Tuesday 29 October 2013

Toofan Haara Hindustaan Jeeta

Phailin chakravaat na Bhola ban saka na Katrina
Jaaney bhi bacha lee humne aur muskil bhi na huva jeena

Sabhi deshvasiyun ki duvayen kar gayi kaam
Phailin ki raftaar pe lag gaya lagaam

Bahut tez chalne wali hawaein bhi rukh gayi
Honsale hamare dekh k laherein bhi jukh gayi

Tayaari toofaan se ladne ki liye apni bhi khoob thee
Science aur management ki hume acchi sooj bhooj thee

Kendra aur Rajya sarkarun mein tha accha taal mail
Army Navy aur NDRF ne badal diya sab khel

Lakhun logon ko suraksat sathanu pe pooncha k
Bharat ne karishma kar diya sabko bacha k

Mausam vibaag ne bhi kee sachi bavishvaani
Jitna anumaan lagaya utna hi barsa paani

Har ek sarkaari tantar ne kiya apna apna kaam
Chakravaat ki toofani andhi ko kar diya nakaam

Jitna andesha tha utna huva nahi nuksaan,
"Chahat" toofaan haar gaya aur jeet gaya Hindustan.

Monday 28 October 2013

Bhajan Ma Ka

Mere mann k mandir mein sada vaas kar le
Khatam meri ankhun ki tu pyas kar le
Tere bina maiya mera hoga na gujara
Tu malik hai meri muje daas kar le

Main insaan hoon mujhe mein bahut se hain avgunn
Phir bhi karna chahata hoon main tere aage samarpan
Magar meri itni mazbooriyan hain
Joh bada deti tujse meri duriyaan hain
Meri jindagi se lalach aur darr bhaag jaye
Muje Maiya tu apna bhagat ...khaas kar le
Mere mann ko Ma tu youn saaf kar le

Tujse kuch na kuch main roz maangta hoon
Aagyani hoon kamzoor hoon yeh bhi jaanta hoon
Kuch na kuch galat kar k main banta hoon paapi
Par tu dayalu maiya de deti hai maufi,
Main apne mann se rooz kehta hoon Mata
Tuje paana hain muskil par tu paryaas kar k

Kuch Aur Rubiyaan

Muje pyar karna pyar paana ebadat sa lage
Kuch maangna kisi se jaise shikayat sa lage
Main kaam aavun kisi k muje iss ka janoon hai
Muje insaanu k kaam aana hi mahobat sa lage.

               ---------------------------
Pyar kar k dekho toh pata chale ga tuje
Kon see cheez hai aisee joh tere pass nahi

Yeh aur baat hai k log pyar bina jee leta hain
Par kon aisa hai jisse pyar ki pyas nahi.

                     ---------------------------
Laut k kabhi na jaana uss rah pe aey dost
Jis rah pe luta tha tere dil ka karwaan
Jis ne tere pavun se nikaali thee teri zameen
Woh de na saake ga tuje kabhi tere asmaan.
                  --------------------------------
Tume khus dekh k tere dushmanu ko aag lagti hai
Khuda kare tu sada khus rahe aur jalen dushman
Tu sachhe raste chalta ja aur karta ja acche kaam
Aur yeh duva kar k teri tarah tere falen dushman

                     ---------------------------
Ankhun mein dard aur malaal aata hai
Jab bhi mujko tera khayal aata hai
Yaad aati hai jab teri bewafai
Mere khoon mein ubhal aata hai

           ------------------------
Teri tasveer mein tere dil ki jalak dikhti hai
Har seh mein teri hi shakal dikhti hai
Koi aur naazneen mere dil ko baati nahi
Har haseena muje teri nakal dikhti hai

                     --------------------------

Jindagi hogi toh phir hi maut aye gi usse
Kuch suru hoga toh tabhi hi khatam hoga
Shaadi se pehle talaq ho nahi sakta "Chahat"
Mata Pita k bina bachhe ka kya janam hoga.
             ------------------------------
Log mujhse tere baare mein, jab poochte hain
Main kisi ko bhi, koi jawaab de nahi paata
Tere baad kuch dost, toh bane hain mere
Par main kisi ko, dil ka hisaab de nahi paata
Dil k kagaz pe, khoon se likne wale bhi aaye
Par main kisi ko, dil ki kitaab de nahi paata.

