Wednesday 28 August 2013

Bajan : Oh Mere Krishna Oh Mere Kanha

Oh mere Krishna Oh mere Kanha
Kabhi na kabhi toh tujko hai aana
Yeh tera sab se vaada hai kab ka
Tuje dekhnu mera erada hai kab ka
Oh mere Krishna Oh mere Kanha

Aana toh hai ab ki baar hi aa ja

Aaj tera hai tayohaar hi aa ja
Yeh Janam Astami sab ko yaad rahe gi
Phir kisi k honthon pe na koi faryaad rahe gi
Khusiyun se tu jholiyaan bhar jaye ga
Poore kam apne sabhi kar jaye ga
Main nahi kehta tu yahan pe hi rakh basera
Bas chahiye humko ik darshan hi tera
Aa k chahe tu phir laut jaana
Oh mere Krishna.................

Aa k phir se tu apni Gita sunna ja

Acche bhure ka antar bata ja
Kaisa bina lagaav k jiya jaata hai
Dushmanu pe vaar kaise kiya jaata hai
Gyan k jyoti tu phir se jaga ja
Kisi aur anuj ko Arjun bana ja
Tune har yug mein dharam ki kee hai raksha
Pakki kar le apni bhi surakha
Phir na jaane kab ho tera aana
Oh mere Krishna.............

Tera bina Mathura aaj roh rahi hai

Dawaraka ki haalat bhi acchi nahi hai
Birandavan k phoolun mein khusboo nahi hai
Jamunu ko behne ki arzoo nahi hai
Na gopiyun ki hai kahein rass leela
Tere bina pyar ka rang bhi hai peela
Aa phir se murli ka jadu jaga ja
Pyar se rehne ka mantar bata ja
"Chahat "Hum ladne ka doondate rehte hai bahana
Oh mere Krishna...............

Tuesday 27 August 2013

Apni Lalkaar

Super Hercules Jahaz ko Ladakh mein Utaar kar

Hum ne China ko jawaab diya hai lalkaar kar
Koi dushman ab hamaari zameen pe pavun rakh na paye ga,
Himakat agar khare ga toh phir mukhi hi khaye ga

Hamari seema ka agar koi ulanggan kare ga,
Maut se phir woh aalinggan kare ga,
Yeh dhamki nahi hai hum ne sankalph liya hai
Sar pe phir se bhand khafan liya hai.

Hamara har jawaan morcha sambhale dhata hai
Dushman jaan le Bharat Ek hai na batta hai
Paharun pe kaise ladna hai seekhee hai har kala
Yeh bhi jaante hai k ladai k hota nahi bhala

Par agar koi hamla kare ga toh dengen hum jawaab
Apni zameen ka humey pata hai poora hisaab
Ek inch bhi zammen kisi ko khane na dengen hum
Koi andar aaya toh jinda jaane na dengen hum
 
Yeh 1962 nahi hai yeh 2013 ka saal hai
Yathyarun k saat saat apna honsala bhi kamaal hai
Dushman k ab hum "Chahat"chakke chudayen ge
Har parbat ki choti pe Tiranga lehrayen ge

Saat Sabak Pyar K

Ab ki bahaar mein phoolun k saat saat tu bhi khil jaana,
Raste mein chalte chalte kisi mod pe mujko mil jaana
Mahobat ka pura sabak tu mujse shekhana
Pehle sabak yehi k kabhi na roothna

Duja sabak k pyar bharose ka naam hai
Jhoot ka mahobat mein koi na kaam hai
Chotha sabak k pyar mein izzat maan ho
Saat kabhi na chute chahe dushman jahan ho

Chatte sabak k dukh dard mil k baante jayen,
Phir dil k gulshan mein kaante kabhi na aayen
Saatun kasme tere saang main bhi khavun ga
Rista pyar ka saatun janam nebhavun ga

Joh koi bhi "Chahat" aisa kar paye ga
Pyar uss ka toh amar ho jaye ga.

Monday 26 August 2013

Itne Saalun Mein

Itne saalun mein kya kya nahi badla, Par badla na mera pyar
Yeh baat duniya k saat saat, Tu bhi jaane mere yaar
Roothe kabhi jagre kabhi jeete kabhi haare kabhi
Lakin chode na humne ik duje k sahare kabhi
Alag rahe door rahe par judhe rahe dil k taar
Itne saalun mein, Itne saalun mein ,,,,,,,,,,,,,

Phele hum tum donu they aur apne sapne they
Sambhal sambhal k pyar ki rah pe kadam rakhne they
Dheere dheere pyar bada duniya badal gayi
Tere mere milne se takdeer sanwar gayi
Teen se char char se panch huve ban gaya sansaar
Itne saalu mein...........

