Monday 30 September 2013

GAZAL; Meri Ankhun Mein Ab Gamun Ki Barsaat Nahi Hai

Meri ankhun mein ab, gamun ki barsaat nahi hai
Dil ko joh dard de, dil mein woh baat nahi hai

Accha bhala lagta hoon main khushaal dikta hoon
Log kehte hain jin din se, tu mere saat nahi hai

Muje uss ki yaad naa aaye aisa din nahi atta koi
Uss ka koi sapna naa aaye, aise koi raat nahi hai

Ik ajeeb sa rista ban gaya hai apne beech mein
Hum dost hain par apni, koi mulakaat nahi hai

Maana apne saath bahut. bhura kiya hai duniya ne
Sab kismat pe choda diya hai, joh apne haat nahi hai

Achha waqt hai aur dil ka, mausam bhi khusgawaar
Aur ab ankhun mein bin badal, barsaat nahi hai

Dil toota. sapne bikhre. sanse okhr/i phir bhi hain jinda
Kon kehta hai, yeh kudrat ki karamaat nahi hai

Bewafa se pyar karna, hai himaat aur jigre ki baat
Phir bhi tu jeeta hai "Chahat", teri maat nahi hai


 

Aap Kaho Aur Hum Naa Maane Aise Toh Halaat Nahi

Aap kaho aur hum naa maane aise toh halaat nahi
Aap ki khatir naa machlen aise dil k zazbaat nahi
Door rehte hain toh kya huva rista phir bhi gehra hai
Yaad kiye bin din nahi ugta aur aati koi raat nahi
Aap ka har dukh aur sukh ko mehsoos jab main kar leta hoon
Kon kehta hai hoti aap k dil se mere dil ki baat nahi.
                        -----------------------
Ab jaan gaye hain hum k tu naseebu mein nahi hai
Isliye choda hai ankhun ne khawabun ko dekhna

Mujhe ab tak yaad hai woh school ka manzar
Tere mujko dekh k phir kitabun ko dekhna.

                           ------------------------
Joh kismat se mila tujko usse apna maan k
Tu bhi dekhti ja sapne kisi apne jahan k
Ek din tere vaste bhi nikle ga koi chand
Logon se nahi tu bas apne khuda se maang.

                     ---------------------------
Dekh k meri surat ko log kehte hai aajkal
Yeh basti ho aabaad thee kaise ujhar gayi,
Kaise kahen kisi se k pyar ki arzoo mein

Saath dete dete apna apni kismat bigar gayi.
                      ---------------------
Ansu mere ankun k tuje, sunaate hai woh kahani
Joh sunna nahi sakta main, tujko moun zubaani
Mujhe kamzoor na samaj tu, mujhe mein badi hai himmat
Main roh padta hoon, baat dil ki, jab muskil ho bataani.

                            ------------------
Ab jaan gaye hain hum k tu naseebu mein nahi hai
Issliye choda hai ankhun ne khawaabun ko dekhna.
                          -----------------------
Dil ki sehai se maine likh diya hai pyar
Ankhun k deep jala k karta hoon intazar
Ab teri hi marji hai tu aaye ya na aaye
Tujpe luta chuka hoon apne jeewan ki bahaar.

                           ----------------
Pyar ho toh ankhun mein chirag jalta hain
Chera chamakata hai aur gulaab khilta hain
Yaar k naam ka simran tuje karna hoga
Bina simran kisi ko khuda kahan milta hain.

                      --------------------
Muje pyar karna pyar paana ebadat sa lage
Kuch maangna kisi se jaise shikayat sa lage
Main kaam aavun kisi k muje iss ka janoon hai
Muje insaanu k kaam aana hi mahobat sa lage.

                      ------------------------
Maana k waqt hai darya par iss k paani ko,
Choo k joh jaan jaye wohi insaan hai kamyaab,
Paani ko apne rang mein joh rang le uss ki duniya
Tere haath mein hai bana amrit ya isse banne de shraab.
                         --------------------------
Pyar kisi ki rahun mein dewaar ban nahi sakta,
Sachhi neeyat na ho toh pyar ban nahi sakta
Kismet ka khel hai saara jisse hum pyar kehte hain
Khuda ki marji na ho toh koi yaar ban nahi sakta.
                 --------------------------------

Sunday 29 September 2013

Dosti

Dost ban k saath dena badi himmat ka kaam hai
Pyar kar k saath dena toh mazboori hai
Dosti mein dil demaag zazbaat khayalaat sab milte hain
Jism se jism ka milna nahi zaroori hai.

