pyar ki Movie
Aur sada chalta rahega apne pyar ka scene
Apne pyar k charche karen ge Computer aur TV
Khuda karn mera sapna poora ho gaye very soon
Oh jaanejaana shadi k baad............................



No comments:

Post a Comment