Tu patli patank slim trim se todhi see mothi ho gayi
Mera khana phela chokha tha ab shooki roti ho gayi
Tere baal kaale naseele they ab todhe safed ho gaye
Teri meri sooch mein todhe se matbed ho gaye
Lakin apne pyar ka kam huva na karobaar
Itne saalun mein ...............

Tere moun mein jubaan na thee yeh kal ki baat lage
Ab tu Rani Jhansi bani hai aisse halaat lage
Premika se patni banni patni se ban k Ma
Saas ban k kya karna hai yeh bhi samaj lena
Naye ristun pe poora utarne ko ho gayi hai tu tayaar
Itne saalun mein,,,,,,,,,,,,,,,,,

Maan sammaan bhi diya tujko pyar k saat saat
Duvayen sada dee hai tuje jhod k donu haat
Teri kisi bhi khawaish ko adhura nahi rehne diya
Dard ko teri ankhun se kabhi nahi behne diya
Kabhi bhari mann huva tera toh kiya halka tumara bhar
Itne saalun mein.....................

Saturday 24 August 2013

GAZAL : Jab Se Kar Lee Humne Pyar Ki Padai

Jab se kar lee humne pyar ki padai
Koi aur baat apni samaj mein na aayi

Subha sham tera hi naam japte hain
Khuda se kar lee hai todhi ladai

Tum roam roam mein aa k bas gaye ho
Judai bhi ab toh lage na judai

Har cheez pe apna haq ho gaya hai
Pyar pa k pa lee hai saari khudai

Agar humne har vaada hai neebaya
Tune bhi kee poori joh thee kasam khai

Woh kehte hai pyar ka sabak bahut pad liya
Ab karni nayi humko aage padai

Main isse kehta hoon mahobat ka jadu
Andhere mein bhi rahe saat teri parchai

Mahobat kee hai gunha toh nahi hai
Baat apne dil ki hai sab ko batai

Mohobat ka aisa asar dekha maine
Duniya muje ab lage na parai

Abhi tak sirf sher likta tha "Chahat"
Likne laga hai ab toh woh rubai


Thursday 22 August 2013

Dil Se Bayaan Kiya Hai

Mera dard tujse alag kahan, meri khusi tujse juda nahi
Meri arzoo hai bas tu hi tu, maine maanga kabhi khuda nahi


Mere liye tu badal de, yeh mausam yeh hawa
Sapnu ko satrangi karo aisa bhi nahi kaha
Rakhi ka din hai Bhaiya bas itna kijeeye
Sacche mann se deejiye mujko har duva.

Hume pyar hai teri har kammi se pyar hai
Teri acchaiyun se toh sabi pyar karte hain
Tu hai k tujko kisi karismein ka intazar hai
Hum hain k tere bharose pe aitbaar karte hain.

Meri kahani mein tera joh bhi hissa hai
Wohi toh sunne sunane layak kissa hai
Baaki ki saari kahani berangi hai
Na koi aur hai saati na sangi hai.

Alag hone ka feshala tera tha, joh maan liya tha maine
Dukh is baat ka hai, k gaale lag k kyon juda na huve
Ajeeb kahaani hai apni ajeeb hai pyar ka fasana
Hum alag ho bhi gaye "Chahat" par bewafa na huve.


Tum muje chod k gayi ho, samaj aa gayi hai, yeh sachai mujko
Phir kyon jeene nahi deti, pass aa aa k, teri parchai mujko


Koshish tuje bhulane ki karta hoon raat din
Phir bhi teri yaad muje aati hai subha sham
Agar apne beech mein koi rista nahi raha
Phir judai teri kyon muje rulati hai subha sham


Jindagi ko suljaane ki cha mein, kuch aur ulajte ja raha hoon main,
Pehle khawab abhi poore huva bhi nahi,phir kyon naye bunnte ja raha hoon main.

Aey bewafa ja tujko mauf kar diya humne
Chahanewale kabhi ranjish nahi paalte dil mein
Aaj teri joh haalat hai kabhi na aisee hoti
Khas k khus dher aur tum hum ko sambhalte dil mein.

