Saturday 30 November 2013

Kya Pyar Issi Ko Kehte Hain

Mulakaat na ho toh bebasi
Milne mein dheri ho toh betaabi
Kya pyar issi ko kehte hai
Kya mahobat aisa hi karti hai.

Mere saath aisa pehle na huva
Kisi ne achanak mujko joh chuva
Aur yeh keh k woh door gaya
K mujko tumse pyar huva

Ab apni aisee haalat hai
Dil ban gaya ek adalat hai
Khud hi apne fasale kare
Aur khud hi karta vakalat hai
Kehta hai tum bhi  marro uss pe
Joh tume dekh k aayen bharti hai.
Kya pyar issi ko kehte hai
Kya mahobat aisa hi karti hai.

Yeh kaise huva rah chalte chalte
Koi mila aur usse dekhte hi ik baar
Woh sada ankun mein rehta hai
Aur dil karta hai ussi ka intazaar

Ab main pehle jaisa kahan raha
Na who daur raha na samahan raha
Kyon iss more pe aa k pyar huva
Na bhuda hoon na jawan raha
Kya main bhi deewanu ho javun uss ka
Agar woh ladki mujpe marti hai
Kya pyar issi ko kehte hai
Kya mahobat aisa hi karti hai

Ab pyar huva toh hone do
Muje sapne odh k soone do
Muje pankh lage k urne do
Pyar asmaan mein bone do
Pyar mila jise uss ki duniya
Bina pyar k jeena jeena nahi
Pyar k liye joh marr na sake
Uss ka toh choda seena nahi
Main bhi kisi se darta nahi
Kyon ki mahobat na duniya se darti hai
Kya pyar issi ko kehte hai
Kya mahobat aisa hi karti hai.

Geet : Raat Toh Aa K Chali Jaye Gi

Raat toh aa k, chali jaye gi
Tu na aayi hai, tu na aaye gi
Jis tarah din k rulaya hai mujko,
Vaiise hi raat bhi rulaye gi,
Raat toh aa k .....................

Baat ik raat ki karun kya main
Toote har zazbaat ki karun kya main
Maine zakhm gehre khaye hain
Phir bhi duniya se sab chupaye hain
Naya zakhm aur de k jaye gi
Raat toh aa k ...........................

Pyar mein sikwe gile toh zaroori hain
Par muje zakhm kyon mile nasoori hain
Meri khata yehi k main bewafa nahi
Tabhi mere naseeb mein likhi wafa nahi
Jindagi k andherun ko kuch aur badaye gi
Raat toh aa k ...........................

Ek raat ki hi baat agar hoti
Meri sirf ik khawaish hi sooti
Par mere saare sapne toote hain
Saathi aa k aisse jagha pe choote hain
Jahan phir loo kabh na aaye gi
Raat toh aa k ...........................

Tuesday 29 October 2013

Toofan Haara Hindustaan Jeeta

Phailin chakravaat na Bhola ban saka na Katrina
Jaaney bhi bacha lee humne aur muskil bhi na huva jeena

Sabhi deshvasiyun ki duvayen kar gayi kaam
Phailin ki raftaar pe lag gaya lagaam

Bahut tez chalne wali hawaein bhi rukh gayi
Honsale hamare dekh k laherein bhi jukh gayi

Tayaari toofaan se ladne ki liye apni bhi khoob thee
Science aur management ki hume acchi sooj bhooj thee

Kendra aur Rajya sarkarun mein tha accha taal mail
Army Navy aur NDRF ne badal diya sab khel

Lakhun logon ko suraksat sathanu pe pooncha k
Bharat ne karishma kar diya sabko bacha k

Mausam vibaag ne bhi kee sachi bavishvaani
Jitna anumaan lagaya utna hi barsa paani

Har ek sarkaari tantar ne kiya apna apna kaam
Chakravaat ki toofani andhi ko kar diya nakaam

Jitna andesha tha utna huva nahi nuksaan,
"Chahat" toofaan haar gaya aur jeet gaya Hindustan.

