Sunday 30 June 2013

Bhajan: Simran Karun Tera Prabhu, Main Simran Raat Din Karun

Simran karun tera prabhu, main simran raat din karun
Subha sham mann ko laga sasun ko gin gin karun 
Dher se sahi teri mehma ka, mujko pata chal gaya
Tu hi bata main aur kya, tere siva tere bin karun 

Pad liya likh liya paisa bhi kama liya bada
Aage badne ki dhor mein main apnu se hi kitna lada
Sab karte hain joh woh maine kiya kuch na alag huva
Sacha kiya accha kiya bhura kiya iss se farak kya pada
Apne liya sab jeete hain aurun ki liya ab jeena hai
Mera mann chahe sansar se, main kuch toh bhin karun
Simran karun tera prabhu.............................

Bangla mila gaadi mila izzat mili shorat mili
Kabhi mehnat se kabhi kismat se par muje daulat mili
Jeena ka saara samaan tha par jeena muje aaya nahi
Jindagi ki iss dhor mein kabhi sukh chain maine paya nahi
Kuch alag karne ki cha main bhool gaya tujko Prabhu
Duvida hai Ma baap guru ka poora kaise main rin karun
Simran karun tera prabhu............................

Saturday 29 June 2013

Gazal:Gamun Se Rista Mera Bahut Purana Nikla

Gamun se rista mera bahut purana nikla
Dil toh tutana tha, pyar bas bahana nikla

Dard mein dam kahan tha k todh sakta dil
Dard ka dil se sadiyun ka yaraana nikla

Kal dekha tha usse aur aaj na dekha toh laga
Didaar ki hasrat mein jaise k zamana nikla

Jis ki ankhun se hotun se peene ko main tarsa
Logon k liye usske pass khula mehkhana nikla

Yeh pyar kaisa k shamma jalti rahi mehfil mein 
Phir bhi pass uss k na gaya darpok parwana nikla

Sab ne pyar jata k jisse barbaad kiya "Chahat"
Mere siva koi aur na itna deewana nikla 

Thursday 27 June 2013

Meri Khusiyun Ko Deemak Lagi Hai Yeh Kon See Waza Hai

Duniya se chupa sakta hoon, par tujse na kuch chupa hai
Par joh mujko mil rahi hai, kish zuram ki saza hai
Tu jaanta hai khuda maine, kuch bhi na kiya gunha hai
Meri khusiyun ko deemak lagi hai, yeh kon see waza hai

Bahir banaye rakhi hai tune meri izzat meri shorat
Lakin kyon badli hai mere ghar ki seerat surat
Udasi bebasi lachari meri ankhun mein hai chhaee
Khus rehne k liye doondana padta hai muje mahoorat
Badli huvi mere hi ghar aangan ki hawa hai
Meri khusiyun ko deemak lagi hai.......................

Apne hi mujse mere hona ka saboot mangen
Dil nahi woh toote dil ki, baaki ki toot maange
Kabhi apnu pe maine kee na koi bhi shakkti
Maine sabkuch unne diya hai woh zara see choot mangen
Sabkuch pehle jaisa ho mere dil se nikle duva hai
Meri khusiyun ko deemak lagi hai.........................

Oonchi awaz mein bhi hum jin k ssat kabhi na bhole
Phoolun ki jagha mujpe wohi barsane lage hain shole
Jee rahe hain mar mar k par marna bhi nahi aasaan
Par maut ki taraf badh rahe hain dheere se holey holey
Beech rah mein chod jaana yeh bhi toh daga hai
Meri khusiyun ko deemak lagi hai..........................


