Saturday 8 June 2013

Baharun Ka Chalan Badalta Nahi

Baharun ka chalan badalta nahi
Hawahun ka rukh badal jata hai
Pyar mein jab daraar padti hai
Dil ka dard dukh sukh badal jata hai

Tu bahaar hai apna chalan badalna na
Rah hamvaar nahi bhi hogi par tu girna na
Main tere har ek mausam ka saathi hoon
Main tera dhula hoon main nahi bharati hoon
Apna milna hona hai aaj nahi toh kal
Tuje mere saat rehna hai har gadi har pal
Pyar jab milta hai sacha, sabkuch badal jata hai

Pyar karna bahut aasaan hai par neebana muskil
Dil mein bas joh gaya ho uss ka dil se hai jaana muskil
Tum mere dil mein aa gayi ho ab kahein na jaana
Chali gayi toh phir pyar pe hasse ga saara zamana
Pyar imtihaan leta hai sab ka apna bhi lega
Pyar kadwee hakeekat k saat sapna bhi dega
Pyar idhar udar nahi karta do took badal jata hai

No comments:

Post a Comment