Monday 23 March 2015

Geet: Mann Ko Chain Mila Bina Dekhe Tujko

Mann ko chain mila bina dekhe tujko
Tujko mehsoos karta hoon teri khusboo se
Ab toh dar yeh hai ke pyar ho na jaye, 
Main ladne laga hoon apni arzoo se.
Arzoo andhi hai ya aankh wali, feshala yeh hum ko karna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil, saat saat ab jeena marna hai

Tu woh hai joh kal tak na thi mere khaboo khyalun mein
Tu wohi hai joh aaj bassi ko dil ke masoom sawaalun mein
Teri tasveer dekh ke hi nassa chada hai mujhe
Aisa lagta hai koi sadma laga bada hai mujhe
Har taraf rangeeniyaan hai phir bhi udas rehta hoon
Sab kuch chod ke teri yaddun ke saath rehta hoon
Dil kehta hai har had se ab mujhe gujharna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

Bina dekhe tujhe aisa huva dekh ke kaya hoga
Dekhun ga toh woh manzar sab se juda hoga
Yakin hi nahi hoga ke tu hai itne pass mere
Choo ke dekhun ga toh bhadkein ge aisash mere
Khawaab sach hote hain yakin ho jaye ga muhje
Maloom na tha koi itni jaldi apna banaye ga mujhe
Ab toh ahista ahista teri dil mein mujhe utarna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

Ek baar dekh ke choo ke tuje khawaish aur machal jaye gi
Mujh ko lagta hai tujse mil ke meri jindagi hi badal jaye gi
Phir se jawaan ho javun ga main, tujpe kurbaan ho javun ga main
Tujko bana ka apne dil ka mehazbaan, khud mehmaan ho javun ga main
Phir teri meri jawani mil ke ek nayi kahanai likh daale ge
Pyar ke jaane anjaane aishash ko dil ki jholi mein paale ge
Uss aishash ko phool ki tarah har mausam mein khilna hai
Door rehna ab ho gaya mushkil.......................

New Year - Navroz - Meri Arzoo

Accha sab ke liye Navroz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho, 
Sukh shanti bhaichaara bade duniya mein, 
Aur acchi cheezun ki khoj ho.
Accha sab ke liye Navroz ho 

Koi kisi ke liye bhura na sooche, 
Koi kisi ko na de dokha, 
Har ek ko uss ka haq mile, 
Poori azadi mile mile har mokha, 
Masti se bhari ho sab ki jindagi, 
Aur har ek ke dil mein mauz ho.
Aur aisa hi din har roz ho ......... 

Apni jimmewari sab karen poori, 
Wohi kaam kiye jayen joh zaroori, 
Kisi ke dil ko koi dukhaye na, 
Kisi ki raah mein rodha atkaye na, 
Ristun mein rahe itni imandaari,
Ke kisi ke dil pe na koi bauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho............

Pyar ka rang gulen gulistaanu mein, 
Umeedun ke parcham leyrayen asmaanu mein, 
Duniya mein sab se aage jaana hai hume, 
Aisee shakti gulli ho apne pranu mein, 
Kamyaabi hume mile har ladai mein, 
Asmaan pe ladi jaye ya zameendoz ho,
Accha sab ke liye Navroz ho.............

Har deshwasi ko suvida mile dhoop mein aur chhavun mein, 
Taaraki ki khusboo fehle har gaon gaon mein, 
Har bete ke chere pe ho ronak, 
Kanta bhi na chube kisi beti ke paavun mein, 
Sab ko ek sa pyar mile apnu se begaanu se
Ram ho ya Mohd Salma ya Saroj ho, 
Accha sab ke liye Navroz ho..............

Apne saat saat desh ka soocha jaye, 
Seva ka mokha haat se na jaye, 
Har roz nahi par jab bhi de sakko, 
Jitna ban sakke desh ko diya jaye, 
Zaroorat padne pe desh ke aaye kaam "Chahat" 
Apne pass mar mitne wali fauz ho, 
Aur aisa hi din har roz ho,,,,,,,,,,,,,,

Monday 16 March 2015

GHAZAL : Apne Riste Ka Humey Koi Toh Naam Rakhna Hai

Apne riste ka humey koi toh naam rakhna hai, 
Main bikhun ya na bikun mujhe apna daam rakhna hai.

Accha lagta hai tuje meri aankun ka nasha iss liye, 
Tu piye ya todhe mujhe bhar ke jaam rakna hai.

Dard mahobat ka khoon ban ke ragun mein dhore ga, 
Rista iss se din raat subha sham rakhna hai

Pyar mein bad se badnaam bhura hota hai, 
Tu nahi mera yeh charcha aam rakhna hai.

Bhoole se koi accha insaan na aa jaye iss mein, 
Apni mehfil ko hamesha  badnaam rakhna hai.

Dil ke mandir mein bassein donu toh puja hoti hai, 
Sita lanka mein ho toh mujko na raam rakhna hai.

Mera jeena marna kuch bhi nahi hai tere bina, 
Apni sansun ko bana ke tera gulaam rakhna hai

Tu mera ho  na sakke ga tamaam umar pata hai mujko, 
Phir bhi tere liye hi aakhiri saalaam rakhna hai. 