Maut

Maut aati hai kyon, kyon aati hai maut
Mujko lagta hai,hai jindagi ki yeh saut
Akhari sans tak,jindagi iss se lade
Phir bhi koi maane na,jee liya hai bahut

Maut sachai hai yeh chalava nahi
Jindagi ki tarah yeh dekhawa nahi
Vaada jis se bhi jaise bhi iss ne kiya
Poora kiya hai is ne bhulaya nahi
Kab aati hai yeh issi ko hai pata
Iss ko koi bhi kyon samaz paya nahi

Jindagi se ladna assaan hai
Maut se par kisi ki ladai nahi
Lakh koshish kare iss se door jaane ki
Par aisa koi nahi jisse yeh aayi nahi
Maana k yeh apni mujko lagati nahi
Par dil mujse kahe yeh parai nahi

Iss ka ajab hai chalan ajab chal hai
Kuch logon ke dukh dard karti hai door
Kuch phoolon ko murjaye khilne se pehle
Aur maali ko tadpa k kare mazboor
Kuch atmaun ko mukhti deelati hai yeh
Kuch gharun k dukh dard bhadati hai yeh

Lakh chahe insaan is ko janana
Iss ki samaz kisi ko bhi aati nahi
Par koi ab tak yeh jaan pata nahi
Kab aati hai yeh kab jaati hai yeh
Kuch log mujse "Chahat" kehte hain yeh
Maar k bahut muskarati hai yeh

Meri Ankhun Ko Har Wqat Bas Teri Hi Talash Hai

Juda ho k bhi tu door nahi hai, dil k pass hai
Meri ankhun ko har wqat bas, teri hi talash hai

Duniya ne bahut rokha magar hum chupp k toh mile
Kuch lamahun k liye hi sahi par dil apne toh khile
Khul k kabhi milte toh phir ek ho liye hote
Mahobat k meete beez dil mein bo liye hote
Dil bechain hai iss ki buji ab tak na pyas hai
Meri ankhun ko har wqat bas.......................

Dekhte dekhte hi kya huva tu begani ho gayi
Kisi dusare ki ratun ki kyon rani ho gayi
Jindagi mast chal rahi thee paresaani ho gayi
Mauz kar na paye barbaad apni jawani ho gayi
Tuje mera hona hai muje phir bhi yeh aas hai
Meri ankhun ko har wqat bas.......................

Kehne ko teri duniya mein jeene ka hai sabkuch
Dekhne ko meri duniya bhi kitni haseen hai
Tu gair ki ho k bhi muje apni lagti hai
Aur khud se zayada mujko tujpe yakeen hai
Tujko bhi koi pooche nahi k tera chain hai kahan
Mujse bhi na pooche koi tu kyon udas hai
Meri ankhun ko har wqat bas.......................

Wednesday 26 June 2013

Barsun Saat Reh K Bhi Log Akshar Anjaan Rehte Hain

Ajeeb insaan hai kuch dino mein hi lagne laga apna
Barsun saat reh k bhi, log akshar anjaan rehte hain
Joh bholte kam hai, aur chupate hain zayada
Aise logon k dilun mein, bade toofan rehte hain

Pyar ki rah pe chalne se hi manzil aasaan hoti hai
Sacha pyar jis ko milta hai ussi ki shaan hoti hai
Pyar jis ko milta hai uss pe rehti hai sada bahaar
Jawani you toh chhand dinu ki mehmaan hoti hai
Umar toh bas ginti hai, pyar hai dil ka masla
Ashiq bhude nahi hote, sada jawaan rehte hain
Barsun saat reh k bhi log.............................

Accha ya bhura kudrat ka aisa hai dastoor
Bacha chanda mama se rahe sada hi door
Halaat kuch aajkal aisee ho gaye hain
Saza usse milti hai, joh hota hai bekasoor
Kisi ki neeyat pe sooch pe, tera koi nahi hai jhor
Humsafar chod dete hai saa, jab aata hai muskil mode
Ginti ka khel ban gaya hai joh pyar tha kabhi
Kisi ek k bane rehne se log paresaan rehte hain
Barsun saat reh k bhi log.............................

