Tuesday 11 June 2013

Mere Dard Ko Kyon Samazte Nahi

Mere dard ko, kyon samazte nahi
Jab mujse hi pyar karte ho
Reh k mere hi dil mein kahein
Naye naye, dil pe vaar karte ho

Kya pyar ko samazane k liye
Zakhmu ka ankhun se dikhna zaroori hai
Pyar chav se kiya tha maine
Kyon ban gya yeh mazboori hai
Apna pyar sacha hai gehra hai
Chahe rahun pe logon ka pehra hai
Door reh k pyar apna aur bade ga
Yeh ankhun ki doori kya doori hai

Teri talash mein bahut batki hoon
Tab ja k paya hai tuje
Maine apne dil ka har ik nagma
Khein baar sunaya hai tuje
Tum pher k apni ankhun ko
Kyon milne se inkaar karte ho
Reh k mere hi dil mein...........

Tere khamosi se tere dil k baat
Main jaan leti hoon
Tu khus ya udas hai
Awaaz se hi pechaan leti hoon
Mere pyar ko jaan le tu bhi
Uss ki kadar kar le
Kahin wqat haat se na nikal jaye
Usse jholi mein bhar le

Tere dard ka aishash muje rehta hai
Tabi toh dil apna tujko kehta hai
Tere pyar ki baat kya kya karun
Khoon ban k rangun mein behta hai
Khuda ne milaya hai hume yeh jaante huve bhi
Kyon uss ki rehmat pe bhi na aitbaar karte ho
Reh k mere hi dil mein...........

Wqat mila toh pyar tuje toot k karungi
Kabi khus ho k aur kabi rhoot k karungi
Par itna yakin kar le k
Tujse hi pyar hai
Tu jeeta toh main jeeti
Teri haar mein meri haar hai
Tune sada seekhaya hai muje sab se jeetna
Dekh lena daav pe lage kabhi apni preet na

Pyar tamasha na baane is ka khayal kar le
Tu theek kar raha hai ya galat, khud se sawaal kar le
Tera dil joh gavai dega tu vaisa hi karna
Muje toh har rah pe tere saat hi hai chalna
Jis daaman k liye tune jee jaan lagai hai
Kyon ussi daaman ko char char karte hoon
Reh k mere hi dil mein...........


No comments:

Post a Comment