Apne riste ko dosti tak hi rehne de

Pyar mein badal k isse kamzoor na kar
Mera vaada hai main tera saath umar bhar doonga
Oh mere dost tu bhi kuch aur na kar.

GAZAL : Kis Ko Deekhayen Hum Khuda Veeraniyan Dil Ki

Kis ko deekhayen hum khuda veeraniyan dil ki
Kon hai yahan joh sunne ga paresaniyan dil ki

Teri tarah saara jahan paise k peeche hai pyar k nahi
Issliye acchi nahi lagti kisi ko naadaniyan dil ki

Meri tarah kitne hi hain pyar mein toote huve

Tu dekh k kya karen ga purani neeshaniyan dil ki

Apne apne hisse k gum sab ko milen hain pyar mein

Dil ko bada tadpati hain chote puraniyan dil ki

Har insaan banawati mokhta pehne huva hai jee raha

Phir bhi chere pe saaf dikhen paresaniyan dil ki

Dil ka kya hai aaj tera aur kal kisi ka ho gaya

Aaj k daur mein ho sakti nahi nigraniyan dil ki

Tu hi bata k haale dil hum ja k sunnaye kisse

Jab tum ko bhi jhooti lagti hain kahaniyan dil ki

Jindagi ki daud toh bina kayade k chal rahi hai aajkal

Jeetene wale nahi sunte hain nakaamiyaan dil ki

Tu muje chod k chala jaye ga kabhi soocha na tha

Mujhe hi pata nahi kya hai badgumaniyan dil ki

Kuch saal pehle ki baat hoti toh uthe k le jaate tuje

Chahat ab dhal chuki hai saari jawaaniyan dil ki

Apna Rista

Apna rista jaisa bhi hai ajeeb hai rista
Mere dil k bahut hi kareeb hai rista
Apni takdeer mein kya hai yeh khuda jaane
Par ban gaya ab mera naseeb hai rista. 

Mera farz hai iss ko paal k rakhna
Dil k bahut andhar sambhal k rakhna
Khein koi isse cheen k na le jaye
Apne sanche mein iss ko dhal k rakhna
Yeh mere dil ko sakoon deta hai
Kon kehta hai garib hai rista.

Chahanewale ladte hain roothte hain
Log kehte hain riste bante tootey hain
Ristun ko sambhal k rakhna bada zaroori hai
Kabhi dil k arzoo kabhi mazboori hai
"Chahat" tang karta hai yeh kabhi kabhi mujko
Phir bhi nahi mera rakeeb hai rista.

Thursday 26 September 2013

Waqt Muje Waqt Bewaqt Kehta Hai

Waqt muje waqt bewaqt kehta hai
Muje uss ka hisaab dena hai
Ek lamha bhi jo kiya hai jaya
Uss ka poora jawaab dena hai

Sach bolne ki hidayat hai
Kar sakta hoon joh sikayat hai
Kuch bhi chupana nahi hai mujko
Khol k dil ki kitab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Pyar kar k kuch nahi paya
Pyar ajeeb hai kuch samaz nahi aaya
Jis ne churai hai meri needen
Ussi ki needun ko khawaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Jindagi bil kul banawati ho gayi hai
Bheed mein yeh khein ko gayi hai
Taqatwar k aage jukte hain sabhi
Garib ko dard aajaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Kitne khudgarz ho gaye hai riste
Log chalne lage hai burai k raste
Pehle lagani hai kisi k zazbun mein aag
Phir thanda karne ko aab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Sukh dekh k kisi ka khus tu kyon nahi hota
" Chahat" yeh jaanna zaroori kyon mahi hota
Nafrat jin logon se main karta hoon
Unn ko hi tohfa nayaab dena hai
Waqt muje waqt bewaqt kehta hai

Wednesday 25 September 2013

Dil ki Baat Aise Bhi Kahi Jaati hai

Tuje dekh k apne hone ka aishash hota hai
Main jee udhti hoon jab bhi tu mere pass hota hai
Teri ankhun mein jab dekhti hoon apne liye khawaab
Tu mera hai sirf mera hai mujhe vishwash hota hai.