Monday 28 October 2013

Bhajan Ma Ka

Mere mann k mandir mein sada vaas kar le
Khatam meri ankhun ki tu pyas kar le
Tere bina maiya mera hoga na gujara
Tu malik hai meri muje daas kar le

Main insaan hoon mujhe mein bahut se hain avgunn
Phir bhi karna chahata hoon main tere aage samarpan
Magar meri itni mazbooriyan hain
Joh bada deti tujse meri duriyaan hain
Meri jindagi se lalach aur darr bhaag jaye
Muje Maiya tu apna bhagat ...khaas kar le
Mere mann ko Ma tu youn saaf kar le

Tujse kuch na kuch main roz maangta hoon
Aagyani hoon kamzoor hoon yeh bhi jaanta hoon
Kuch na kuch galat kar k main banta hoon paapi
Par tu dayalu maiya de deti hai maufi,
Main apne mann se rooz kehta hoon Mata
Tuje paana hain muskil par tu paryaas kar k

Kuch Aur Rubiyaan

Muje pyar karna pyar paana ebadat sa lage
Kuch maangna kisi se jaise shikayat sa lage
Main kaam aavun kisi k muje iss ka janoon hai
Muje insaanu k kaam aana hi mahobat sa lage.

               ---------------------------
Pyar kar k dekho toh pata chale ga tuje
Kon see cheez hai aisee joh tere pass nahi

Yeh aur baat hai k log pyar bina jee leta hain
Par kon aisa hai jisse pyar ki pyas nahi.

                     ---------------------------
Laut k kabhi na jaana uss rah pe aey dost
Jis rah pe luta tha tere dil ka karwaan
Jis ne tere pavun se nikaali thee teri zameen
Woh de na saake ga tuje kabhi tere asmaan.
                  --------------------------------
Tume khus dekh k tere dushmanu ko aag lagti hai
Khuda kare tu sada khus rahe aur jalen dushman
Tu sachhe raste chalta ja aur karta ja acche kaam
Aur yeh duva kar k teri tarah tere falen dushman

                     ---------------------------
Ankhun mein dard aur malaal aata hai
Jab bhi mujko tera khayal aata hai
Yaad aati hai jab teri bewafai
Mere khoon mein ubhal aata hai

           ------------------------
Teri tasveer mein tere dil ki jalak dikhti hai
Har seh mein teri hi shakal dikhti hai
Koi aur naazneen mere dil ko baati nahi
Har haseena muje teri nakal dikhti hai

                     --------------------------

Jindagi hogi toh phir hi maut aye gi usse
Kuch suru hoga toh tabhi hi khatam hoga
Shaadi se pehle talaq ho nahi sakta "Chahat"
Mata Pita k bina bachhe ka kya janam hoga.
             ------------------------------
Log mujhse tere baare mein, jab poochte hain
Main kisi ko bhi, koi jawaab de nahi paata
Tere baad kuch dost, toh bane hain mere
Par main kisi ko, dil ka hisaab de nahi paata
Dil k kagaz pe, khoon se likne wale bhi aaye
Par main kisi ko, dil ki kitaab de nahi paata.

Thursday 24 October 2013

Geet :Muje Bahaar Ka Intajaar Nahi

Muje bahaar ka intajaar nahi
Mera sanam hai khila khila
Dil ko bhi mehkata hai woh
Muje pyar jis se hai milla
Mere dil ko bahut sakoon hai
Barabar rangun mein khoon hai
Jab se tujko paya hai maine
Kaabu mein dil ka zanoon hai
Meri arjooen hain satmey assman
Aur duniya se nahin koi ghila
Muje bahaar ka...........
Abhi pyar ki shuruwaat hai
Abhi poori karni har ek baat hai
Janmu k bichre huve they hum
Ab phir se huvi mulakaat hai
Yeh pyar barsun ka nahin
Janmu tak chale ga silsilla
Muje bahaar ka............
Yeh to naseeb ki baat hai
K meri Jaan mere saath hai
Chere pe uss k hai khusi
Haatun mein apna haat hai
Bas itna sa dil ko yeh malaal
Woh pehla kyon nahin milla
Muje bahaar ka.............

"Chahat" tu khud pe kar ghumaan
Tu bhi ban gaya hai kissi ki Jaan
Muskilun mein raha par sacha pyar
Jukha nahi seh gaya toofan
Pyar tera utna hi aage bhada
Jitne kadam tu hai chala
Muje bahaar ka .........

