Monday 28 July 2014

Phir Bhi Tum Se Kuch Na Kehta Hoon

Tum kinarun pe ja ke baste ho
Main lehrun ke beech rehta hoon
Tum se koi gila agar hota hai mujhe
Phir bhi tum se kuch na kehta hoon

Mujhe har waqt tu khusi hi de
Aisa maine kabhi kaha hi nahi
Tuj se joh kuch bhi mujhe milta hai
Dil ko lagta kuch bhura hi nahi
Tere diya dukh dard bhi pyare hai mujhe
Inn ko naseeb samaj ke sehta hoon.
Phir bhi tum se kuch na kehta hoon

Apna jahan bada hi alag sa anokha hai
Vishwash pe tikka hai nahi koi iss mein dokha hai
Jis ki jaise ho marzi woh karta hai vaisa
Kisi ne kisi ko yahan pe kabhi na rokha hai
Tum pigal tee huvi baraf ban jaana jaanam
Main toh darya hoon main toh behta hoon
Phir bhi tum se kuch na kehta hoon

Pyar mera bhi chand jaisa hai
Chandani sab ko karti hai roshan
Phool hoon main dhool mein mil kar bhi
Mehkata hoon saare ka saara gulshan
Main toh darya ka ik kinara hoon "Chahat"
Roz banta hoon roz dehta hoon
Phir bhi tum se kuch na kehta hoon

Sunday 27 July 2014

Geet: Tuje Main Pyar Karun Ga, Chupa Ke Dil Ke Gaon Mein

Khule gagan mein, sitarun ki chavun mein
Tuje main pyar karun ga, chupa ke dil ke gaon mein
Na koi dekh sakke ga hume, na jaan paye ga
Gul jayen ge khusboo ban ke, hum donu hawavun mein

Tere siva kissi ke deedaar ki nahi hasrat
Kar chuka hoon main tumse itni mahobat
Sirf tum mahobat hi bane rehte toh koi baat na thi
Ab tum ban chuke hoon mere jeene ki zaroorat
Ab toh aa ja bekaraari badhti ja rahi hai dil ki
Bichha rakhi hai ankhen maine, tere hi raahun mein
Tuje main pyar karun ga, chupa ke dil ke gaon mein

Juda ho ke hum jiye kaisa pata jahan ko nahi
Par kon kehta hai apna khayal aasmaan ko nahi
Khuda ne hum ko milaya hai juda na hone de ga
Hume kinare pe na lagaye yeh haq tufaan ko nahi
Zakhm judia ke sabhi bhar jayen ge pal mein
Jab tum dhor ke aavo gi, phir se meri bahun mein
Tuje main pyar karun ga, chupa ke dil ke gaon mein

Ab milo gi tu alag tum ko na hone doon ga
Sada hasavun ga tujko kabhi na rohne doon ga
Dil ki zameen pe hamesa khilen ge pyar ke phool
Nafrat ke beejh iss pe na kabhi bone doon ga
Muskil rastun pe utha loonga tuje godhi mein
Kabhi na chubne doonga, koi kanta tere pavun mein
Tuje main pyar karun ga, chupa ke dil ke gaon mein

Tujhe seene se laga ke sakoon mile ga dil ko
Nassun mein jaan aaye gi aisa khoon mile ga dil ko
Tu khoon ban ke dhore gi meri nas nas mein 
Pyar ke siva kuch aur na rahe ga mere bas mein
Mere chere se padh lena tu apni hakeekat aur
Sapnu ki tarah basna, phir tu meri nigavun mein,
Tuje main pyar karun ga, chupa ke dil ke gaon mein


Friday 25 July 2014

GAZAL: Tera Mera Shehar

Ab tera shehar bhi tera nahi, aur mera shehar bhi mera nahi
Anjaan sabhi ab log hain, koi pehchane apna chera nahi

Yeh kaisa waqt hai aa gaya, tere mere saath ke darmiyaan
Meri subha ki koi raat nahi, teri raat ka koi savera nahi