Dhikta tha teri ankho main mujhe pyar bahut mere liye
Main jaanta hoon tadpi tarsi hai tu yaar bahut mere liye
Par jab koi museebat aati hai, toh kahan jata hai tera pyar
Sab k samne muje apna kehne se, kyon gabrata hai tera pyar
Muje lagta hai pyar se zayada, tuje daulat ki cha hai ab
Mujpe jaan lutane wali, kahan meri dilrubha hai ab
Aaj bada nahi toh kya, kal kuch kar k deekhavun ga
Bahaarun k aane tak gulshan bhi veeraan rehte hain
Barsun saat reh k bhi log..............................

Tuesday 25 June 2013

Kuch Na Kuch Bach Jaata Hai Joh Kahani Sunata Hai

Jaan bhi chali jaye, aur kuch haat bhi na aaye
Akalmand ashiq kabhi is tarah, kurbaan nahi hote
Kuch na kuch bach jaata hai, joh kahani sunata hai
Sab kuch khatam kar sakken, aise toofan nahi hote

Kudrat na yeh niyam hai, badalane mein hi jeewan hai
Thoda thoda kar k jee le tabhi jeewan hota puran hai
Ek jaise halaat jindagi bhar rehte nahi kissi k
Kabhi gum k badal chayen kabhi oole pade khusi k
Nayi bahaar k aane pe khilte hain naye phool
Hamesha k liye gulshan kabhi veeraan nahi hote
Sab kuch khatam kar sakken aise...........................

Muskilun mein joh saat cahle tere, aise kahan hai log
Kaam nikal gaya toh chale gaye, aise yahan hain log
Phir bhi koi na koi hamdard mile ga tujko
Yeh na samz k har aadmi kudgarz mile ga tujko
Tujpe jaan luta k tujko banaye ga apna
Aisa koi kar jaye, toh phir heyraan nahi hote
Sab kuch khatam kar sakken aise...........................

Jeet k sabkuch haara jindagi kuch is tarah katti hai
Ek hum hain par apni jaan kyon tukdun mein batti hai
Wafa kar k milla kuch na, bas bebasi aur udasi
Amavasya kaise ban gayi, mere pyar ki poornmasi
Apne haatun se kisi dusare ko sonph de joh apna pyar
Hamare jaise duniya mein sabhi meharbaan nahi hote
Sab kuch khatam kar sakken aise...........................

Monday 24 June 2013

Seene Mein Dard Jab Uthe Hai, Seene Se Lagavun Kis Ko

Likhen hain joh maine nagme, main ja k sunavun kis ko
Khud hi ga ga k roh raha hoon, ansun deekhavun kis ko
Koi pass nahi hai mere, bas tanhai ka hai sahara
Seene mein dard jab uthe hai, seene se lagavun kis ko

Mere saat jo ho raha hai, nayi baat kuch nahi hai
Sachhi mahobat mein. kuch aisa hi hota hai aksar
Joh hain jism k pujarai, unn ki kaamna huvi hai poori
Rooh ko pujane wala, kyon raha rohta hai aksar
Sitam itne sahe hain k, dard dard na ab lage hai
Bas ik teesh see uthe hai, chot dil pe jab lage hai
Tera naam hi hoontun pe aaye, bata de batavun kis ko
Seene mein dard jab uthe hai....................................

Dard tera hi diya hai isliye lage jaan se bhi pyara
Tere pyar ki cha mein humne, apna sabkuch vaara
Tere chere pe geet likhen hain, ankhun pe gazal kehi hai
Muje yeh pata chala na kya galat hai kya sehi hai
Bas tere pyar mein saare jahan ko bhula diya hai
Kabhi na bujnewala diya dil mein jala liya hai
Iss ki lo mein sab dikhe hai, kis se chupavun kis ko
Seene mein dard jab uthe hai....................................

Aisa nahi k tumne pyar k badle pyar na diya tha
Ek hasta khelta chota sa sansaar na diya tha
Tune mujpe luta dee thee apni saari jawani
Kuch dino mein ban gayi thee apni prem kahani
Jis siddhat se tune cha ussi siddhat se choda tune
Kabhi bebasi se aur kabhi hassi se rista jhoda tune
Main yaad karun kis ko aur bhool javun kis ko
Seene mein dard jab uthe hai............................