Wednesday 23 October 2013

Geet: Humey Milna Hai Khilna Hai, Aaye Gi Bahaar

Waqt hum ko mokha, de ga zaroor
Humey milna hai khilna hai, aaye gi bahaar
Ek ho ke poori hongi, apni sabhi kwahisien
Humey karna nahin hai, ab zara bhi intazar

Yeh judai umar bhar nahi rehne wali hai
Tu be sunn baat sabko, yeh kehne wali hai
Meri har saans ab tera hi naam leti hai
Khoon ban k ragun mein tu behne wali hai
Jaan be tum ko dene ko main hoon ab taayar
Humey milna hai................

Mil mujse, tu nazarein churaata hai kyon,
Darr zamane ka tum ko saatata hai kyon,
Jab khuda ne tum ko baanaya mera,
Phir zamana hamare beech aata hai kyon,
Jeet apni hai,zamane ki honi hai haar.
Humey milna hai..................

Hum mille ge nazaara jahan dekhe ga,
Zameen dekhe gi humey aasmaan dekhe ga,
Jab mahoobat ka jhikar aaye ga kahin,
Humey dekhe ga zaamana aur kahan dekhe ga,
Humey milna hai har janam youn hi bhar bhar
Humey milna hai.............................

Tuesday 22 October 2013

Phir Meri Tamanna Kyon Aaj Tak Hai Aadhuri

Tune keh to diya, tu meri hai, poori ki poori
Phir meri tamanna kyon aaj tak hai aadhuri
Ek hi mulakaat mein ban gaya hoon tera
Aur yeh bhi jaanta hoon, kya teri hai mazboori

Tu is taran se meri hogi nahin thee khabar
Ab to saath rehna hai hum ko umar bhar
Dilo deemag se hum ek ho chuke hain magar
Jismu ka milna bhi bahut hi hai zaroori

Aa kabhi mill aise ke phir juda na ho
Tu mujh se roothe aisee koi waja na ho
Pyar itna sacha ho k koi dagha na ho
Kal mita lenge hum aaj joh bhi hai doori

Apna pyar alag hoga alag kaahani hogi
Main tera deewaana tu meri dewaani hogi
Budape mein bhi apne beech jaawani hogi
Phir har arzoo hamari kaise na hogi poori

Kuch Dino Mein Kissi Aur Ki Hai Hone Wali

Khaylun mein saath mere, jagane sone wali
Kuch dino mein hai kisi aur ki hone wali

Yeh khabar sunn k dil ke huve hain tukre
Kisi ko dikha sakta nahi, main soorat roone wali

Do mulakatun mein jis se mahobat kar li

Dehke Jaana pooja Khuda jaisee ibadat kar li
Wohi Kar jaye gi mere dil ko tanha khali

Khush reh k saathi ke sang gujaar apni jindagi

Khil mehak chehak aur sanwaar apni jindagi
Kya huva phool koi agar ab bana tera maali

Muje lagta tera mera janmu ka rista hai koi
Tuje vapis laye ga pass mere aisa rasta hai koi
Manzil bhi nikle gi apni dehki bhali

Pass mere sab khusiyaan hain bas ik tera gham hai
Tu kaise rahe gi yeh sooch k ankh bi nam hai
Kisi k dil mein kya tu hai samane wali

Monday 21 October 2013

Aa Kabhi Aise Toh Aa, Jaane Ka Kabhi Naa Naam Le

Aa kabhi aise toh aa, jaane ka kabhi naa naam le
Pyas agar tujko lage, toh meri ankun ke jaam le
Main dil ko hatheli pe liye, khada hoon tere raste
Yeh toffa bada hai keemati, par tu isse bina daam le

Tere saath jo gujre sanam, wohi to pal hain jindagi
Tere gam be muje aise lagen, jaise mili ho koi kushi
Dil jigar to tere paas hai,ab jindagi ka naam le

Bachpan mein to kaise thi, yeh muje pata nahin
Jawaani mein kyon ho gayi, tu sanam itni haseen
Main tera banu ga sada ke liye, tu haath mera thaam le
 
Tu hai kissi aur ki, phir bi muje meri lagi
Humey milne mein meri jaan, kyon itni dheri lagi
Meri raatein hamesha se hain teri, ab subha aur sham le
 
Main apni saari jindagi tere naam karna chahata hoon
Tere saat khoob jee k, tere saat marna chahata hoon
Main raja hoon pyar k gaon ka, tu bana muje gulaam le

 
 