Apne sitare aisse gardish mein hain, ke rukh see gayi hai jindagi
Teri dharti bhi thami see lage, aur mere chnad ka bhi ab fehra nahi

Chandani ne kal kaha chand se, ke main kaisee teri ho gayi
Meri doli kabhi bhi uthi nahi, tune bhanda kabhi sehra nahi

Apne dil mein basa ke tujhe, maine pa liye hain donu jahan
Kon hai joh nahi yeh maanta, ke sacha dil khuda ka dhera nahi

Kitni ajeeb see baat hai ke sabkuch mera cheen ke bhi woh
Sarre aam yeh kehte firte hain, ke unn ke pass kuch mera nahi

Aey dil sacch ko chod ke, tu bhi seekh le jhoot bolna
Agar aisa tu kar na sakka, phir kuch bhi yahan tera nahi

Yeh aur baat hai ke main chupa leta hoon dard seene mein
Aisa nahi ke tere yaadun ne, mere khayalun ko kabhi gehra nahi

Kisi ki bewafai ko dekh kar "Chahat", aaj maine bhi yeh jaana hai
Dil jab kisi ka badalta hai, toh bach sakta uss ka chera nahi








Barsun Baad Dedaar Huva

Barsun baad dedaar huva, badla badla muhje yaar mila
Mera dil aaj bhi usse, kuch kehne ko tayaar mila

Feeka chere ka noor kyon tha, laga thaka sa woh choor kyon tha
Thoda heraan sa todha mayoos, thoda sa bemaar mila

Yeh kaise mulakaat hai apni, dil mein dhabi har baat hai apni
Kuch kehte kuch sunn lete hum, aisa koi na taar mila

Saamne jab woh aaye apne, bunn liye aakhun ne kuch sapne
Lakin aaj bhi toota har sapna, jaise toota har baar mila

Kismet ke maare hum they, shehar mein sab ke payare hum they
Yaad purani baatein aayi toh, koi khanjar seene ke paar mila

Woh apni duniya mein magan hai, mere pass bhi mera gagan hai
Jaan le aaj tu bhi aey dil, yahan sab ko kahan hai pyar mila

Bhool chuka hoon tuje kabhi yeh lagta hai, Iss baat pe mujko par shaq bhi lagta hai
Kyon ki dukh dard mein tere chere ka, sada hi mujhe deedaar mila

Uss ne apni duniya basa lee, maine bhi koi dusari pa lee
Sab kehte hain mujko "Chahat", donu ko accha sansaar mila.

Wednesday 23 July 2014

Mere Dil Mein Nahi Hai Dard Koi

Mere dil mein nahi hai dard koi
Logon ke dard ka aishash kar leta hoon
Dil mein itna pyar chupa hai dost
Ghairun ko bhi apne pass kar leta hoon

Apnu ke toh kaam sabhi aate hain
Dusarun ke kaam koi koi atta hai
Apni khusi gam pe log haste rothe hain
Dusarun ke lie koi hi hai rotha muskaraata hai,
Dil jaisa bhi hai bachha lagta hai mujhe
Dusarun ka saath dena accha lagta hai muhje
Aisa karte karte main bas yehi soochta hoon
Woh khus rahe bas yehi aas kar leta hoon
Ghairun ko bhi apne pass kar leta hoon,,,,,,,,

Jab akele mein kabhi tanhai mujhe satati hai
Jab koi bhuli bisri baat yaad mujhe aati hai
Tab bhi main sakoon dene wali yaadun pe jhor karta hoon
Dard dene wale kissun pe kabhi na ghor karta hoon
Gujri baatein gujri yaaden talaq bhi hoti hai
Inn se dil dhukta hai aur ankhen bhi rothi hai
Jab muhje yaddun mein accha kuch nahi milta
Tab Main apni hi talash kar leta hoon
Ghairun ko bhi apne pass kar leta hoon,,,,,,,,,

Dil yeh chahata hai ke khusiyaan milen sab ko
Isse duva se main roz sajda karta hoon rab ko
Phir bhi main sab ko khus kyon rakh nahi paata
Log kehte hain muhje jeena hi nahi aata
Sab ko khus rakne ki koshish mein
Kitne apnu ko naraaz kiya hai maine
Par yeh bhi sach hai ke apne iklaakh se
Bahut se dilun pe raz kiya hai maine
Par kaise kyon sab kuch karne ke baad bhi
"Chahat' dil kehta hai main kuch aur khas ka leta hoon
Ghairun ko bhi apne pass kar leta hoon.............

