Wednesday 13 March 2013

Kitni Ajeeb Hai Duniya, Kaisa Ajab Chalan Hai

Kitni ajeeb hai duniya, kaisa ajab chalan hai
Maut aati hai jab badan ko, toh marta pehle mann hai

Khuda dil mein ab nahi hai basta,
Insaan ne doond liya hai har rasta
Maut se bhi ladai hai jaari
Hamesha jinda rehne ki hai tayaari
Ab sitare bhi pass hi hain. aur asmaan bhi huva ha neeche
Insaan sitarun pe ja raha hai, sab kuch chod k peeche
Ab koi nahi keh sakta, sirf  Bagwaan ka gagan hai
Kitni ajeeb.................

Apne hi kinaru ko darya khud hi khaye
Kinaru se hi wazood hai uss ka yeh bhi bhool jaye
Safar apna aasaan karne ko pahadun ko bhi kaatey
Kisi ko fayada poonchaye kisi ko de de gaatey
Gardish mein hi rehta sada uss ka kan kan hai
Kitni ajeeb.................

Pyar joh karta hai zayada, wohi pyar ko aajmaye
Sacha chahanewala hi kasme vaade karta jaye
Joh bewafa hain unne hai jism se hi mahobat
Jhoota ashiq wohi joh har baat pe kasme khaye
Koi dekh nahi sakta, uss k dil mein joh jalan hai
Kitni ajeeb.................

Pyar ki kadar nahi hai, jism hain pooje jaate
Wohi oonche samje jayen, joh kapde hai kam lagate
Jin k pass gyan hai, woh mar rahe hain bhooke
Danwaan kisi bhi cheez ko, paane se na chooke
Is duniya mein "Chahat" ab sab se bada hi dan hai
Kitni ajeeb.................


No comments:

Post a Comment