Maine Aisa Bhi Likha Hai

Jab tak rasta chala seeda woh saat raha mere
Ik mode jab aaya woh mudh k phir na aaya
Pyar karne mein "Chahat" koi nuksaan nahi hota
Uss ko na pa sakke par tazurba toh humne paya

Bewafa se pyar kar k joh dard humne paya
Uss ko chupa liya hai kisi ko nahi bataya 
Juda ho k bhi apne beech bana huva hai naata 
Ghar se chala gaya "Chahat" par dil se nikal na paya

Jis ne muje tanha kiya woh jaan na paaya
K mere saat saat rehta hai ussi ki yaad ka saaya
Joh pyar karte hain "Chahat" bas pyar karte hai
Woh hisaab nahi karte kya khoya kya paya

Ajeeb insaan hai kuch dinu mein hi, lagne laga hai apna
Barsun saat reh k bhi log, akshar aashna nahi hote

Duvayen joh milti hai saalgriha pe, saal bhar kaam aati hain
Yeh suhaani subha ugati hai, aur naseele sham laati hain
Koi kisi ko kuch de nahi sakta sachhi duvavun k siva 'Chahat"
Nek neeyati aur acchi aadatein hi ban k enaam aati hain

Sansun mein basa hai joh dil mein samaya hai
Sab jaante hai mujse woh door tha kabhi 
Jis ne mujse wafa ki main kaise maan loon
Woh bewafa k naam se mashoor tha kabhi

Nastar chuba diye zubaan se yaar ne 
Itni kee kyon naarazgi us ne pyar mein
Bhool jaata hoon main uss ki har kadvee baat ko
Aisa aksar hota hai uss se takraar mein

Phedrun ki chhavun ko chod k chale hain, Pathrun k jangal ki aur
Pakki aur lambhi kaise rahe gi, meri sasun ki door
Gadiyun ka dhuvan, Sadhkun k jaam dilli ki aam baat hai
Aur kitni suhani thandi thandi yeh Shimle ki raat hai
Khuli khuli badi badi sadhken pe chalne wala hoon main
Par thang dilkash galiyun mein badalun ki paharun se mulakaat hai
Nayi Rajdhani muje bulati hai phir se apni aur
Purani rajdhani ki khoobsoorti par main kar rahan hoon ghor


Shimla ki vaadiyun mein tanha kyon phire hai
Mausaum hai ashkana aey dil iss se kyon darre hai
Wohi pyar kar sakta hain joh deewana ban k gumey
Aur duniya ki baatun se ooper hai parre hai
Mast hawa ko choo le tu dilkash ghata ko choom le
Badalun k pankhun pe chad k aasmaan bhi ghoom le
Phoolun se dosti kar pedrun se aasnai
Kyon chupchap beth k haatun pe haat dhare hai.

Saturday 22 June 2013

Kuch Aur Bhi Kehta Hoon Main

Yeh baat galat hai par yeh baat hoti hai akshar
Pyar jeene nahi deta pyar maar deta hai 
Jisse umeed ho wohi beumeed karta hai 
Aur jis pe yakin na ho wohi pyar deta hai

Jab tak main khada raha, naseebun k sahare
Mazdaar mein phasa raha, mil na sakke kinare
Mehnat aur himmat ko jab se dost maine banaya
Asmaan se le k aaya hoon, tere liye sitare

Jis ko nahi meri zaroorat woh bhi yeh jaan le
Ke phoolun ka intazar baharein nahi karti
Saat rehne se joh bane rista nahi tootta kabhi
Aur kisi k door jaane se yaadein nahi marti

Jissey tum badal nahi sakte, usse pyar karna hi pyar hai
Kissi ko badalne k liye pyar karna, aisa soochna hi bekaar hai
Pyar agar hai sacha toh tume khud hi badal daale ga
Pyar tootne na dega tujko pyar tujko sambhale ga

