Saturday 11 October 2014

Ab Dilun Pe Daulat Ka Raj ho Gaya Hai

Ab dilun pe daulat ka raj ho gaya hai
Kitna kharaab yeh samaaj ho gaya hai

Pyar kar ke hi shaadiyan hoti hai zayadatar
Lambhi kyon nahi hoti aisse shaadi ki umar
Talaq lene ka ab toh riwaz ho gaya. 

Pyar ki yahan lagai jaati hai kimat
Kisi bhi baav pe bike bikti hai mahobat
Bewafai pe sabhi ko naaz ho gaya hai

Tu nahi meri huvi chalo koi aur hi sahi
Pyar mein aa gayi hai reet koi aisee nahi
Kisi naye yug ka ab aagaz ho gaya hai

Pyar pe mar mitne wale ab hai kahan
Kisi ke sapne mein ab nahi hai asmaan
Mausam ka bhi badla huva mizaz ho gaya hai  

Dil ki dharkanu mein ab koi nahi basta hai
Saat janmu ki baat pe zamana hasta hai
Besura dil ka har saaz ho gaya hai

Kirdaar ki baatein ab hain bas kitaabun mein
Aamiri dikhti hai ab urthi huvi sharaabun mein
Kouaa aise dikhe jaise ke baaz ho gaya hai 

Mehnat kar ke bhi qabil nakaam ho rahe hain 
Bhai bateeja vaad se hi hakumat ke kaam ho rahe hain
Ab naqabil ka hi yahan takhat-o-taaz ho gaya  

Seede saadhe aage badh nahi paate hai
Baimani se log oonche oonche oodhe paate hai
Gunda baba swami ya maharaj ho gaya hai

Jaan jis pe maine lutai thi apni
Ek ek kar ke har seh gawai thi apni
Wohi mujhe se kyon naraaz ho gaya

Sapne sindoori apni ankhun mein liye
Vaade uss ne joh they mujse kiya
"Chahat" bewafai ussi ka andaz ho gaya hai










Friday 10 October 2014

Nazm: Koi Nahi Karta Hai Pyar Muhje

Koi karta tha kitna pyar mujhe
Hone na deta tha bekaraar mujhe
Waqt se pehle milne aata tha
Karne na deta tha intazaar mujhe

Waqt ke saat woh bhi badla
Mizaz duniya ka dil na samja pagla
Ek sa rehna sada mere kaam na aaya
Uss ko shayid mere dil mein aaraam na aaya
 
Dil se nikla aur khein door gaya woh
Khusi se nikla ya mazboor gaya woh
Baat uss ki hai woh hi jaane
Pyar ke mere liye badal gaye maane

Dil mera dard se toota bhikra
Sunna na paya kisi ko dil ka dukhra
Na jaane kis ki lag gayi hai nazar
Chod ke chala gaya hai yaar mujhe.
Joh karta tha bahut pyar mujhe

Ab mera dil bekaraar rehta hai
Dard se tadapta kuch na kehta hai
Vaada koi mujh se karta nahi
Phir bhi intazaar rehta hai

Waqt haat se dheere se nikla
Badalne wala mausam sa badla
Dil ki dharkan mein dard basta hai
Dil mera mujhe hi dekh hasta hai

Wafa ki umeed dil se jaati nahi
Yaad aati hai phir bhi aati nahi
Yaad ankhun mein sapne laati hai
Tees dil ki bhool jaati hai
 
Phir se umeed dil mein jagti hai
Duniya badli se jaise lagti hai
Par naye khel ke baare mein sooch ke bhi
Yaad aati hai meri haar mujhe
Chod ke gaya tha mera pyar mujhe

Purani nayi baatun mein fas jaata hoon
Feshla kuch bhi na kar paata hoon
Mujhe tarah tarah ke khayal aate hain
Dil ke phool khile hain murjaate hain

Kabhi dar kabhi umeed ka saat mein le ke
Kabhi taqdeer kabhi tadbeer ko haat mein le ke
Pyar ke baare mein soochne lagta hoon
Behte ansuvun ko rokhne lagta hoon