                               ---------------
Meri ankhun se mere dard ko pehchanane wale
Meri muskarahat kyon tuje feeki na lagi aaj
Kya huva kyon tere pyar mein aa gaya hai fark
Kyon chere ki chamak tujko jhooti na lagi aaj.

                                 ---------------------
Muskilun mein sabar karna aasaan nahi hota
Sabar joh karta hai woh ban jaata hai insaan
Sukh mein bhi joh na badle apne rang aur dhang
Aisa joh kar sakke wohi ho jaata hai mahaan.

                                 -----------------------
Bas itna sa pyar de muje, k baaki ki jindagi
Tera naam le le k main kaatun aaraam se
Pyar se badi koi khusi hoti nahi, yeh jaan k
Main apnu mein baaki khusiyaan bantu aaraam se.
                       ------------------------
Aey dost mere kabhi bhi apne, aise naa halaat they
Naa teri sansun mein thee gutan, naa hontun pe sawaalaat they
Dukh aaye ya sukh mille, moun mor k kabhi naa hum chale
Muskil waqt jab bhi aaye, tab bhi hum donu saat saat they
                              ---------------------------
Par ab yeh kya ho gaya hai, apne pyar ko
Khijaan loot k le gayi, apni bahaar ko
Maine kitni jeete darz ki hain, teri khatir "Chahat”
Kyon dil se laga liya, tune meri ek haar ko

                              -----------------------------
Main kabhi bhi tuje chod k ja sakta hoon, yeh jaan le dost
Main phool nahi khusboo hoon, hawavun mein bikhar sakta hoon
Maana mujh mein kush kammiyaan hain, par phir bhi 'Chahat"
Tera saath agar mila toh, badal sakta hoon sanvar sakta hoon.

                              ----------------------------
Teri talash kya karunga apni talash mein
Kab se main bhatak raha hoon anjaan rastun mein
Tujse naya rista jodhne ki chah mein
 "Chahat" daraar pad gayi hai mere apne ristun mein.
                             ------------------------------
Aurat ko samaj paana gyan hi nahi vigyan bhi hai
Aurat jindagi bhi deti hai aur maut ka samaan bhi hai
Kaash k hum bhi samaj pate aurat ki andar ki baat
Aurat paheli hai jisse suljaane ka dil mein armaan bhi hai
                   --------------------

Meri khata ki mujko saza deejiye
Par khata kya hai yeh toh bata deejiye
Agar pyar karna khata hai meri
Toh dil ka kehdi bana deejiye
Agar aur koi khata hai meri
Toh feshala abhi hi suna deejiye
Kyon k ashiq hote hain bade besabar
Yaad rakhiye yeh naa bhula deejiye.

                  ---------------------------
Maine ristun ko paise se bada samja yehi meri khata nikli, 
Main haatun ki maiel kehta raha par daulat hi khuda nikli
Zaroorat padi toh bhag gaye mere sabhi ristedaar,
Paisa k aage feeka pad gaya mere dil ka saara pyar
Yehi waza thee k wafa ki devi bhi bewafa nikli,
                                ----------------------
Mamta mein pyar hai, aur pyar mein hai mamta
Bacha jisse kehte hain, sirf haad mass se nahi banta
Ma doodh k saat khoon pila k, uss ka jeewan savarti hai
Ma Baghwan agar nahi to uss ki pooja aur aarti hai.

                         --------------------------
Waqt k saat acchi ya bhuri har seh badalti hai
Roop rang feeka padta hai umar aur jawani dalti hai
Par acche insaan k acche gunn waqt k nahi mohtaaj
Acche insaanu ki jundagi waqt se aur aur savarti hai.

                        ----------------------------
Tere pyar ki khatir main sehta raha har ek dard
Maine sunna tha har dead ki dava pyar hai
Naa dard mera kam huva naa tu hi aa k mila
Mere dard ko aaj tak dava ka intazaar hai.

                            -----------------------
Na Hindu rahe ga khatre mein,Sikh Isaie na Musalmaan
Agar har ek Hindustani ban k rahe sirf sacha insaan
Jis ka dil dharakta ho desh ki khatir naa k dharam k liye
Joh apna neta chunta ho vote deta ho sirf karam k liye.

