Wednesday 31 December 2014

GHAZAL: Tum Se Gila Nahi Koi Main Khud Se Hi Naraaz Hoon

Tum se gila nahi koi, main khud se hi naraaz hoon,
Jitna deewana main pehle tha, utna hi aaj hoon.

Hum saat saat toh chale, par kab talak chal sakte the
Tu naye zamane ki reet hai, main purana riwaz hoon.

Na jaane kyon tum mujhe, chupa paaye na duniya se
Tere honton se joh khul gaya, main woh hi toh raaz hoon.

Tu hi bata main kis kis ko, kya kya jawaab doon
Jab log aa ke poochate hain, main kis se naraaz hoon.

Yeh main hi jaanta hoon ke, kaise rula hoon paavun mein
Mujhe aaj tak yeh gumaan tha, ke main tere sar ka taaz hoon

Teri marzi tu kisi bhi dunn pe, thirka le apna badan
Par tera dil jis se dharakta hai, main uss dil ki awaaz hoon.

Ruswai mahobat de gayi, aur uss pe ilzam yeh bhi hai
Ke mahobat ke siva main karta, nahi koi kaam kaaz hoon.

Aey dost mere sahare ab, na likhna tu jindagi ga geet
Jis se koi dunn nikle gi na, ab main aisa saaz hoon

Main mahobat pe jaan dene se darta nahi, par darr hai
Ke "Chahat" log samaj na len, ke  main ashiq mizaz hoon

No comments:

Post a Comment