Na tere dil mein reh paya na teri duvavun mein
Ab akela hi chal raha hoon akeli rahvun mein
Door reh k tujse jeena seekh liya hai maine
Bas yehi muskil hai tuje kaise bhool javun mein


Badi badi baatein kar k koi bada nahi hota
Joh darpook ho woh kabhi khada nahi hota
Heere ko doondana hai toh paharun se ladna hoga
Kisi haseena ki ungli mein yeh jhada nahi hota

Chooti chooti baatun mein chuppi hoti hai jindagi
Jeet yaar woh kya jaane joh lada nahi hota
Sukh chain ki talash apne hi dil mein kar
Kisi bhi raste mein yeh kabhi pada nahi hota












Papa K Liye

Jab tak aap rahe jinda, aap ki baat kam hi maani
Papa aap ki kadar kyon, pehle na maine jaaniYeh maine hi nahi kiya hai, sab log jaante hainMere jaise kitne betun ki, kuch aisee hi hai kahaani

Pita aur bete k beech ka rista kaisa hota haiJab baap khud bana tab, yeh jaan paya hoonAap ki ankhun se khud ko dekha joh ek baarMain kaisa baap hoon. yeh pehchan paya hoon


Aap ki joh baat mujko jawani mein bhuri lagiWoh kitni acchi thee, pata aaj mujko chala haiAap saat na ho k bhi, rehte hain muj mein kaheinAap ka khoon mere Babu Ji, mere khoon mein gula hai


(On Father's Day)

Tere Bina Lage Ga Na Mera Jiya

Safar door ka phulka tandoor ka
Ghar se hi kha k jaana piya
Bahir ka khana tuje pachta nahi
Meat k sang isse khana piya
Tere bina lage ga na mera jiya 
Jaldi jaldi laut aana piya

Kyon baar baar akela muje tu chod k chala jaata hai
Tere jaane se door hone se mera dil bahut gabrata hai
Jab tak tu na laute chain muje aata nahi
Kisi bhi kam mein dil mera lag pata nahi
Ya muje apne saat le ja har jagha
Ya Band kar bahir tu jaana piya
Tere bina lage ga na mera jiya....................

Main yeh bhi jaanti hoon k jaana bhi hai zaroori
Par sehi jaati nahi mujko tumse zara bhi doori
Door reh k tumse darr jaati hoon
Ulte pulte kaam kahein kar jaati hoon
Udasi mere chere pe chha jaati hai
Urd jaati hai meri muskaan piya 
Tere bina lage ga na mera jiya......................

Tune pyar muje itna hai kiya, jis se ho gayi kamzoor hoon
Har kaam mera tum kar deta ho, ban gayi kaamchor hoon
Tere bina ek pal bhi sadiyun sa lage
Din udasiyun mein kate raat tanha jage
Tere bina pehle main kaise jeet thee
Yeh sooch k hoon heyraan piya
Tere bina lage ga na mera jiya..................................

Friday 21 June 2013

Tere Bin Kyon Muje Jeena Pada

Tere bin jeene ka, kabhi soocha na tha
Tere bin kyon, muje jeena pada
Khoon maine bahaya hai uss jagha
Jis jagha bhi tera paseena pada

Pyar kar k bhi tu muje na milli
Dil bujja raha iss  mein low na jalli
Intazar bahaar ka maine kitna kiya
Murzai toh phir dil ki kali na khili
Judai mein gujre masum sabi
Kabi jyesta kabi sawaan ka maheena pada
Tere bin kyon, muje jeena......................

Tera gamun ka bhi mujko aishash hai
Kyon ki door reh k bhi tu mere pass hai
Mere dil k bhi armaan nikal na sakke
Aur adhuri tere dil ki bhi pyas hai
Jeene ki cha mein jiya bhi aur na mar sakke
Zehar jindagi ka donu ko peena pada
Tere bin kyon, muje jeena..................