Friday 20 September 2013

Yeh Meri Deewangi Hai


Zara sa imtihaan le mera, todha nirash hone de
Tu mera ho sakta hai, muje vishwash hone de
Khein aisa na ho yeh jaan k, jaan chali jaye meri
Tu mera ban chuka hai, dil ko aishash hone de.

--------------------------------------------------
Iss se pehle k tu mere dil se utar jaye
Iss se bethar hai k tu door hi chala jaye,
Door javo ge toh yaad aavo ge kabhi kabhi
Dil se uttare toh ban javo ge ajnabhi
-------------------------------------------------
Tu muje chod k jaye gi main kabhi maanta nahi tha
Ab yeh maanta hoon k tuje poora jaanta nahi tha
Anjaane mein hi sahi maine sachi mahobat ki hai
Khuda mile na mile maine ebadat ki hai
------------------------------------------------------
Apni dewaar k saaye bhi ab apne na rahe
Main dekh raha hoon aajkal woh mujko goorte hain.
----------------------------------------------------------------
Patni ne kahi aur pati ne maani,kaatni pade gi beta aisay hi jawaani
Pati ki baat patni maanti hai, kitabu mein milti hai aisee kahani.

--------------------------------------------------------------------
Toote aishash ki tarah dil mein, reh jaati ho kabhi kabhi
Yaad ban k muje mein bassi ho, keh jaati ho kabhi kabhi
Sansun mein bas jaavo aisay, phir jaana kabhi na ho
Ankhu se ansoo ban k kyon beh jaati ho kabhi kabhi.

----------------------------------------------------------
Barbaad jis ne kiya muje wohi mujse kehta hai
Apni salamati ka khayal mujko hi karna hai
Hai pyar jis na naam woh karna nahi aasaan
Kabhi marr k jeena hai kabhi jee k marna hai.
----------------------------------------------------------
Chand bhi mera nahi aur sitare bhi gher hain
Main tanha hoon akela hoon kaisa asmaan hoon
Apni talash mein kab se phir raha hoon "Chahat"
Koi mujse keh gaya tha main achha insaan hoon.

------------------------------------------------------
Mere ghar k chirag ko hawavun ka darr nahi
Dil ki lo se iss ko jalaye huve hoon main

---------------------------------------------------
Har ek ko kheinch leni chahiye, apne liye ek luxman rekha
Aur uss k andhar hi chalani chahiye, apne jeewan ki noka

------------------------------------------------------
Seene se lag k uss ne, peeth pe kiya vaar
Gale laga k joh aaye tha, karne mujse pyar
Bahut bada dokha tha, kha liya maine "Chahat"
Par ab uth gaya hai mera, mahobat se aitbaar.

--------------------------------------------------
Itni bhi na dher kar, mere yaar aane mein
K umar kaatni pade muje, tujko bhulane mein
Jab se kiya hai pyar, tab se fikar hai "Chahat"
K tera naam kaisa aayega, mere fasane mein.

------------------------------------------------------
Tadapte huve aey yaar muje na chod raste mein
Khusiyaan lene gaya tha tere hi vaste main
Manjil pe ponchane ki umeed ab kahan
Sabkuch mera lut gaya ek hi hadse mein.
---------------------------------------------------------
Kuch log jindagi mein, duva ki tarah aaye
Kuch badnaseebe ki tarah aaye, barbaad kar gaye
Tum kyon chale gaye, jab aaye they duva ban k
Poocho na humne kya hum, tere baad kar gaye.

------------------------------------------------------
Wafa ka meri sila kuch toh ho
Wafa mein muje mila kuch toh ho
Usse pura haq hai naraaz hone ka
Magar pehle mujse gila kuch toh ho

------------------------------------------
Yaad kisi ko kiya na jaye, yaad toh aa jaati hai
Kabhi khusi ko le k aaye, kabhi rula jaati hai
Teri yaad k haatun mein mera jeena marna hai
Kabhi gehri neend muje de, kabhi jaga jaati hai

---------------------------------------------------------
Apna rista aisa hai ulja hiva, nakaam ho gayi hai suljane ki koshishein saari
Aisa lagta hai hamare pyar k peeche, pad gayi hain jahan ki muskilein saari
Pyar mein sabar ka imtihaan dete dete, thak gayi hain apni dharkane saari
Itna waqt ho gayi hai intazar karte karte, dam todhne lagi hain "Chahat" hasratein saari

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
Tala kismat ka khul gaya jaise
Tu muje aa k mil gaya vaise
Dekh k tujko mere saath log kehte hain
Himalaya parbat hil gaya kaise
Kya yehi hai jisse log pyar kehte hain
Tu sansun mein gul gaya jaise.