Kisi ki bewafai par bhulai jaati nahi
Baat joh dil mein chubi thi dil se jaati nahi
Jis ki bewafai mauf ki wohi kar gaya bewafai
Aaj tak seene le lipti hai kyon uss ki parchai

Kyon uss ko yaad kiya bina jee nahi paata
Ya yeh kaho uss bin muje jeena nahi aata
Par jee raha hoon yeh bhi toh sachai hai
Main uss ka aaj bhi hoon joh kab ki parai hai

Kyon jindagi mein kuch bhi accha nahi lagta
Apna wazood bhi mujko sacha nahi lagta 
"Chahat" aaj jindagi lagti hai bekaar mujhe
Kyon ki koi nahi karta hai pyar mujhe.

Friday 3 October 2014

Phir Bhi Jeene Ka Samaan Ban Na Sakka

Kharch kar di maine umar saari
Phir bhi dil ka makaan ban na saka
Cheenata raha sab se uss ki zameen
Phir bhi mera asmaan ban na sakka.

Paisa toh maine kamaye kaafi
Par pyar kisi ka na mila mujko
Kile see dewaaren khadi ki maine
Phir bhi apna jahan ban na sakka.

Madrasun se mujhe taleem na mili
Maszidun mein na mila mujhko khuda
Sajde karta raha mein bhudtkhanu ke
Phir bhi mera imaan ban na sakka.

Log kehte hain ke zakhmi dil
Duniya mein la sakte hain kranti
Katra katra jhode ansun maine
Phir bhi koi toofan ban na sakka.

Humsafar jisse maine chuna tha
Woh char kadam saat bhi na chala
Safar mein log toh milte rahe
Par koi karwaan ban na sakka.

Jeene ki khatir "Chahat" maine
Khud ko bhi diya khein baar dokha
Marne ke nazdeek aa gaya hoon ab
Phir bhi jeene ka samaan ban na sakka

Wednesday 1 October 2014

Rista Apne Beech Ka : Sachai Aajkal Ki

Tere mere beech pehle tha pyar ke talism ka rista
Ab reh gaya hai baaki sirf jism ka rista.

Na tuje woh zanoon hai ke muhje nazar bhar ke dekhe
Na mujh mein hai deewangi tuje nazrun se choone ki
Dil dard se tadapta hai aur tu anjaan bani hai
Kis ko ja ka batavun halat dil apne soone ki

Taseer aur kashish mein nahi woh pehli see baat
Ek chhat ke neeche reh ke bhi nahi hoti mulakaat
Na subha uth ke tujko choom ke milta hai sakoon
Na rangeen dilkash ab hai pehle jaise raat
Na jaane ho gaya hai kis kisam ka rista.
Ab reh gaya hai baaki sirf ......................

Hum aise jeete hain ab jaise nahi ho jeena
Tera maan bhi bhara huva hai zakhmi hai mera bhi seena
Dekho kaisa daur aaya hai pyar mein
Main bhool gaya hoon teri ankhun se peena

Main tere saat toh rehta hoon chobeesun gante
Par roshni ke milun jaisa fasla hai apne beech mein
Tuje raste mein chod ke manzil pe jaavun, 
Kabhi bhi ho nahi sakta itna neech main
Par yeh sach hai reh gaya apna beech rasam ka rista.
Ab reh gaya hai baaki sirf ......................

Kabhi soocha bhi na tha ke pyar haalatun se haare ga
Waqt pyar ka makhota kuch iss tarah utare ga
Ke meri koi bhi baat tujko acchi na lage gi
Teri koi bhi baat mujko sachi na lage gi

Har roz apne beech mein ki takraar bade gai
Nazdeeki gatti gi aur aur dewaar bade gi
Tune bhi bhula diya hai sang gujre acche din
Ab main bhi reh sakta hoon akela tere bin
Na vaade ka rista raha na hai kasam ka rista 
Ab reh gaya hai baaki sirf ......................

Iss riste ko bhi todh de aa ban jaye phir se ajnabhi
Tu jee le apni jindagi mujhe jeene de meri jindagi.