Thursday 24 October 2013

Geet :Muje Bahaar Ka Intajaar Nahi

Muje bahaar ka intajaar nahi
Mera sanam hai khila khila
Dil ko bhi mehkata hai woh
Muje pyar jis se hai milla
Mere dil ko bahut sakoon hai
Barabar rangun mein khoon hai
Jab se tujko paya hai maine
Kaabu mein dil ka zanoon hai
Meri arjooen hain satmey assman
Aur duniya se nahin koi ghila
Muje bahaar ka...........
Abhi pyar ki shuruwaat hai
Abhi poori karni har ek baat hai
Janmu k bichre huve they hum
Ab phir se huvi mulakaat hai
Yeh pyar barsun ka nahin
Janmu tak chale ga silsilla
Muje bahaar ka............
Yeh to naseeb ki baat hai
K meri Jaan mere saath hai
Chere pe uss k hai khusi
Haatun mein apna haat hai
Bas itna sa dil ko yeh malaal
Woh pehla kyon nahin milla
Muje bahaar ka.............

"Chahat" tu khud pe kar ghumaan
Tu bhi ban gaya hai kissi ki Jaan
Muskilun mein raha par sacha pyar
Jukha nahi seh gaya toofan
Pyar tera utna hi aage bhada
Jitne kadam tu hai chala
Muje bahaar ka .........

Wednesday 23 October 2013

Geet: Humey Milna Hai Khilna Hai, Aaye Gi Bahaar

Waqt hum ko mokha, de ga zaroor
Humey milna hai khilna hai, aaye gi bahaar
Ek ho ke poori hongi, apni sabhi kwahisien
Humey karna nahin hai, ab zara bhi intazar

Yeh judai umar bhar nahi rehne wali hai
Tu be sunn baat sabko, yeh kehne wali hai
Meri har saans ab tera hi naam leti hai
Khoon ban k ragun mein tu behne wali hai
Jaan be tum ko dene ko main hoon ab taayar
Humey milna hai................

Mil mujse, tu nazarein churaata hai kyon,
Darr zamane ka tum ko saatata hai kyon,
Jab khuda ne tum ko baanaya mera,
Phir zamana hamare beech aata hai kyon,
Jeet apni hai,zamane ki honi hai haar.
Humey milna hai..................

Hum mille ge nazaara jahan dekhe ga,
Zameen dekhe gi humey aasmaan dekhe ga,
Jab mahoobat ka jhikar aaye ga kahin,
Humey dekhe ga zaamana aur kahan dekhe ga,
Humey milna hai har janam youn hi bhar bhar
Humey milna hai.............................

Tuesday 22 October 2013

Phir Meri Tamanna Kyon Aaj Tak Hai Aadhuri

Tune keh to diya, tu meri hai, poori ki poori
Phir meri tamanna kyon aaj tak hai aadhuri
Ek hi mulakaat mein ban gaya hoon tera
Aur yeh bhi jaanta hoon, kya teri hai mazboori

Tu is taran se meri hogi nahin thee khabar
Ab to saath rehna hai hum ko umar bhar
Dilo deemag se hum ek ho chuke hain magar
Jismu ka milna bhi bahut hi hai zaroori

Aa kabhi mill aise ke phir juda na ho
Tu mujh se roothe aisee koi waja na ho
Pyar itna sacha ho k koi dagha na ho
Kal mita lenge hum aaj joh bhi hai doori

Apna pyar alag hoga alag kaahani hogi
Main tera deewaana tu meri dewaani hogi
Budape mein bhi apne beech jaawani hogi
Phir har arzoo hamari kaise na hogi poori

Kuch Dino Mein Kissi Aur Ki Hai Hone Wali

Khaylun mein saath mere, jagane sone wali
Kuch dino mein hai kisi aur ki hone wali

Yeh khabar sunn k dil ke huve hain tukre
Kisi ko dikha sakta nahi, main soorat roone wali

Do mulakatun mein jis se mahobat kar li

Dehke Jaana pooja Khuda jaisee ibadat kar li
Wohi Kar jaye gi mere dil ko tanha khali

Khush reh k saathi ke sang gujaar apni jindagi

Khil mehak chehak aur sanwaar apni jindagi
Kya huva phool koi agar ab bana tera maali

Muje lagta tera mera janmu ka rista hai koi
Tuje vapis laye ga pass mere aisa rasta hai koi
Manzil bhi nikle gi apni dehki bhali

Pass mere sab khusiyaan hain bas ik tera gham hai
Tu kaise rahe gi yeh sooch k ankh bi nam hai
Kisi k dil mein kya tu hai samane wali