----------------------------------------
Unn ki khamoshi keh gayi hai mujko bahut see baatein
Main zubaan khol k bhi unn se keh saka naa pyar hai
Yeh kaisa more aa gaya hai rah mein chalte chalte
K koi apna hi apne beech mein ban gaya dewaar hai.
-----------------------------------------------------------------
Bahaar bhi chali gayi, tumare intazar mein
Dil k phool na khile, kyon apne pyar mein
Kaisa alag ajeeb sa, hum donu ka pyar hai
K jeet see mehsoos ho, dil ki haar mein.

---------------------------------------------------

Dil Keh Raha Hai Yeh Bhi

Usse pyar hai mujse, yeh kehne se darta hai
Wohi aadami joh mujpe, deewanu sa marta hai
Meri ankhen kehti hai usse, k aa ja pass mere
Woh door reh reh k hi, aahen bharta hai
----------------------------------------------------------------------------
Ab toh yaaden bhi rula deti hai, kabhi inn se sakoon milta tha
Dil ne hi kamzoor kar di hain ragen, pehle inne dil se poora khoon milta tha,
Waqt waqt ki baat hoti hai, khein din khein raat hoti hai
Ek waqt woh bhi tha k mere dewaanepan se, kisi k dil ka zanoon milta tha.
------------------------------------------------------
Juda ho k bhi apni chahat na kam huvi,
Bantne se aur badi apni mahobat na kam huvi
ujko khuda se maanga aur pa bhi liye maine
Uss k baad bhi meri ebadat na kam huvi.
---------------------------------------------------------------
Tere saat bethna uthna jagna sona aadat hai ab meri
Jisse log pyar kehte hain woh ebadat hai ab meri
Jab chahe tuje dekh loon jab chahe kar loon pyar
Aisay mukaam pe aa ponchi yeh mahobat hai ab meri.
--------------------------------------------------------------------
Lafzun se joh kaha jaye, usse kar k dikhavo toh baat hai
Ik dil kahe aur duje samaj jaye, toh mulakaat hai
Pyar ki roshni se kar le roshan tu apna jahan "Chahat"
Varna is duniya mein din bhi aisa hoga, jaise raat hai

---------------------------------------------------------------
Zubaan pe lagaam rakhna akalmandi ki hai nisaani
Joh log deemag se pedal hoon wohi karte hai badh zubaani
Pyar se baat karna sab k bas mein nahi hai Chahat"
Wohi Chirya gandagi pe bethe joh hoti hai sayaani
--------------------------------------------------------------
Joh apni galtiyun se sabak le wohi mahaan hota hai
Galtiyun ko joh doraye baar baar wohi paresaan hota hai
Insaan galtiyun ka putla hai main bhi yeh maanta hoon
Par joh apni galti na maane woh sehtaan hota hai
---------------------------------------------------
Kisi k vaste apne dil ko itna na tadpa dost
K dil tujse maang le apni barbadiyun ka hisaab.

Dil toh dil hai kabhi bhi badal sakta hai

Yeh kabhi na tuje dega apni gustaqiyun ka hisaab
-----------------------------------------------------
Agar kyamat tak tera intazar karna hai
Ek baar nahi hume baar baar marna hai
Marne ka darr nahi hum toh deewane hai "Chahat",
Pyar karte hai aur pyar hume karna hai
--------------------------------------------------------------------------
Pyar ko karobaar samaj woh chala gaya, dil ka tol baav kar k
Main pyar k kabil nahi, uss ne bola dil pe gaav kar k
Sadma itna bada tha, k sambhal nahi paye hain ab tak
"Chahat" hum bahut tadpe hain, kisi se bahut lagaav kar k.