Bina Dekhe Bina Jaane, Tujse Pyar Kar Liya

Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya
Dil ko bhada karaar tha, bekaraar kar liya


Tuje Chuva bina hi, tuj mein saama gaye
Har ek ang se pyar kiya,apna tuje bana gaye
Deewani tu be ban gayi, khud pe khumar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Hum dono mile bhi nahi, phir bhi bana lee duniya alag
Gham bhi apne honege juda, aur hongi kushiyan alag
Jis mein naa ho koi teesara, jahan aisa tayaar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Jab se aaye ho jindagi mein, khusiyan huvi hain meharbaan
Tere kadam zamin pe nahin, aarjooyen teri bhi hain asmaan
Tu be lipat ja mujse, teri bahun ko haar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Muje lagta hain apne milan mein, khuda ka koi haat hai
Hume kyon milaya usne, yeh raaj ki koi baat hai
Mausum tha khajan ka, usse tumne bahaar kar liya
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya

Tamanna yehi hai k ek baar, ab tera deedar ho
Sapnu mein to kar liya, hakeekat mein bhi pyar ho
Pyar mein aisa  maza milla, maine bhar bhar kar liya.
Bina dekhe bina jaane, tujse pyar kar liya


Monday 14 October 2013

Tu Mera Hai Mujko Hi Mill Jaye Ga

Tu hawavon mein hai, tu fizavon mein hai
Tuje aaana kal meri hi bahoon mein hai
Yeh sapna hakeekat mein badal jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Main yahan tu wahan, beech mein fasley
Phir bi tuj tak jayen mere saare rastey
Ankun ke kamal aur, hootun ke gulab
Kya rakhen hain tune, mere vastey
Mere pyar ki bahaar jab aaye gi
Tere dil ka har phool, khil jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Aaj hum hai juda kal to hoga milan
Ek mulakaat say badla mera maan
Tuj ko paane ko tarse mera har aang
Urdh rahi hai badan mein meethe si aagan
Is aagan mein piglen ge jab apne badan
Judai ka saara zaher, jismoon se kinal jaye ga
Tu mera hai mujko hi mill jaye ga.
 
Duniya ka darr hai par, khuda pe yakin hai muje
Apna gharonda na udde ga, hawa pe yakin hai muje
Mere pyaar se lag jaye gi tere zakhmu pe marham,
Mera maraz be theek hoga teri dava pe yakin hai muje
Hum aise mille ge k dehke ga zamana
Bujey dil ka deep phir se jal jaye ga.

Geet : Kismat Se Milli Ho Ab Chod Ke Naa Jaana

Kismat se milli ho, ab chod ke naa jaana
Tum se milke maine phir seekha muskarana

Kehney ko duniya ki har khusi mere paas thee
Par tujse milne k pehle jindagi bahut udas thee
Tune khila diya hai mere dil ka aasiyana
Tum se milke maine phir ................

Dil yeh kehta hai tuj pe nisaar doon saari khusiyan
Tuje dekhne ko taras rahi hain meri bechain akhiyan
Ek pal ke liye hi apni surat toh deekhana
Tum se milke maine phir................
 
Jab hum tum millenge manzar kaisa hoga
Meri ankun mein khusiyun ka samundar kaisa hoga
Kuch pal ke liye tu be iss mein dhooob jana
Tum se milke maine phir................
 
Tu chahe tuje khud hi kissi ke haat main thama doon
Tu meri ho k bhi meri nahin yeh jahan ko bata doon
Jism tera ho kissi ka, par dil mujse hi lagaana
Tum se milke maine phir................ 

Monday 30 September 2013

GAZAL; Meri Ankhun Mein Ab Gamun Ki Barsaat Nahi Hai

Meri ankhun mein ab, gamun ki barsaat nahi hai
Dil ko joh dard de, dil mein woh baat nahi hai

Accha bhala lagta hoon main khushaal dikta hoon
Log kehte hain jin din se, tu mere saat nahi hai

Muje uss ki yaad naa aaye aisa din nahi atta koi
Uss ka koi sapna naa aaye, aise koi raat nahi hai

Ik ajeeb sa rista ban gaya hai apne beech mein
Hum dost hain par apni, koi mulakaat nahi hai

Maana apne saath bahut. bhura kiya hai duniya ne
Sab kismat pe choda diya hai, joh apne haat nahi hai