Muje dukh dard hai jab se pata chala hai logon ko
Dushman bhi afsoos kar rahe hain dostun ki tarah


Mere naam se judh k badnam na ho unn ka naam isliye
Gumnaami k andherun se hum dosti kiye hain.
Ab bas itni khawaish hai "Chahat" k chain se maut aaye
Darr darr k jiye hain pyar mein mar mar k jiye hain.

Dik k kagaj pe, teri tasveer banai na gayi
Chahate rahe tuje, par dil ki baat batai na gayi
Umar bhar jalte rahe, tere hi pyar ki aanch mein
Aag joh dil mein lagi thee, kyon woh bujai na gayi.

Eid Bhi Aur Teej Bhi

Aavo tayohaar hum aise manayen desh mein,
Eid mein ho dewali aur dewali mein Eid ho,
Hindu ko apne dil mein dikhe Mohamad
Aur Muslim ko ankhun se Ram ki deedh ho.

Khusiyun milen gi sabko, badh gayi hai yeh umeed
Kyon ki aaj hi hai Teej, aur aaj hi hai aayi Eid
Hindu Muslim Sikh Esai,mill k manaye ge donu
Teej bhi hai hamari, aur nahi hai parai Eid


Hamare desh mein tayohaarun ki ronak ajeeb hai
Har Sehar Kasba aur Gaon dulhan sa sajta hai
Gali kuchun mein hoti hai dhol baaje ki ghoonj
Aur insaanu k mann mein bhi nagara bajta hai

Tayohaar mil k manaye jayen, hai yeh apni parampara
Sajdaj k ladke Raja lagen, aur Ladkiyaan apsara
Har chere pe khusiyun ka rang chad jaata hai tayohaar mein
Log gale milte hain ik duje se khul k pyar mein

Phir aaj kyon kya huva kyon ronak nahi hai aaj
Kyon tayohaar pe khamosh hai aam adami ki awaaz
Kyon Hindu Muslim ka farak ho raha hai Teej par
Kyon insaan ko bhanta ja raha hai aaj Eid par

Na Hindu ko raas nafrat, na Muslim ko raas vehshat
Iss desh ko chala sakti hai, mere yaaro sirf mahobat
Kishtwar Guwahti ya Delhi khoon bahvo na keemati tum
Kyon ki khoon insaaniyat ka hota hai, marre adami ya aurat


Aavo sabi mil k khate hai yeh kasam
Koi kuch bhi kare saat saat rahe ge hum
Jaisa pehle hoti thee ronak tayohaar ki
Vaise hi hum khusboo bekehren ge pyar ki

Phir se sabhi mil k manaye ge Christmas
Phir se sabhi mil k khelen ge holi
Phir se Dewali pe bhante jayen ge toffe
Hume mil jayen k saat saat rehne k mooke

Wednesday 21 August 2013

Apna Kishtwar

Kisi ka jalla makaan, kisi ka marra hai bhai
Kisi ka dhan luta hai, kisi ne dil pe chot khai
Kishtwar mein aisa hoga, kabhi soocha bhi nahi tha
Jahan Hindu aur Muslim they, ik duje ki parchai

Na Hindu marra na Muslim, Insaaniyat aaj marri hai
Heraan hoon kalam walun ne, gholi kaise chalai
Pathar kis ne phenka, bhaiichara kis ne thoda
Apnu ne hi felai affwayein, apnu ne hi aag lagai.


Hindu muslim pe ilzaam laga raha hai
Dosh nahi hai mera galti hai tumari
Muslim keh raha hai Hindu ki hai galti
Donu ki ladai mein insaniyat hi haari

Sache mann se aavo khuda se karen duva
Sab kuch yahan ho jaye pehle k jaisa
Hindu dobara se khus ho k Eid manayae
Aur Muslim diwali pe phir se deep jalaye

Aisa zaroor hoga muje poora yeh yakeen hai
Kishtwar ki zameen Oliyun Waliyun ki zameen hai
Yahan khoon na bahe ga yahan phool khilen ge
"Chahat" Hindu Muslim dobara gaale milen ge.
 