---------------------------------------------------------
Unne lehren nahi duboti joh sagar mein rehte hain
Woh sagar ko kya samjen joh gagar mein rehte hain
Dil ki jigar se koi bhi taar judhti nahi "Chahat"
Dekhane mein yeh donu toh barabar mein rehte hain
-----------------------------------------------------------------
Jindagi k iss safar mein, ik aisa daur bhi aaye ga
Jab teri yaad aaye gi, yaad kuch aur bhi aaye ga
Teri yaad mujse pooche gi, sawaal chubne wale
Sansun mein dharkanu mein, kuch shor bhi aaye ga.

---------------------------------------------------------------

Main Aisa Bhi Soochta Hoon

Bas itni see iltaza hai tu itna sa kaam kar de
Mere sang aa k ek baar tu subha se sham kar de
Tuje jee bhar k dekhne ki khawaish main kar loon poori
Phir jaate huve tu chahe toh aakhari salaam kar de.

-------------------------------------------------------------
Apni museebatun muskilun ko kar k darkinaar
Humne teri muskilun mein tera saat diya yaar
Apne halaat jaise bhi ho tere badalne k liye
Hum jaan bhi dene ko rehta hai sada tayaar
Koi rista apne beech bane ya na bane 'Chahat"
Hum door reh k bhi tuje karte rahe ge pyar.

----------------------------------------------------------

Mere dil ki baat, mere demaag ko nahi pasand
Jab dil ankhen khole, toh demaag kar de bhand
Ek ladki k liye "Chahat",kyon hai donu mein ladai
Ab chain bhi luta mera, aur aata nahi anand

-----------------------------------------------------

Meri raatun ko tere khawaab sulane aaye
Aur koi bahana na tha isse bahane aaye
Unne pata hai khein din se mein soya nahi
Neend kachhi na rahe lori sunane aaye
Main hakeekat ka saamna karne se darta hoon
Issliye mere har veham har darr ko mitaane aaye.

---------------------------------------------------------
Khuda pe rakh bharosa aur apna kaam karta ja
Mehnat kar uss k baad chahe araam karta ja
Khuda tere sabhi kaam kare ga waqt aane pe
"Chahat" uss k karishmu ko tu salaam karta ja

----------------------------------------------------

Nazar bhar dekte hain, phir nazren jhuka lete hain
Aajtak aise hi unn ka, dedeear kiya hai humne
Door se dekha hai, kabhi chuva nahi unn ko
Kuch iss tarah se unne, pyar kiya hai humne
Agar woh mil gaye toh, badal jaye gi jindagi apni
Agar woh na mile toh, rooth jayi gi har khusi apni
Jo bhi hoga is pyar mein "Chahat" manzoor hai
Dil ko har haadse k liye, tayaar kiya hai humne.

-----------------------------------------------------------
 

Dekho Yeh Bhi Hain Rubiyaan

Aey dost mere kabhi bhi apne, aise naa halaat they
Naa teri sansun mein thee gutan, naa hontun pe sawaalaat they
Dukh aaye ya sukh mille, moun mor k kabhi naa hum chale
Muskil waqt jab bhi aaye, tab bhi hum donu saat saat they

Par ab yeh kya ho gaya hai, apne pyar ko
Khijaan loot k le gayi, apni bahaar ko
Maine kitni jeete darz ki hain, teri khatir "Chahat”
Kyon dil se laga liya, tune meri ek haar ko

------------------------------------------------------
Main kabhi bhi tuje chod k ja sakta hoon, yeh jaan le dost
Main phool nahi khusboo hoon, hawavun mein bikhar sakta hoon
Maana mujh mein kush kammiyaan hain, par phir bhi 'Chahat"
Tera saath agar mila toh, badal sakta hoon sanvar sakta hoon.

---------------------------------------------------------

Teri talash kya karunga apni talash mein
Kab se main bhatak raha hoon anjaan rastun mein
Tujse naya rista jodhne ki chah mein
"Chahat" daraar pad gayi hai mere apne ristun mein.
--------------------------------------------------------

Aurat ko samaj paana gyan hi nahi vigyan bhi hai
Aurat jindagi bhi deti hai aur maut ka samaan bhi hai
Kaash k hum bhi samaj pate aurat ki andar ki baat
Aurat paheli hai jisse suljaane ka dil mein armaan bhi hai
 ---------------------------------------------------------


Meri khata ki mujko saza deejiye
Par khata kya hai yeh toh bata deejiye
Agar pyar karna khata hai meri
Toh dil ka kehdi bana deejiye
Agar aur koi khata hai meri
Toh feshala abhi hi suna deejiye
Kyon k ashiq hote hain bade besabar
Yaad rakhiye yeh naa bhula deejiye.

