Saturday 8 June 2013

Tere Liya Toh Jaan Bhi Jaye Toh Gum Nahi

Tum se main kya kahun k pyari kitni hai tu muje
Tere liya toh jaan bhi jaye, toh gum nahi
Dooriyan ho judai mile ya haalaat ho muskil
Pyar mera joh tujse hai, woh hoga kam nahi

Pyar tere jism se nahi teri atma se hai
Yehi duva meri apne parmatama se hai
K tujko kaanta bhi na chube tu phoolen se khele
Apne saare dukh muje de tu mere saare sukh le le
Tera chera sada khila rahe, teri ankhun mein chamak rahe
Teri jholi khusiyun se bhari rahe, bathun mein khanak rahe
Kisi bhi haalaat mein teri ho, ankh nam nahi
Tere liya toh jaan bhi jaye........................

Duniya lakhun sitam kare phir bhi milna hai pyar mein
Mujko khuda aaye nazar ankhun ki yaar mein
Tune bhi mere liye jahan se lada hai khoob
Hum chote hain par pyar apna bada hai khoob 
Khuda bhi hamare saat hai saat mein sachai hai
Koi naap nahi sakta pyar ki joh gehrai hai
Tuje cheen le mujko kisi mein, itna dum nahi
Tere liya toh jaan bhi jaye.............................

Tera pyar mein kashish hai joh dil ko chooti hai
Tu pyar k havan ki succhi veebhuti hai
Jisse maathe pe laga k pa leta hoon chain main
Vaise toh raat din rehta hoon becahain main
Tere saat wqat gujre toh aaraam milta hai
Dil ko bada soochne ka kaam milta hai
Tere siva koi accha muje lage, teri kasam nahi
Tere liya toh jaan bhi jaye.......................

No comments:

Post a Comment