Tuesday 20 August 2013

Oh Bhaiya Mere Aaj Hai Rakhi

Mann mein hain umeeden, ankhun mein hain paani
Honton pe hai khamosi aur chere pe paresaani
Aaj phir maine apne mann ki hi maani
Baandhne aayi hoon tujko pyar ki nishani
Saal bhar ki galtiyun ki maangti hoon maufi
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi,Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi

Bachpane se aaj tak humne mil k dard baante hain
Door kar k aaj bhi joh meri rahun mein kaante hain
Tera bina bhaiya main aaj bhi adhuri hoon
Kya tere vaaste main nahi zaroori hoon
Prabhu se duva hai apna rista aur gehra ho
Meri safalta ka bhi tere sar pe sehra ho
Apne beech mein sada pyar rahe baaki
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi
Oh Bhaiya mere aaj hai Rakhi

Bhool chuka hoon main bhi saari kadwi baatein
Apne beech ho huvi thee kuch aanchai mulakaatein
Kadwe bhoolun se bandan tootey nahi hai
Kon kehta hai Bhai Behan roothte nahi hai
Aa ja aaj saare gille sikwe door kar le
Apni jholiyun ko phir se khusiyun se bhar le
Tere pyar ki gehrai maine mann se hai naapi
Oh Behna meri aaj hai rakhi 
Oh Behna meri aaj hai rakhi
Meri galtiyun ko tu bhi de de maufi
Oh Behna meri aaj hai Rakhi

Roothe ge kabhi na hum aavo aaj kasam kha le
Chandan k teeke mein pyar ki bhoonde ko mila le
Rakhi k dhaage mein duvavun ko chupa k
Mann k har ek mutape ko mita k
Phir se pyar ki dagar pe chalen ge
Ab ankhun mein pyar k deep jalen ge
Bhai sunn ne lage ga phir se behan ki pukaar
Pyar se har saal maanaye ge rakhi ka tayohaar
Rakhi ki aeymiyat kya hai kisi se jaye na aaki
Oh Behna meri aaj hai Rakhi, Oh Bhaiya mete aaj hai Rakhi

Monday 19 August 2013

Neta Aur BhaiChara

Aaj desh ki joh halaat hai usse humne hi banaye hain
Kyon ki humne acche log nahi neta banaye hain
Jitney bhi lafange hai gunde hai mawaali hain
Wohi log kar rahe, is desh ki rakhwali hain

Unn ka kaam hai gumrah karna apne fayade k liye
Kasm pe kasam khayen ge woh jhoote vaade k liye
In ki atma marr chuki hai inn pe bharosa na keejiye
Kisi bhi zaroori sabha mein inn ko aane na deejiye

Kashmir mein joh lagi hai aag, usse miljull k bujaiye
Kisi bhi Party ya Neta k na chakkar mein aaiye
Yeh rotiaan sekhte hai aag main khhon pe karte hain rajneeti
Inne koi garaz nahi hai kisi se kya sunne ge kisi ki aapbeeti

Koi Hindu ban k aaye ga koi bane ga musilmaan
Kash k koi inn mein ban k aata sirf ik insaan
Koi Gita pe dega bhasan koi bhole ga hai khatre mein Quran
Inn k liye keemati vote hain khodi ki bhi nahi hai jaan

Kashmir se Kanyakumari tak yeh zehar felayen ge
Bhasan de k galat bayaani kar k aag aur bhadkayen ge
Teh kar lo kisi bhi neta ko Kishtwar na aane denge
Aur zurm jis ne kiya hai uss ko saza bina na jaane denge

Hindu ho ya musilmaan jis ne bhi Hinsa felai
Uss k ooper Sarkaar kare aisee sakhat karwai
K "Chahat" dobara aisa hadsa kahein bhi na ho desh mein
Koi Bedhiya na rahe hamere beech Khargosh k besh mein

Sunday 18 August 2013

GAZAL: Apne Aap Se Mille Hi Humko Zamana Ho Gaya Hai

Tadap rahe hain namumkin kisi ko bhulana ho gaya hai
Uss pe kayamat k jaanleva yaadun ka aana ho gaya hai

Itna mashroof kar diya hai humne khud ko aaj kal
K apne aap se mille hi humko zamana ho gaya hai

Sirf tere baare mein soochta hai sirf teri sunta hai
Pyar mein jab se yeh dil dewaana ho gaya hai

Jin ko ungli pakad k maine seekhaiye thee nayi baatein
Wohi mujko keh rahe hai tu purana ho gaya hai

Woh aadami joh mehfilun mein leh aata tha ronakien
Kya baat huvi kyon ussi k dil mein veerana ho gaya hai

Kyon udasi aur bebasi chahi hai mahobat ki duniya mein 
Sache pyar mein muskil hasna muskarana ho gaya hai

Iss daur mein zahanat ki kadar karnewale hain kahan
Hans murakh bana hai aur kauva sayana ho gaya hain