Achha waqt hai aur dil ka, mausam bhi khusgawaar
Aur ab ankhun mein bin badal, barsaat nahi hai

Dil toota. sapne bikhre. sanse okhr/i phir bhi hain jinda
Kon kehta hai, yeh kudrat ki karamaat nahi hai

Bewafa se pyar karna, hai himaat aur jigre ki baat
Phir bhi tu jeeta hai "Chahat", teri maat nahi hai


 

Aap Kaho Aur Hum Naa Maane Aise Toh Halaat Nahi

Aap kaho aur hum naa maane aise toh halaat nahi
Aap ki khatir naa machlen aise dil k zazbaat nahi
Door rehte hain toh kya huva rista phir bhi gehra hai
Yaad kiye bin din nahi ugta aur aati koi raat nahi
Aap ka har dukh aur sukh ko mehsoos jab main kar leta hoon
Kon kehta hai hoti aap k dil se mere dil ki baat nahi.
                        -----------------------
Ab jaan gaye hain hum k tu naseebu mein nahi hai
Isliye choda hai ankhun ne khawabun ko dekhna

Mujhe ab tak yaad hai woh school ka manzar
Tere mujko dekh k phir kitabun ko dekhna.

                           ------------------------
Joh kismat se mila tujko usse apna maan k
Tu bhi dekhti ja sapne kisi apne jahan k
Ek din tere vaste bhi nikle ga koi chand
Logon se nahi tu bas apne khuda se maang.

                     ---------------------------
Dekh k meri surat ko log kehte hai aajkal
Yeh basti ho aabaad thee kaise ujhar gayi,
Kaise kahen kisi se k pyar ki arzoo mein

Saath dete dete apna apni kismat bigar gayi.
                      ---------------------
Ansu mere ankun k tuje, sunaate hai woh kahani
Joh sunna nahi sakta main, tujko moun zubaani
Mujhe kamzoor na samaj tu, mujhe mein badi hai himmat
Main roh padta hoon, baat dil ki, jab muskil ho bataani.

                            ------------------
Ab jaan gaye hain hum k tu naseebu mein nahi hai
Issliye choda hai ankhun ne khawaabun ko dekhna.
                          -----------------------
Dil ki sehai se maine likh diya hai pyar
Ankhun k deep jala k karta hoon intazar
Ab teri hi marji hai tu aaye ya na aaye
Tujpe luta chuka hoon apne jeewan ki bahaar.

                           ----------------
Pyar ho toh ankhun mein chirag jalta hain
Chera chamakata hai aur gulaab khilta hain
Yaar k naam ka simran tuje karna hoga
Bina simran kisi ko khuda kahan milta hain.

                      --------------------
Muje pyar karna pyar paana ebadat sa lage
Kuch maangna kisi se jaise shikayat sa lage
Main kaam aavun kisi k muje iss ka janoon hai
Muje insaanu k kaam aana hi mahobat sa lage.

                      ------------------------
Maana k waqt hai darya par iss k paani ko,
Choo k joh jaan jaye wohi insaan hai kamyaab,
Paani ko apne rang mein joh rang le uss ki duniya
Tere haath mein hai bana amrit ya isse banne de shraab.
                         --------------------------
Pyar kisi ki rahun mein dewaar ban nahi sakta,
Sachhi neeyat na ho toh pyar ban nahi sakta
Kismet ka khel hai saara jisse hum pyar kehte hain
Khuda ki marji na ho toh koi yaar ban nahi sakta.
                 --------------------------------

Sunday 29 September 2013

Dosti

Dost ban k saath dena badi himmat ka kaam hai
Pyar kar k saath dena toh mazboori hai
Dosti mein dil demaag zazbaat khayalaat sab milte hain
Jism se jism ka milna nahi zaroori hai.

Apne riste ko dosti tak hi rehne de

Pyar mein badal k isse kamzoor na kar
Mera vaada hai main tera saath umar bhar doonga
Oh mere dost tu bhi kuch aur na kar.