Friday 13 March 2015

GHAZAL: Dekh Ke Andekhi Koi Toh Wajah Hogi,

Dekh ke andekhi koi toh wajah hogi,
Kissi ko hoga gussa ya phir wafa hogi

Abhi toh pass hai mere nahi kadar koi
Kadar samje gi meri jab juda hogi

Kyon khud se zayada bharosa hai uss pe
Log toh kehte hai woh bewafa hogi

Woh saamne reh ke bhi na bolen mujse
Iss se badi aur kya koi saza hogi

Acche bhale the kal tak aaj kya huva
Dil pe bhoj hoga ya sarmo-yaha hogi

Ab unn se baat karne ki aadat hai mujhe
Ho na payi toh dopehar be-maza hogi

Dil ko dukhane wale tu khus rehna sada
Mere honton pe sada hi yeh duva hogi

Pyar ke dard pyar se hi metaya ga yaar
Chera dekhun ga tera toh meri dava hogi

Poojane laga hoon kisi ko ab main "Chahat"
Badi jaldi woh insaan se khuda hogi

Monday 9 March 2015

GHAZAL: Khud Ko Khuda Samaj Lene Ki Galti Kee Hai Lakhun Ne

Khud ko khuda samaj lene ki galti kee hai lakhun ne
Bahut gamand karnewale ko mitti chatai hai paapun ne

Yeh daur kuch aisa hai ke iss daur mein sabkuch ulta hai
Doodh chod ke paani pee liya hai aasteen ke saapun ne

Batavo tum mujhe aey dost who aadami kaya bole tujse 
Kaat lee ho jis ki jheeb khud hi uss ke daatun ne

Bhure halaatun mein jis ko maangne se bhi maut nahi aayi
Par jab woh jeena chahata tha tab saat diya na sansun ne

Aisa nahi hona chahiye par aisa akshar hi hota hai
Dokha har insaan ko diya hai uss ke hi riste naatun ne

Dil ki chooti sachi baatein kyon pyar mein asar nahi karti
Loota hai kitna dil ke zazbun ko badi badi jhooti baatun ne

Azadi ki keemat woh hi samje joh qaidi ban ke kabhi raha ho
Gandhi Ji ko bada banaya tha jail ki hi kadhi salakun ne

Maine aisa bhi dekha hai gulistaan mein hote huve "Chahat"'
Ke phoolun ko giraya hai khud unn ki hi shaakun ne.

Friday 6 March 2015

Geet: Rangun Ki Yeh Holi, Yeh Holi Ke Rang Hain,

Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain, 
Khusiyun ki yeh holi, hum donu sang hai, 
Umeedun ke rang milen ge jab holi ke rang mein, 
Khawahisun ko jhod doon ga main tere sang mein. 
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Dushman bhi dushmani bhool ke pyar ke rang barsaye,
Khuda karen iss baar aisee hi holi aaye,
Sikwe gile gul jayen paani ke rang mein, 
Dooriyan kahan rehti hain jawani ke rang mein,
Dilun ki fasle ko mitane ki Holi ho, 
Aaj sab ko apna banane ki Holi ho, 
Badal ke bade ho jayen ge dil jin ke tang hain.
Chere se sab khus hain aur mann se malang hain, 
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Pyar ka gulaal bhikre ga iss holi mein aur zayada,
Tera mera pyar nikhre ga iss holi mein aur zayada, 
Naye rang pyar ke tujpe chadane ka hai erada, 
Poora kara hai maine phili holi ka har vaada, 
Hum tumse juda kabhi na the, Aaj bhi toh sang hain, 
Dekh ke apne pyar ko sab log dhang hain,
 Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Lal se bharun maang teri, Harra teri zulfun pe bekhairun ga, 
Peela tere chera pe haatun pe laga ke, Apni ungilyun se tujhe main chedun ga, 
Tere ghore ghore chere pe jab mere haat rang lagayen ge, 
Tere mann ke sabhi taar khud-ba-khud baj jayen ge, 
Hum aise mast ho jayen ge jaise piye bhang hain, 
Sajni kya karun unn ka joh uthe dil mein tarang hain.
Rangun ki yeh holi, Yeh holi ke rang hain

Wednesday 4 March 2015

Geet: Dooriyun Ko Fasalun Ko Mitata Chala Gaya

Dooriyun ko fasalun ko mitata chala gaya, 
Ek saksh mujko apna banata chala gaya, 
Kuch uss ne mere dil ki suun lee baatein
Aur kuch apni aapbeeti sunata chala gaya

Khamosi thi jindagi mein phir koi awaz aayi, 
Achanak mere dil ko choo ke laut aayi, 
Main sunti rahi woh pyar se sunata chala gaya

Mera chera hai chand jaisa jalwe hai asmaani, 
Mujko sunna di uss ne mere pyar ki kahani, 
Woh khoobiyaan meri mujko batata chala gaya

Meri ankhun pe uss ne likh dali gazal kavita, 
Main kaise bhoolun gi woh waqt joh uss ke sang beeta, 
Geet apne pyar ka woh gaata chala gaya

Mere dil ke har feshle se ashna hai woh, 
Mere dil mein agar nahi toh phir kahan hai woh, 
Mere dil ke raaz woh mujhi se chupata chala gaya