Bas pyar k siva kuch aur kar na saake hum
Isliye badnaam gali gali afasana ho gaya hai

Mere dil k naseeb mein toh likha tha barbaad hona
"Chahat" kisi ki mahobat ka bas bahana ho gaya hai

Saturday 17 August 2013

GAZAL:Hum Tere Naam Se Hi Khud Ko Pukaar Lete Hain

Hum tere naam se hi khud ko pukaar lete hain
Kismat apni joh bigree hai sanwaar lete hain

Tu mera hai tu nahi mera khelte hain yeh khel
Aajkal hum waqt kuch aisay gujaar lete hain

Tu nahi mera huva toh phir kuch nahi mera
Yeh scooch k har khawiish ko maar lete hain

Ankhun se katal karne mein woh hote hai maahir
Husanwale haatun mein kab talwaar lete hain

Door reh k bhi koi rista hai unn se mera 
Tabhi toh jodh dil se hum dil ka taar lete hain

Apne chere pe shayad likha hai hum hai pagal
Iss liye bhole ban k log apna pyar lete hain

Pyar karne ki koi khas ada hai hum mein log kahen
Jisey bhi chahate hain dil mein uttaar lete hain

Ajeeb chalan hai yeh k khud ko bachane k liye
Acche wakilun ko hi bade gunagaar lete hain

Ek dil hi de k na samjo "Chahat "de diya sabkuch
Log mahobat pe apni jindagi bhi vaar lete hain

Friday 16 August 2013

Desh Seva

Desh ki seva karna, sab k naseebun mein nahi
Seva karna hai ik kala, joh sab ko aa sakti nahi
Wohi hai kismat ka dhanni, jisse aisa milta hai mokha
Himmat aur wafadaari kabhi jaya ja sakti nahi

Seva k liye sirf hathyaar ki zaroorat hi nahi
Tu kalam se bhi kar sakta hai desh ki seva
Mehnaati ban imandaari kar kyade kanoon ko maan
Aisee seva se bhi hoga Mera Desh Mahaan
...
Hum sab agar apna apna imandaari se karen kaam
Subha hamari khil sakti hai, haseen ho sakti hai sham
Koi kare seema ki suraksha, koi karen karkhanu ki rakhwali
Humey har phool ki dekh rekh karni hai, ban k us ka maali

Desh ne humey sabkuch diya hai, humey bhi kuch dena hoga
Desh agar muskil mein hai, toh humey nahi sona hoga
Aavo aaj kar le feshla k desh k kuch kaam aayen ge
Apne apne sehyog se hum Savtantar Diwas manayen ge.

Kuch Aur Rubiyaan

Dil todhne wala ghair nahi tha apna tha
Dil ke saat saat toota har ek sapna tha
Ankhun mein naumeede aaj bhi aati hai nazar
Logon ko ho jaati hai mere dil ki khabar.


Jis ne dil k kiye tukhre tukhre, uss ko bhi toot k pyar kiya
Jis ne ek pal bhi saat na diya, uss ka barsun intazar kiya
Hum bhole hain acche hain ya sacche hum nahi jaante
Bas sachai yehi hai k bharosa ussi ne todha jis pe aitbaar kiya.


Ek darwaza bhand huva toh khul gaye kitne
Tere jaane k baad muje dost mil gaye kitne
Par koi tuj sa jindagi mein phir se aa na paya
Dil bhi pagal hai "Chahat" tujko bhula na paya


Main kab kehta hoon, koi umar bhar mera saat de
Yehi bahut hai koi aaye, muje dekhe chala jaye
Chale jaane k baad uss ko meri yaad aaye gi
Main aisee cheej nahi "Chahat" jisse koi bhula jaye.


Bewaja khus rehne ki koshish, wohi karte hain
Apne hi jin ki ankhun mein, ansu bharte hain
Jisse pyar mila ho, uss ka ansu bhi hasta hai
Toota dil bhi jhude, agar pyar uss mein basta hai.


Dil k aaine mein teri tasveer sajai hai kab se
Doondali ho gayi hai baat dil ne chupai hai kab se
Main yeh maan k chal raha hoon tu sirf hai meri,
Par log toh kehta hain k tu ho gayi parai hai kab se.

Koi dewaar tuje mujse alag na kar payi
Tu sada saat rahi ban k meri parchai
Logon ne dekha hai sirf roop rang mera
Sirf tune dekhi hai dil mein pyar ki gehrai
Maine aknh band k bharosa kiya hai tujpe
Mar jaavun ga "Chahat"agar wafa tune aajmai.