Tuesday 22 July 2014

Dil Hai Ke Hamesha Kare Ga Intazaar Tera

Joh chot dil pe lagai hai tune uss ke liye,
Apni humdardi ki marham hi lagaate jaana
Aur ab kis dil ko tune zakmi karna hai dost
Bas itni se baat tu mujko bataate jaana.

Chot kha ke mujhe jaanana bas hai itna
Ke ab kis ke dil ke saat tu khele gi
Tera andaaz bhi bahut niraala hai
Pehle tu usse bhi bahun mein le le gi

Phir usse sindoori sapne dekhaye gi tu
Phir usse apne itne nazdeek laye gi tu
Jab woh tere bina jee na paya ga
Tab usse raste mein chod ke jaye gi tu.

Teri aadavun pe bhorsa kar ke na jaane
Kitne bhole bhale kha chuke hain sadme
Tere liye kuch bhi maani nahi rakhta
Jhoote vaade hain tere jhooti  hain kasme

Tere jaisa masoom chera bewafa hoga
Yeh andesha bhi kisi ko ho nahi sakta
Mujhe bhi tum pe andha vishwash raha
Lagta tha main tume kabhi kho nahi sakta

Par tune meri sabhi umeedun pe
Kuch iss tarah se phair diya hai paani
Dil mein dard aisa ke saha na jaaye
Aur ankhun mein rukta nahi hai paani

Phir bhi tujko duva hi deta hoon dost
Kyon ki meri pehli mahobat tum ho
Khuda ke pass joh le gayi mujko
Wohi sache dil ki masoom ebadat tum ho

Tum dard ho mera meri seekayat tum ho
Duniya se maine joh ki woh bagawat tum ho
Jitni sarafat se sararat se pyar kiya tuje maine
Woh sarafat bhi tum aur woh sararat tum ho

Yaad hain mujko tere saath gujare lamhe
Yaad hai mujko teri bewafai ka aalam saara
Tu hi meri sasun mein gula tha wafa ban ke
Bewafa hai par tu aaj bhi lage dil ko pyara

Tuje yaad kar ke dard hi dard milta hai
Phir bhi khayal mujhe aata hai baar baar tera
Tune dil todha khein ka na choda mujhe"Chahat"
Dil hai ke hamesha kare ga intazaar tera.

Monday 21 July 2014

Yaad Karna Ya Yaad Aana Bas Mein Nahi Hamare,

Kisi ko yaad karna ya yaad aana bas mein nahi hamare
Hum yaadun mein bhi tere aur khayalun mein bhi tumare
Tadap kitni dil mein hai yeh hum hi jaante hain
Kyon ki hum ne barsun judai mein hain gujare

Judai mein hum ko jeena na aaya
Ansu chalke unne peena na aaya
Judai ke mausam badle kabhi na
Par milne ka koi mahina na aaya
Koi paath pooja na kaam aayi
Lo jindagi ki ab sham aayi
Bachpane se mannate maangate rahe
Par gardish mein rahe sada hi sitare
Kyon ki hum ne barsun judai,,,,,,,,,,,,,,

Ankhun se ansuvun ka nikla joh darya
Woh saare armaanu ko baha le gaya hai
Aise mein bhi yaad aati hai ussi ki
Joh neenden meri chura le gaya hai
Jab ankh lege toh wohi kahe mujse
Ke pyar ke samundar ke nahi hote kinaare
Kyon ki hum ne barsun judai,,,,,,,,,,,,,,,,