Monday 21 October 2013

Aa Kabhi Aise Toh Aa, Jaane Ka Kabhi Naa Naam Le

Aa kabhi aise toh aa, jaane ka kabhi naa naam le
Pyas agar tujko lage, toh meri ankun ke jaam le
Main dil ko hatheli pe liye, khada hoon tere raste
Yeh toffa bada hai keemati, par tu isse bina daam le

Tere saath jo gujre sanam, wohi to pal hain jindagi
Tere gam be muje aise lagen, jaise mili ho koi kushi
Dil jigar to tere paas hai,ab jindagi ka naam le

Bachpan mein to kaise thi, yeh muje pata nahin
Jawaani mein kyon ho gayi, tu sanam itni haseen
Main tera banu ga sada ke liye, tu haath mera thaam le
 
Tu hai kissi aur ki, phir bi muje meri lagi
Humey milne mein meri jaan, kyon itni dheri lagi
Meri raatein hamesha se hain teri, ab subha aur sham le
 
Main apni saari jindagi tere naam karna chahata hoon
Tere saat khoob jee k, tere saat marna chahata hoon
Main raja hoon pyar k gaon ka, tu bana muje gulaam le

 
 

Bina Dekhe Bina Jaane, Tujse Pyar Kar Liya

Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya
Dil ko bhada karaar tha, bekaraar kar liya


Tuje Chuva bina hi, tuj mein saama gaye
Har ek ang se pyar kiya,apna tuje bana gaye
Deewani tu be ban gayi, khud pe khumar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Hum dono mile bhi nahi, phir bhi bana lee duniya alag
Gham bhi apne honege juda, aur hongi kushiyan alag
Jis mein naa ho koi teesara, jahan aisa tayaar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Jab se aaye ho jindagi mein, khusiyan huvi hain meharbaan
Tere kadam zamin pe nahin, aarjooyen teri bhi hain asmaan
Tu be lipat ja mujse, teri bahun ko haar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Muje lagta hain apne milan mein, khuda ka koi haat hai
Hume kyon milaya usne, yeh raaj ki koi baat hai
Mausum tha khajan ka, usse tumne bahaar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Tamanna yehi hai k ek baar, ab tera deedar ho
Sapnu mein to kar liya, hakeekat mein bhi pyar ho
Pyar mein aisa  maza milla, maine bhar bhar kar liya.
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya


Monday 14 October 2013

Tu Mera Hai Mujko Hi Mill Jaye Ga

Tu hawavon mein hai, tu fizavon mein hai
Tuje aaana kal meri hi bahoon mein hai
Yeh sapna hakeekat mein badal jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Main yahan tu wahan, beech mein fasley
Phir bi tuj tak jayen mere saare rastey
Ankun ke kamal aur, hootun ke gulab
Kya rakhen hain tune, mere vastey
Mere pyar ki bahaar jab aaye gi
Tere dil ka har phool, khil jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Aaj hum hai juda kal to hoga milan
Ek mulakaat say badla mera maan
Tuj ko paane ko tarse mera har aang
Urdh rahi hai badan mein meethe si aagan
Is aagan mein piglen ge jab apne badan
Judai ka saara zaher, jismoon se kinal jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Duniya ka darr hai par, khuda pe yakin hai muje
Apna gharonda na udde ga, hawa pe yakin hai muje
Mere pyaar se lag jaye gi tere zakhmu pe marham,
Mera maraz be theek hoga teri dava pe yakin hai muje
Hum aise mille ge k dehke ga zamana
Bujey dil ka deep phir se jal jaye ga.

Geet : Kismat Se Milli Ho Ab Chod Ke Naa Jaana

Kismat se milli ho, ab chod ke naa jaana
Tum se milke maine phir seekha muskarana

Kehney ko duniya ki har khusi mere paas thee
Par tujse milne k pehle jindagi bahut udas thee
Tune khila diya hai mere dil ka aasiyana
Tum se milke maine phir ................

Dil yeh kehta hai tuj pe nisaar doon saari khusiyan
Tuje dekhne ko taras rahi hain meri bechain akhiyan
Ek pal ke liye hi apni surat toh deekhana
Tum se milke maine phir................
 
Jab hum tum millenge manzar kaisa hoga
Meri ankun mein khusiyun ka samundar kaisa hoga
Kuch pal ke liye tu be iss mein dhooob jana
Tum se milke maine phir................
 
Tu chahe tuje khud hi kissi ke haat main thama doon
Tu meri ho k bhi meri nahin yeh jahan ko bata doon
Jism tera ho kissi ka, par dil mujse hi lagaana
Tum se milke maine phir................