Khuda se duva yehi hai mere desh ko bachaye rakhna,
Isse apne hi lootne mein kab le lage huve hain,
Har bhurai mein apnu ka haat hai kisi ghair ka nahi,
Apne huva hai sootele aur bahirwale sagge huve hain.
Koi CIA ISI ya koi aur taqat kar sakti nahi apna nuksaan,
Hum saat rahe agar toh tabhi Bharat hoga Mahaan.

Tuje rahun mein chod k, main aage ja bhi nahi sakta
Saat chalna bhi hai muskil, aur peeche aa bhi na sakta
Ab main kya karun tu hi, bata mujko humsafar
Main badal na pavunga, badal le tu dagar.


Kyon mahobat pe hamesha ilzaam lagaye jaate hain
Raastun pe akshar kaante bechaye jaate hain
Pyar karnewale dard sehte hain hass k " Chahat"
Aur zakhm dil k phir bhi sabse chupaye jaate hain.

Jin din bina bhole, woh samaj jayen ge dil ki baat
Uss din sab ko chod k, woh aa jayen ge mere saat
Phir kuch iss tarah se hogi, dil se dil ki mulakaat
Yaadgaar ho jayen ge din, bhule gi na koi raat.


Jin ko main rooh mein chupane ki baat karta tha
Woh mere dil mein bhi bas na sakke baat itni hai
Kuch pal rukhe chuva chooma pyar kiya laut gaye
Aur bhole aajkal pyar aise hota hai mulakaat itni hai
Sham dalne pe joh mille muje raat hote hi chod gaye
Main kehta raha unse 'Chahat" rukho baaki raat itni hai.


Dosti mein pyar na ho toh bhi chalegi dosti
Par pyar mein dosti na ho toh pyar chal sakta nahi
Bhanvare ko jalne k vaste hai samma ki zaroorat
Akele chahe bhi toh bhanvara jal sakta nahi.

Savtantar Diwas - Ek Nirasha

Apne pass kya nahi hai Ganga Godavari bhi hai Sindu bhi hai
Ganit Jyotish k saat saat duniya ko dee Zero wali Bindu bhi hai
Himalaya bhi sar pe hai apne pavun mein hain theen samundar
Jungalun mein hain jhari butiyan aur sona hai bhoomi hai andar

Har mausam yahan aata hai le k apna rang roop
Khein saawan barasta hai aur khein khilti hai dhoop
Hawaein mere desh ki khusboo felaati hain har jagha
Pa...harun pe goomate hai yogi doondane ko sachai aur khuda

Khuda ne sabkuch diya hume phir bhi hum pichde huve hain
Kehne ko hum hai bhai bhai par mann se kyon bichde huve hain
Kyon saat saat reh k hum kayam rakh nahi sakte bhaichara
Kyon aaj Hindu ne muslim ko loota kyon muslim ne hindu ko maara

Joh log apni maddat nahi karte hai khuda bhi unn k saat nahi hota
Maine sunna hai galat logon pe kabhi bhi khuda ka haat nahi hota
Aavo kasam kha len k ab k Savtantar Divas pe aisa karen ge kaam
Na khud ko hone den ge chota na Desh ko hone den ge badnaam

Patni - Shareeke Hayaat

Meri shareeke-yahaat ne kaha, mujpe bhi likho
Dusarun pe aap ne likhe, khein geet hain
Maine kaha shayar sab ka hota hai, ek na nahi
Kon kehta hai yeh aap k, nahi geet hain

Aap ko dekh k kalam uthata hoon main
Geet chere pe kitne likh jaata hoon main
Par masroof hai aap mujko sunte nahi
Gazal aap ko jab apni sunata hoon main

Khane se chula chakki se aap ko fursat nahi
Bachhun k hote meri aap ko zaroorat nahi
Ghar k kaam kaaj mein aaap masroof rehte hain
Issliye mujko aap yeh baat kehte hain

Aap ko meri shayari mein pyar na dikhe
Aap k liye maine joh bhi sher hain likhe
Unn mein aap ko koi dusara aata hai nazar
Samjate samjate dukhne lagta hai mera sar

Jab se aap meri jindagi mein aayi ho
Tab se mujko sakoono- karaar hai mila
Dil ki keh leta hoon sunn leta hoon dil ki
Jab se aap se mujko sacha pyar hai mila