Tujse milne ki aas na chodi kabhi hai
Kasam joh bhi khai na thodi kabhi hai
Ab bhi apne vaade pe atal hai
Apni kahani teri kahani se na jhodi kabhi hai
Duniya ki nazar mein nahi apna koi rista
Na kisi ko pata hai tum ho jaan se pyare,
Kyon ki hum ne barsun judai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Yaadun ke nagar mein mujh se aa ke milna
Tune choda nahi hai kabhi na chodna
Duniya ki nazar mein juda ho ke bhi
Dil ke rista joh judha hai usse na todhna
Main tera intazaar ta kayamat karun ga
Kabhi na kabhi tum bano ge hamare
Kyon ki hum ne barsun judai,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Friday 18 July 2014

Geet: Choti See Mulakaat Se Tasali Nahi Huvi,

Choti see mulakaat se tasali nahi huvi, 
Kuch dair aur rukh ja tuje aur dekh loon, 
Tujhe dekte hi dil ki badh jaati hai uljan,
Tuhje dekhun ya dil ka shor dekh loon.

Har baar tuje dekh ke lagta hai aisay
Ke jaise tum se meri ho pehli mulakaat
Ankhen hain tere chere se hutti nahi
Subha se akshar ho jaati hai apni raat
Zubaan se tu bhi kuch keh nahi paati
Dil kehta hai aaj kar ke tujhe ghor dekh loon
Kuch dair aur rukh ja tuje aur dekh loon, 

Tere siva kisi pe dil aaya nahi kabhi
Yeh kal ki baat hai ke tum the ajnabhi
Yeh aaj kaise judh gaya dil ka dil se taar
Yeh log keh rahe hai mujhe ho gaya hai pyar
Maine toh tera dil churaya hi nahi phir bhi
Kon hai mere dil ka chor dekh loon
Kuch dair aur rukh ja tuje aur dekh loon, 

Ab aur sabar nahi mujhe ke alag main reh sakkun
Kuch aisa kar ke tu meri hai yeh sab se keh sakkun
Ab dil karta hai khusi main tere chere pe hassun
Dukh dard ho toh teri aankun se beh sakkun
Darr nahi mujhe kisi ka ab mokha de mujhe ke
Main dushmanu ki bajuvun ka jor dekh loon
Kuch dair aur rukh ja tuje aur dekh loon, 

Tum Mere Ho Toh Meri Hai Duniya

Tum mere ho toh meri hai duniya, 
Tum nahi mere toh mera jahan nahi, 
Tum saath ho toh jinda hoon main nahi toh
Sansen chalti hain par jism mein jaan nahi
Tum mere ho toh meri......................

Kyon tere bina main seekh na paya jeena
Yun toh pass mere jeena ka saamaan hai kaafi
Kyon main apne sitarun ko chamka na paya
Khula khula tanha mera asmaan hai kaafi
Tere hone se saari kyanaat meri tere bin 
Zameen bhi ajnabhi aur mera asmaan nahi
Tum mere ho toh meri......................

Tere khayal se hi khil jaata hai dil ka gooncha
Teri yaaden hi mujhe jinda rakh rahi hai ab tak
Tu saath na ho toh mandir maszid ka rasta bhoole
Tu saat chale toh  poonch javunga main rab tak
Gita Bible ka updesh bhi samaj na aaye mujhe
Teri kasam tere bin mera Quran nahi
Tum mere ho toh meri......................

Kya mere bina teri jindagi bhi adhuri hai
Kya tujhe bhi aakharti apne beech ki doori hai
Kya meri tarah tere halaat bhi tere bas mein nahi
Kya tere pass bhi koi meri jaise koi mazboori hai
Jaise main raat din dard mein tadapata hoon
Kya tere seene main pal raha koi toofan nahi
Tum mere ho toh meri......................

Dard Ki Rubaiyaan

Joh sawaal sachai se poochen jaye woh dil se nikalte hain, 
Shaq ke sabhi sawaal dil ko jalate hain chhalte hain. 
Aap ke saare sawaal chalni karte hain mera seena, 
"Chahat" bemaani lagta hai tab mujko jeena marna.