Maanti hai agar tu bhi doshi muje
Umar bhar ko de de khamoshi muje
Pyar se joh milli thee madhoshi muje
Ussi se maang k de tu behosi muje
Zakhm jitne bhi dene hai de do sanam
Samne tere hai mera seena pada 
Tere bin kyon, muje jeena........................

Monday 17 June 2013

Muje Bahut Tang Tune Kiya Hai Jindagi

Muje bahut tang tune kiya hai jindagi
Moh mera bang tune kiya hai jindagi
Kabhi rang bhar diye tune khalipan mein
Kabhi sabkuch, berang tune kiya hai jindagi

Dikha dikha k sabaz bagh mujse karaye galat kaam
Ik pal ko bhi tune na diya sakoon aur aaram
Bada aadami bana par accha insaan na ban paya
Sukh chain ko tarasta raha chahe khoob dan paya
Dhokha mere, sang tune kiya hai jindagi
Muje bahut tang tune kiya............................

Kyon jindagi ko humne bana diya hai mushkil
Marna bhi nahi aasaan aur humne jiya hai mshkil
Seede tareeke se saadgi se jeena mein hai maza
Par chalavun ke peeche baag k jeena kiya hai muskil
Yeh kis cheez ko, pasand tune kiya hai jindagi
Muje bahut tang tune kiya..............................

Kabhi umeedun ko todh k, kabhi khawishun ko pura kar k
Kabhi rahun pe ghira k,kabhi asmaan ko jholi mein bhar k
Tune heyraan kiya hai muje kya kya nahi dikha k
Kabhi tarsaya bhoond k liye kabhi samundar mere naam kar k
Mere saat saat khud ko, dhang tune kiya hai jindagi
Muje bahut tang tune kiya..............................

Sabkuch Mil Jaye Ga Tuje Bas Pyar Kar K Dekh

Zazbun pe pabandiyan joh bhi lagaye ga
Woh pyar ka dusman hai bazzi haar jaye ga
Zazbun ko be-laagam ik baar kar k dekh
Sabkuch mil jaye ga tuje bas pyar kar k dekh

Pyar pankh laga deta hai sab ki umeedun ko
Aag lag jaati hai jaise ashiq ki needun ko
Khuli ankun se sapne tu bhi lage ga dekhne
Dil haarne mein kya hai maza haar kar k dekh
Dill ko uddan k liye tayaar kar k dekh 
Sabkuch mil jaye ga tuje..........................

Sajde bhi seekhata hai pyar ebadat bhi aati hai
Pyar mein dil ki duva seedee khuda tak jaata hai
Khuda se kam nahi tuje lega ga tera pyar
Khud ko tu ashiqun mein sumaar kar k dekh
Jaanat tuje mil jaye gi deedar kar k dekh 
Sabkuch mil jaye ga tuje...........................

Pyar mein muskilen na ho aisa kabhi hota nahi
Ashiq phir bhi himmat se lade woh kabhi  rotha nahi
Jeene ka maza tuje aaye ga muskilen se jeet k
Peeche se nahi samne se vaar kar k dekh
Ubhre khubre rastun ko hamvaar kar k dekh
Sabkuch mil jaye ga tuje..........................

Pyar ik nasha joh sharaab se bhi zayada charta hai
Jindagi mile ya maut aaye farak koi na padta hai
Judai k baad pyar ki shiddat aur badti hai
Judai mein dil ko todha bekaar kar k dekh
Meri tarah tu bhi kisi ka intazar kar k dekh
Sabkuch mil jaye ga tuje..............................