GAZAL : Kis Ko Deekhayen Hum Khuda Veeraniyan Dil Ki

Kis ko deekhayen hum khuda veeraniyan dil ki
Kon hai yahan joh sunne ga paresaniyan dil ki

Teri tarah saara jahan paise k peeche hai pyar k nahi
Issliye acchi nahi lagti kisi ko naadaniyan dil ki

Meri tarah kitne hi hain pyar mein toote huve

Tu dekh k kya karen ga purani neeshaniyan dil ki

Apne apne hisse k gum sab ko milen hain pyar mein

Dil ko bada tadpati hain chote puraniyan dil ki

Har insaan banawati mokhta pehne huva hai jee raha

Phir bhi chere pe saaf dikhen paresaniyan dil ki

Dil ka kya hai aaj tera aur kal kisi ka ho gaya

Aaj k daur mein ho sakti nahi nigraniyan dil ki

Tu hi bata k haale dil hum ja k sunnaye kisse

Jab tum ko bhi jhooti lagti hain kahaniyan dil ki

Jindagi ki daud toh bina kayade k chal rahi hai aajkal

Jeetene wale nahi sunte hain nakaamiyaan dil ki

Tu muje chod k chala jaye ga kabhi soocha na tha

Mujhe hi pata nahi kya hai badgumaniyan dil ki

Kuch saal pehle ki baat hoti toh uthe k le jaate tuje

Chahat ab dhal chuki hai saari jawaaniyan dil ki

Apna Rista

Apna rista jaisa bhi hai ajeeb hai rista
Mere dil k bahut hi kareeb hai rista
Apni takdeer mein kya hai yeh khuda jaane
Par ban gaya ab mera naseeb hai rista. 

Mera farz hai iss ko paal k rakhna
Dil k bahut andhar sambhal k rakhna
Khein koi isse cheen k na le jaye
Apne sanche mein iss ko dhal k rakhna
Yeh mere dil ko sakoon deta hai
Kon kehta hai garib hai rista.

Chahanewale ladte hain roothte hain
Log kehte hain riste bante tootey hain
Ristun ko sambhal k rakhna bada zaroori hai
Kabhi dil k arzoo kabhi mazboori hai
"Chahat" tang karta hai yeh kabhi kabhi mujko
Phir bhi nahi mera rakeeb hai rista.

Thursday 26 September 2013

Waqt Muje Waqt Bewaqt Kehta Hai

Waqt muje waqt bewaqt kehta hai
Muje uss ka hisaab dena hai
Ek lamha bhi jo kiya hai jaya
Uss ka poora jawaab dena hai

Sach bolne ki hidayat hai
Kar sakta hoon joh sikayat hai
Kuch bhi chupana nahi hai mujko
Khol k dil ki kitab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Pyar kar k kuch nahi paya
Pyar ajeeb hai kuch samaz nahi aaya
Jis ne churai hai meri needen
Ussi ki needun ko khawaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Jindagi bil kul banawati ho gayi hai
Bheed mein yeh khein ko gayi hai
Taqatwar k aage jukte hain sabhi
Garib ko dard aajaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Kitne khudgarz ho gaye hai riste
Log chalne lage hai burai k raste
Pehle lagani hai kisi k zazbun mein aag
Phir thanda karne ko aab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Sukh dekh k kisi ka khus tu kyon nahi hota
" Chahat" yeh jaanna zaroori kyon mahi hota
Nafrat jin logon se main karta hoon
Unn ko hi tohfa nayaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Wednesday 25 September 2013

Dil ki Baat Aise Bhi Kahi Jaati hai

Tuje dekh k apne hone ka aishash hota hai
Main jee udhti hoon jab bhi tu mere pass hota hai
Teri ankhun mein jab dekhti hoon apne liye khawaab
Tu mera hai sirf mera hai mujhe vishwash hota hai.

                               ---------------
Meri ankhun se mere dard ko pehchanane wale
Meri muskarahat kyon tuje feeki na lagi aaj
Kya huva kyon tere pyar mein aa gaya hai fark
Kyon chere ki chamak tujko jhooti na lagi aaj.

                                 ---------------------
Muskilun mein sabar karna aasaan nahi hota
Sabar joh karta hai woh ban jaata hai insaan
Sukh mein bhi joh na badle apne rang aur dhang
Aisa joh kar sakke wohi ho jaata hai mahaan.