Phir bhi woh mujpe aitbaar nahi karte hain
Gazal ko pad k thandi thandi aahyen bharte hain
Har sher mein unn ko sautan ki chavi dikti hai
Dost Facebook pe jab koi meri naavi dikti hai

Silver Jubilee hone wali hai apni shaadi ki
Bhurapa aa raha hai jawaani dhal rahi hai
Jawaani mein jab koi kahani bani nahi apni
Ab kya bane gi sans muskil se chal rahi hai

Theen bachun ka baap hoon khabar hai sab ko
Raat din main manaata rehta hoon rab ko
Ashique ka mere pass wqat hi kahan hai
Kyon ki meri patni abhi bhi jawaan hai

Dekne mein hum bhi jawaan hain log kehte hain
Phir bhi dekho hum ek hi dil mein rehte hain
Woh Patni ka dil hai kisi aur ka nahi
Dahej mein mila tha kaam chor ka nahi

Agle saal karnewala hoon main bachhe ki saadhi
Khud pyar kar k karun ga na main apni barbaadi
Sirf Patni se pyar karta hoon sab log jaante hain
Main sacha Patni Varta hoon yeh bhi maante hain

Tang aa k main patni se ab kuch na kehta hoon
Woh Gazal pade ya Geet main khamoosh rehta hoon
Unn ki baat ko sunni unsunni kar deta hoon
Woh kataasq bhi karti hain toh hass k sehta hoon

Aur sehna mere liye "Chahat" jab ho gaya bhari
Tab ja k ek din maine yeh line sunna maari
Na mera dosh hai na hai yeh galti tumari
Tum mehbooba nahi ho jaanam patni ho hamari.

Wednesday 14 August 2013

Ladki

Jindagi bhar tuje imtihaan dene honge
Kyon k asli dushman tere hi apne honge
Ghairun ka hissa mamooli sa hoga teri barbadi mein
Haste huve taane dete dost hi dikhte honge

Jis ko tu apna banaya gi seene se lagaya gi
Jis pe lutaya gi tu apni jaan
Wohi teri jindagi mein ghole ga zaher
Wohi kare ga tujko paresaan

Jis pe bharosa kar k tu apna sabkuch soonpe gi
Wohi loote ga tuje ussi se tu dookha khaye gi
Tere saat joh bhi hoga accha nahi hoga phir bhi
Kya huva kyon huva kisi ko bata na paaye gi

Joh tuje chahata hoga jaan lutata hoga 
Jeena chahata hoga tere liye
Uss ko tu pehchaan na paye gi
Jab tak samje gi usse woh luta hoga tere liye

Jissey tu bhi mann hi mann mein apna maan chuki hogi
Jissey tu wqat k saat pehchaan chuki hogi
Woh teri duniya se door chala jaye ga
Tu chahe gi bhi toh laut k na aaye ga

Jis ne saare jahan ki na sunn k 
Sunn k asmaan ki tuje pyar kiya hoga
Jis ne tera saath door se diya hoga 
Aur tere anchaye jhoot pe bhi aitbaar kiya hoga

Jo tuje apni jaan se zayada pyar karta hoga
Phoolon ki tarah rakhna chahata hoga tujko
Jis ne tere liye bacha k rakha hoga khud ko
Ussi ne mann mein chupa k rakha hoga yudh ko

Uss k liye na sahi par apne liye hi kuch toh kar le
Oh bholi bhali seedi sadhi Ladki iss duniya se ladh le