 

Saturday 15 June 2013

Kyon Ki Khuda K Saamne Tuje Apna Bana Chuka Hoon

Dil ki har ek baat tum ko sunu chuka hoon
Tere gujre huve kal ko kab ka bhula chuka hoon
Sacha pyar hai apna kisi ka darr nahi muje
Kyon ki khuda k saamne tuje apna bana chuka hoon

Tu jaisee bhi hai jis haal mein hai muje pyari hai jaan se
Tujko apnaya hai pyar kiya hai izzat maan se
Tu meri hai keh sakta hoon saare jaahan se
Tere liye lad sakta hoon kisi bhi toofan se
Peeche kabi na loonga joh kadam badha chuka hoon 
Kyon ki khuda k saamne tuje apna bana chuka hoon

Jab se apna kaha hai tab se dharkhan mein sama chuki ho
Mere andhar ki soohi mahobat ko phir se jaga chuki ho
Kabhii dard ban k dil mein tadpi ho kabhi ankhun mein aa chuki ho
Kabhi kabhi toh yaad ban k mujko rula chuki hoon
Sansun mein hi nahi tujko rooh mein basa chuka hoon
Kyon ki khuda k saamne tuje apna bana chuka hoon




Yehi Pyar Hai Toh Maine Khoob Kiya Hai

Tuje dekhte hi mere sanse phool jaati hai
Dil ki dharkane tej ho k rukh jaati hai
Dil ki saari batein dil mein hi rehti hai
Aur khud ba khud meri ankhen jukh jaati hai
Yehi pyar hai toh maine khoob kiya hai
Yehi jindagi hai toh maine bahut jiya hai

Tere liye sanam kya kya saha nahi
Khamosh raha kisi se kuch kaha nahi
Dard dil ka dil mein dabaye bethi hoon
Uss pe sitam dekho tum se hi chupaye bethi hoon
Ankhun mein kabhi bhi ansu na aane diye
Akele jeene k yatin kitne maine kiye,
Jee na payi tere bin chahe hotun ko siya hai
Yehi pyar hai toh maine...........................

Tujko khabar sab thee mujko pata na tha
Muje lagta tha tu itna mujse judha na tha
Par door reh k bhi tu dil k ass pass tha
Muje ab pata chala k main toh khas tha
Tune pyar apna chupa k dard kitne sahe
Main jaan gayi hoon tere askh kitne hai bahe
Mauf kar dena maine tumse joh kiya hai
Yehi pyar hai toh maine.................................

GAZAL:Mere Tan Badan Mein Aag Laga K Chala Gaya

Mere tan badan mein aag laga k chala gaya
Dil mein nayi umeeden woh jaga k chal gaya
Muddatun baad pyar kiya toh aisa laga muje
Barsun k fasle woh mita k chala gaya
Dekh k mera baakpan dekh k mera zanooon
Main kya hoon mujko aiana dikha k chala gaya
Mere seene se lipta k mere kannu mein woh bhola
Aey dost tera  pyar mujko hila k chala gaya
Meri jaan dekh le k main kitna hoon jawan
Main sharab ko sabaab mein mila k chala gaya
Abhi naya pyar hai isliye woh khul na sakka "Chahat"
Dil ki baat mujse hi chupa k chala gaya

Friday 14 June 2013

Aey Khuda Mera Dil Kyon Itna Bada Hai

Baar baar woh dil ko lagati hai chot
Baar baar dil dard se lada hai
Uski har ek galti kar deta hai mauf
Aey khuda mera dil kyon itna bada hai

Uss k seene mein mera hi dil dahrakhta hai
Uss ki ankhun mein mera hi aksh hai
Uss ki sasun mein main hi gulla hoon barsun se
Uss ki soochun mein sirf mera hi naksh hai

Uss k kaanu mein aawaz hai meri chahat ki
Uss k galun mein hai mere pyar ki laali
Naakh ka kooka bhi mujko pukare raat din
Mujko bulati rehti hai uss k kaanu ki baali

Us k hatun mein hai joh pyar ka kangan
Woh meri umeedun ki rattnu se jadha hai
Uski har ek galti kar deta hai mauf.........