                                 -----------------------
Bas itna sa pyar de muje, k baaki ki jindagi
Tera naam le le k main kaatun aaraam se
Pyar se badi koi khusi hoti nahi, yeh jaan k
Main apnu mein baaki khusiyaan bantu aaraam se.
                       ------------------------
Aey dost mere kabhi bhi apne, aise naa halaat they
Naa teri sansun mein thee gutan, naa hontun pe sawaalaat they
Dukh aaye ya sukh mille, moun mor k kabhi naa hum chale
Muskil waqt jab bhi aaye, tab bhi hum donu saat saat they
                              ---------------------------
Par ab yeh kya ho gaya hai, apne pyar ko
Khijaan loot k le gayi, apni bahaar ko
Maine kitni jeete darz ki hain, teri khatir "Chahat”
Kyon dil se laga liya, tune meri ek haar ko

                              -----------------------------
Main kabhi bhi tuje chod k ja sakta hoon, yeh jaan le dost
Main phool nahi khusboo hoon, hawavun mein bikhar sakta hoon
Maana mujh mein kush kammiyaan hain, par phir bhi 'Chahat"
Tera saath agar mila toh, badal sakta hoon sanvar sakta hoon.

                              ----------------------------
Teri talash kya karunga apni talash mein
Kab se main bhatak raha hoon anjaan rastun mein
Tujse naya rista jodhne ki chah mein
 "Chahat" daraar pad gayi hai mere apne ristun mein.
                             ------------------------------
Aurat ko samaj paana gyan hi nahi vigyan bhi hai
Aurat jindagi bhi deti hai aur maut ka samaan bhi hai
Kaash k hum bhi samaj pate aurat ki andar ki baat
Aurat paheli hai jisse suljaane ka dil mein armaan bhi hai
                   --------------------

Meri khata ki mujko saza deejiye
Par khata kya hai yeh toh bata deejiye
Agar pyar karna khata hai meri
Toh dil ka kehdi bana deejiye
Agar aur koi khata hai meri
Toh feshala abhi hi suna deejiye
Kyon k ashiq hote hain bade besabar
Yaad rakhiye yeh naa bhula deejiye.

                  ---------------------------
Maine ristun ko paise se bada samja yehi meri khata nikli, 
Main haatun ki maiel kehta raha par daulat hi khuda nikli
Zaroorat padi toh bhag gaye mere sabhi ristedaar,
Paisa k aage feeka pad gaya mere dil ka saara pyar
Yehi waza thee k wafa ki devi bhi bewafa nikli,
                                ----------------------
Mamta mein pyar hai, aur pyar mein hai mamta
Bacha jisse kehte hain, sirf haad mass se nahi banta
Ma doodh k saat khoon pila k, uss ka jeewan savarti hai
Ma Baghwan agar nahi to uss ki pooja aur aarti hai.

                         --------------------------
Waqt k saat acchi ya bhuri har seh badalti hai
Roop rang feeka padta hai umar aur jawani dalti hai
Par acche insaan k acche gunn waqt k nahi mohtaaj
Acche insaanu ki jundagi waqt se aur aur savarti hai.

                        ----------------------------
Tere pyar ki khatir main sehta raha har ek dard
Maine sunna tha har dead ki dava pyar hai
Naa dard mera kam huva naa tu hi aa k mila
Mere dard ko aaj tak dava ka intazaar hai.

                            -----------------------
Na Hindu rahe ga khatre mein,Sikh Isaie na Musalmaan
Agar har ek Hindustani ban k rahe sirf sacha insaan
Jis ka dil dharakta ho desh ki khatir naa k dharam k liye
Joh apna neta chunta ho vote deta ho sirf karam k liye.

Friday 20 September 2013

Yeh Meri Deewangi Hai


Zara sa imtihaan le mera, todha nirash hone de
Tu mera ho sakta hai, muje vishwash hone de
Khein aisa na ho yeh jaan k, jaan chali jaye meri
Tu mera ban chuka hai, dil ko aishash hone de.

--------------------------------------------------
Iss se pehle k tu mere dil se utar jaye
Iss se bethar hai k tu door hi chala jaye,
Door javo ge toh yaad aavo ge kabhi kabhi
Dil se uttare toh ban javo ge ajnabhi
-------------------------------------------------
Tu muje chod k jaye gi main kabhi maanta nahi tha
Ab yeh maanta hoon k tuje poora jaanta nahi tha
Anjaane mein hi sahi maine sachi mahobat ki hai
Khuda mile na mile maine ebadat ki hai
------------------------------------------------------
Apni dewaar k saaye bhi ab apne na rahe
Main dekh raha hoon aajkal woh mujko goorte hain.
----------------------------------------------------------------
Patni ne kahi aur pati ne maani,kaatni pade gi beta aisay hi jawaani
Pati ki baat patni maanti hai, kitabu mein milti hai aisee kahani.