------------------------------------------

Maine ristun ko paise se bada samja yehi meri khata nikli
Main haatun ki maiel kehta raha par daulat hi khuda nikli
Zaroorat padi toh bhag gaye mere sabhi ristedaar
Paisa k aage feeka pad gaya mere dil ka saara pyar
Yehi waza thee k wafa ki devi bhi bewafa nikli
---------------------------------------------------------

Mamta mein pyar hai, aur pyar mein hai mamta
Bacha jisse kehte hain, sirf haad mass se nahi banta
Ma doodh k saat khoon pila k, uss ka jeewan savarti hai
Ma Baghwan agar nahi to uss ki pooja aur aarti hai.

---------------------------------------------------------------

Waqt k saat acchi ya bhuri har seh badalti hai
Roop rang feeka padta hai umar aur jawani dalti hai
Par acche insaan k acche gunn waqt k nahi mohtaaj
Acche insaanu ki jundagi waqt se aur aur savarti hai.

---------------------------------------------------------------
Tere pyar ki khatir main sehta raha har ek dard
Maine sunna tha har dead ki dava pyar hai
Naa dard mera kam huva naa tu hi aa k mila
Mere dard ko aaj tak dava ka intazaar hai

---------------------------------------------------------

Kuch Aur Dil ki Baatein

Khilone se khelne wale, apne zazbatun se bhi khel gaye
Hum pehle bhi unn se haarte they, hum aaj bhi jeete nahi.

                               -----------------------
Bahaar bhi chali gayi, tumare intazar mein
Dil k phool na khile, kyon apne pyar mein
Kaisa alag ajeeb sa, hum donu ka pyar hai
K jeet see mehsoos ho, dil ki haar mein.

           ---------------------

Jindagi k iss safar mein, ik aisa daur bhi aaye ga
Jab teri yaad aaye gi, yaad kuch aur bhi aaye ga
Teri yaad mujse pooche gi, sawaal chubne wale
Sansun mein dharkanu mein, kuch shor bhi aaye ga.
            ---------------------
Main tum ko accha kehta raha teri burai ko bhool k
Tu dokha deta raha muje meri acchai ko bhool k
Yeh baat bade jigre ki hai tu bhi jaan le aey dost
Main aaj bhi tujko chahata hoon teri bewafai ko bhool k.
                       -------------------------
Dil ki shakal soorat jaise bhi ho, pyar karnewala dil hi hota hai accha
Dil kya samje ga falsafa kisi ka, yeh nadaaniyaan karta hai hota hai baccha
Dil ki bas sab se badi khoobi yeh hai, Aaina jaise hai vaise hai sachha
 ___________________________________
 
Kaash k tum ne zubaan pyar se kholi hoti
Sehad ki tarah meethe teri bhi bholi hoti
Meri baat ko poora samja k soocha hota
Saat saat rehne ka aaj bhi mokha hota

Par tu ne meri sunni na logon ki maani...
Barbaad kar gayi tuj ko teri apni jawaani
Mere fasane mein tera jikhar nahi aaya
Bante bante "Chahat"reh gayi prem kahani
------------------------------------------------------
Ranjisun ko dil se nikaal dijiye
Dil ka sikka phir se uchaal dijiye
Iss baar chit aur pat donu hongen aap k
Pyar k sanche mein khud ko dhal dijiye,
         -----------------------
Tere pyar se zayada maanga kuch nahi,
Aur na chahiye kuch bhi tere pyar se kam
Tu agar mil gayi to ban jaye ga mukadar mera
Vaise toh naseeb mein phele hi bahut se hain gum
Tu agar na mili toh ankhen rahe gi hamesha hi nam
Tu nahi hogi meri toh jee k kaya karen ge hum
                       --------------------
Tuje milne ki cha hai aur tere dedaar ki hai hasrat
Maine maan bhi liya k muje tere pyar ki hai hasrat
Muje poori umeed hai k yeh hasrat ho jayegi poori
Nekh insaan ki hai nahi kisi gunhagaar ki hai hasrat