Thursday 8 August 2013

Meri Rubaiyaan

Aap umeedun ko nahi todhte log kehte hain
Hum aap se hi pyar ki umeed karte hain
Aap k saat judhi hai har khusi issliye aap k bina
Na Dewali manatey hain na hum Id karte hain.
                       -------------------------------------
Ankhen bandh ki khawabun mein dedaar ho gaya
Ankhen khuli dil ka devata gunagaar ho gaya
Dekh k unn ko dil aise naachane lagta hai "Chahat"
Jaise holi dewwali se bhi bada tayohaar ho gaya.
                      ------------------------------------
Koi bhi fasla tuje mujse alag kar nahi sakta
Yeh mera feshla hai jisse koi badal nahi sakta
Sirf ik tum ho jis ne choo liya hai meri rooh ko
Koi dusara kabhi mere sanche mein dhal nahi sakta
                    -----------------------------------
Gum khelta raha hai mujse ankh meecholi
Kabhi door chala jaye kabhi bhar jaye meri johli
Sirf dard hi ne mera sada diya hai saat
Door khadi rahi hamesha kyon khusiyun ki tohli.
                ---------------------------------               
Sapne meethe meethe tu kal k dekh le
Mere saanche mein dhal k dekh le
Kar le ik nayi jindagi ki suruwaat
Dosti ko pyar mein badal k dekh le.
                            ----------------------------------
Dushman se bhi na lad sakke aur tumse bhi bigaar dee
Wqat ne berehmi se loota kuch aisse maar dee
Na kismat kaam kar sakki na mehnat rang layi
Tujko bhi kho diya aur jindagi ki baazi bhi haar dee.
          ----------------------------------
Anjaan rastun pe mere saat chalte chalte
Ek anjaan sa insaan dost ban gaya hai
Sab kuch mila hai muft mujko iss riste mein
Na wqat hi huva hai zaya na dhan gaya hai.
                       --------------------------------
Parvah nahi tuje mera dil toote ya lutey
Parvah nahi tuje meri sans rukhe ya gutey
Muje teri parvah bhi hai aur tujse hai pyar bhi
Tu mil jaye parvah nahi meri jindagi bade ya gatey.
                     -----------------------------
Tu mille toh bhand kar doonga dil ki dukaan main
Tere liye chod sakta hoon donu jahaan main
Do gaj zameen k tukde pe chahata hoon tera saat
Kis ne kaha k maangta hoon asmaan main.
                 ---------------------
Dil ko pathar bana k dekh liya
Dard ko bhi chupa k dekh liya
Tere yaad aane se hota hai yeh
Humne tum ko bhula k dekh liya.

               ----------------------------
Jab chahe naraaz hona. jab chahe karna sikwa gila
Abhi suru huva hai, lambha chalega mahobat ka silsilla
Bas itna sa vadda kar le, k na todhro gi mera bharosa
Kasam hai na hone doonga. kabhi dilun mein koi fasla

                    ---------------------------
Yaadun k chirag bhi bujne lagee hain
Haalat ki andhiyaan badi tej hain,
Sambhal na sakkun ga tera pyar seene mein
Waqt ki thaperein padi tej hain.
                    -------------------------
Jab khamoosi dil ka haal sunane lagti hai
Ajeeb see chamak ankhun mein channe lagti hai
Zara see aahat bhi dil ko darrane lagti hai
Hamdardi kisi ki jab rulane lagti hai
Toh samaj lijeye pyar ho gaya hai
Apna nahi raha dil kho gaya hai.
                           -----------------------
Pyar kiya toot k usne, dil todha loot k usne
Hum mein hi koi kammi thee, lagta hai kabhi kabhi
Youn toh bhool chuke hai uss ko, barsun pehle "Chahat"
Par koi jaana pehchana dard dil mein, utha hai kabhi kabhi.

Dard

Dard dene wala agar ghair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
Hamare bina woh ji lega yakin hota

Toh khud ko uss se juda kar lete

Dard apna hi de raha hai hume
Gilla hi uss se kiya jaye ga
Usse door kar nahi payen ge
Door reh k na jiya jaye ga

Dil paresaan mazboor hai kab se
Pass reh k bhi koi door hai kab se
Zakhm joh pyar mein diya uss ne
Ban gaya nasoor hai kab se

Dil hai k tadapta rehta hai
Dard jaise kaise sehta hai
Iss mein agar woh na rehte
Isse kab ka fana kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
 
Dil ki kahanai hai alag ajeeb kissa hai
Sulagta hai, bujta hai na jalta hai
Iss ko sabkuch accha lagta hai
Bas tera no hona bahut khalta hai
 
Tere baare mein poochta hai sab se
Tujko raat din mangta hai rab se
Tujko dher se pata chala pyar ka
Yeh toh marta hai tumpe kab se
 
Roshni ab dil ko bhaati nahi
Yaad k saat tu kyon aati nahi
Yaadun k chiragun k bujne ka darr na hota
Hum jhor ki hawa kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete
 
Dard humko jaan se pyara hai
Dil bhi jaane diya tumara hai
Iss mein ik alag se masti hai
Meri duniya issi mein basti hai
 
Dard k bin main adura hoon
Dard se meri jindagani hai
Dard se sher main banata hoon
Dard se meri har kahani hai
 
Dard se duniya ko jaana hai
Dard se hi tuje pehchana hai
Tune bhi dard saha hai kitna
Issliye tumko apna maana hai
Dard mein agar maza na hota
Pyar mein kuch aur naya kar lete
Dard dene wala agar gair hota
Toh hum dard ki dava kar lete