Teri meri sooch aur khayal, alag alag ho sakten hai
Par zaroori hai ke apne naik, aur ek se erade hon
Kadwee zubaan bana deti hai, eradun ko bhi kadwa "Chahat"
Accha yehi hai zubaan meethi, aur hum seede saade hon

Jindagi itna dard na de ke marne se pehle
Main tera naam badnaam kar ke javun
Itna toh reham kar ke jaane se pehle
"Chahat" todha sa aaraam kar ke javun

Mujhe gunaah se khein guna zayada, saza de chuke ho tum, 
Raakh hona baaki hai sholun ko, hawa de chuke ho tum, 
Mujhe maut ka darr nahi, par dukhi hoon yeh jaan ke "Chahat" , 
Ke jaan leva shaq ko apne dil mein, jagah de chuke ho tum





Geet: Teri Tasveer

Maine aaj talak inn ankhun mein, teri tasveer basai hai, 
Yehi kaaran hai ke barsun se, mujhe chain se neend na aayi hai

Yeh hakeekat hai ya hai sapna, Tu aaj bhi lagta hai apna, 

Tu door rahe ya pass rahe, Teri yaadun ko dil mein hai rakhna, 
Main sham savere raat din tere yaadun ke sang rehta hoon, 
Mujhe har roz aisa lagta hai tu bahun mein aa sharmai hai.
Yehi kaaran hai ke barsun se.........

Har haal mein tu har kaal mein tu,Meri khusiyun mein mere janjaal mein tu,
Mere haq mein tu mere shaq mein tu,Mere bacchun jaise sawaal mein tu,
Mere rom rom mein samai ho phir kaise tum parai ho,
Andere mein roshini jaisee lagi loo mein tu hi parchai hai.
Yehi kaaran hai ke barsun se.............

Tu suraz hai main tarpan hoon, Main sada se tujko arpan hoon,
Tu kiran pehli main savera hoon, Tu meri hai main tera hoon,
Ik duje bin reh na paaye ge hum akhir ik ho jaaye ge,
Yeh khabar bilkul sachhi hai kisi se jhooti nahi udrai hai.
Yehi kaaran hai ke barsun se.........

Tu kon hai tere baare mein duniya ko batana theek nahi,
Par dil yeh mujse kehta hai ke pyar chupana theek nahi,
Mujhe kabhi na kabhi toh logon ko kuch jawaab toh dene hon ge,
Apni udas ankhun ko tere hi khawaab dene hon ge,
Phir bhi tujse vaada hai apna sabkuch adda adda hai,
Tera naam agar main leta hoon toh pyar ki yeh ruswai hai,
Yehi kaaran hai ke barsun se.......


Saturday 5 July 2014

Geet : Tum Chale Aavo

Tum chale aavo, chale aavo, chale aavo
Phir teri yaad mujhe toot ke aayi hai
Kitni ajeeb baat hai ke tuje paane ki khawish
Tujse milne tujse se hi rooth ke aayi hai.

Tere bin adhura raha waqt mera meri gadiyaan
Kisi bhi manzil tak na poonche mere raste meri galiyaan
Kisi anjaane se registaan mein bina kisi kaaran
Barbaad hoti rahi mere ansuvun ki jhariyaan
Apni ankhun mein hamesha ke liye basa loo iss ko
Jindagi meri lambhi qaid se choot ke aayi hai. 
Tum chale aavo, chale aavo, chale aavo..........

Humsafar mere na jaane kis ki talash mein
Tu bhi saat mera chod ke door bhaaga tha
Par maine milne ki umeed ko nahi choda
Meri sansun se jhuda tere dil ka daaga tha
Kaise aitbaar karun mein aisse umeed pe phir se
Joh mere pass chal ke sang jhooth ke aayi hai.
Tum chale aavo, chale aavo, chale aavo..........

Tum badal gaya par na badla hai chalan duniya ka
Aur kitna sahen ge hum donu julam duniya ka
Tinka tinka jhod ke aashiyaan phir banana hoga,
Phir se phoolun ko apni baghia mein khilaana hoga
Par aisse bahaar ko main na aane doongi apni baghia mein
Joh harre barre gulistaanu ko loot ke aayi hai
Tum chale aavo, chale aavo, chale aavo................