Meri galti yehi hai k maine pyar kar liya
Todha karte karte besumaar kar liya
Na dekha na sunna na poocha kisi se
Ek pal mein dil kisi k liye tayaar kar liya

Dil dewaana huva itna tera k sab ko bhula k
Din raat beetane laga tere aagosh mein aa k
Tune par pyar ki taseer ko samza nahi
Nazar bhar k kyon muje pyar se dekha nahi

Zara sa taras kha lo uss aadami pe
Joh barsun se tere kadmu mein pada hai 
Uski har ek galti kar deta hai mauf.........

Pyar ka sila sab ko mile aisa yeh jahan nahi
Zameen pe rehne walun ka hota asmaan nahi
Deewangi kehte hain jisse joh pyar ki pehchan hai
Kyon ab woh deewangi tere mere darmiyan nahi

Saat ho k bhi kyon ajnabhi se tum lagte ho muje
Na jaane kis khayal mein gum lagte ho muje
Tume cho lene se kabhi uthi thee chingariyan
Bahun mein aa k bhi ab kyon sunn lagte ho muje

Main janata hoon apne dil ka haal "Chahat"
Yeh muskilun se ladh raha hai aur darra hai
Uski har ek galti kar deta hai mauf.........


Duva De Sakho Na Sahi Kisi Ko Badduva Kabhi Na Do

Duva de sakho na sahi, kisi ko badduva kabhi na do
Pyar kar liya toh phir payrun ko, tum daga kabhi na do
Dokha denewala bewafai se kabhi na baaz aayega
Bewafa ko bhool k bhi dil mein, tun jagha kabhi na do

Aajkal k haalaat aisey hain k har aadami paresaan
Dil ko nahi koi sakoon aur, aafat mein fashi hai jaan
Har taraf dhod hai lagi andhi yeh dhod hai
Achai bethi khamosh hai paisun ka shor hai
Dil sulagta huva jangal hai, isse hawa kabhi na do
Pyar kar liya toh phir payrun ko.........................

Muskil hi nahi namumkin hai sache pyar ko paana
Aasaan nahi hai kisi ko jeewan saathi yahan banana
Main kismatwala hoon muje mila hai pyar tera
Duva karta hoon umar bhar main karun deedar tera
Pyar se door main rahu,muje yeh saza kabhi na do
Pyar kar liya toh phir payrun ko..............................

Bada aadami bannu ya chota rahun mujko farak nahi
Meri insaniyat pe lakin kabhi ho kisi ko shakh nahi
Kaam sab k aa saakun khuda aisa bana muje
Sachai pe chalne wala tu rasta bata muje
Main tumko bholun aisa halaat, mere khuda kabhi na do
Pyar kar liya toh phir payrun ko.........................

Thursday 13 June 2013

Muje Lagta Hai Mere Pyar Ka Asar Kam Ho Raha Hai

Muje lagta hai mere pyar ka asar kam ho raha hai
Tere tor tareekun se mere dil ko gam ho raha hai

Mere samjaane ka meri salaha ka asar pheeka huva hai
Tukhdun mein bat raha hai joh dil toota huva hai
Bahir se hash k mujse karta hai dil batein
Andar se woh darra hai mujse rootha huva hai
Har wqat jhakran see seene mein rahe hai
Muskil mera jeena teri kasam ho raha hai
Muje lagta hai mere pyar ka.................................

Mere pyar mein koi kammi ho nahi sakti
Maine pyar kiya hai tuje se ebaadat ki tarah
Tune bhi dekha hai pyar mera meri ankhun mein
Muje iss ko lutana hai tujpe daulat ki tarah
Janmu k sapne dekhe they jis ne mere saat
Door kyon mujse wohi mera sanam ho raha hai
Muje lagta hai mere pyar ka..................................

Tu aayi thee jindagi mein mausame bahaar ban k
Dil ki udas galiyun mein mehakta pyar ban k
Saare jahan se lad k maina jeeta tha tuje
Tu chod k na kahein jaana phir meri haar ban k
Tere jaane ka khyal bhi muje lagta hai tadpane
Ankhun ka mizaz bhi phir se nam ho raha hai
Muje lagta hai mere pyar ka.................................