--------------------------------------------------------------------
Toote aishash ki tarah dil mein, reh jaati ho kabhi kabhi
Yaad ban k muje mein bassi ho, keh jaati ho kabhi kabhi
Sansun mein bas jaavo aisay, phir jaana kabhi na ho
Ankhu se ansoo ban k kyon beh jaati ho kabhi kabhi.

----------------------------------------------------------
Barbaad jis ne kiya muje wohi mujse kehta hai
Apni salamati ka khayal mujko hi karna hai
Hai pyar jis na naam woh karna nahi aasaan
Kabhi marr k jeena hai kabhi jee k marna hai.
----------------------------------------------------------
Chand bhi mera nahi aur sitare bhi gher hain
Main tanha hoon akela hoon kaisa asmaan hoon
Apni talash mein kab se phir raha hoon "Chahat"
Koi mujse keh gaya tha main achha insaan hoon.

------------------------------------------------------
Mere ghar k chirag ko hawavun ka darr nahi
Dil ki lo se iss ko jalaye huve hoon main

---------------------------------------------------
Har ek ko kheinch leni chahiye, apne liye ek luxman rekha
Aur uss k andhar hi chalani chahiye, apne jeewan ki noka

------------------------------------------------------
Seene se lag k uss ne, peeth pe kiya vaar
Gale laga k joh aaye tha, karne mujse pyar
Bahut bada dokha tha, kha liya maine "Chahat"
Par ab uth gaya hai mera, mahobat se aitbaar.

--------------------------------------------------
Itni bhi na dher kar, mere yaar aane mein
K umar kaatni pade muje, tujko bhulane mein
Jab se kiya hai pyar, tab se fikar hai "Chahat"
K tera naam kaisa aayega, mere fasane mein.

------------------------------------------------------
Tadapte huve aey yaar muje na chod raste mein
Khusiyaan lene gaya tha tere hi vaste main
Manjil pe ponchane ki umeed ab kahan
Sabkuch mera lut gaya ek hi hadse mein.
---------------------------------------------------------
Kuch log jindagi mein, duva ki tarah aaye
Kuch badnaseebe ki tarah aaye, barbaad kar gaye
Tum kyon chale gaye, jab aaye they duva ban k
Poocho na humne kya hum, tere baad kar gaye.

------------------------------------------------------
Wafa ka meri sila kuch toh ho
Wafa mein muje mila kuch toh ho
Usse pura haq hai naraaz hone ka
Magar pehle mujse gila kuch toh ho

------------------------------------------
Yaad kisi ko kiya na jaye, yaad toh aa jaati hai
Kabhi khusi ko le k aaye, kabhi rula jaati hai
Teri yaad k haatun mein mera jeena marna hai
Kabhi gehri neend muje de, kabhi jaga jaati hai

---------------------------------------------------------
Apna rista aisa hai ulja hiva, nakaam ho gayi hai suljane ki koshishein saari
Aisa lagta hai hamare pyar k peeche, pad gayi hain jahan ki muskilein saari
Pyar mein sabar ka imtihaan dete dete, thak gayi hain apni dharkane saari
Itna waqt ho gayi hai intazar karte karte, dam todhne lagi hain "Chahat" hasratein saari

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tala kismat ka khul gaya jaise
Tu muje aa k mil gaya vaise
Dekh k tujko mere saath log kehte hain
Himalaya parbat hil gaya kaise
Kya yehi hai jisse log pyar kehte hain
Tu sansun mein gul gaya jaise.

----------------------------------------
Unn ki khamoshi keh gayi hai mujko bahut see baatein
Main zubaan khol k bhi unn se keh saka naa pyar hai
Yeh kaisa more aa gaya hai rah mein chalte chalte
K koi apna hi apne beech mein ban gaya dewaar hai.
-----------------------------------------------------------------
Bahaar bhi chali gayi, tumare intazar mein
Dil k phool na khile, kyon apne pyar mein
Kaisa alag ajeeb sa, hum donu ka pyar hai
K jeet see mehsoos ho, dil ki haar mein.

---------------------------------------------------