Saturday 11 October 2014

Ab Dilun Pe Daulat Ka Raj ho Gaya Hai

Ab dilun pe daulat ka raj ho gaya hai
Kitna kharaab yeh samaaj ho gaya hai

Pyar kar ke hi shaadiyan hoti hai zayadatar
Lambhi kyon nahi hoti aisse shaadi ki umar
Talaq lene ka ab toh riwaz ho gaya. 

Pyar ki yahan lagai jaati hai kimat
Kisi bhi baav pe bike bikti hai mahobat
Bewafai pe sabhi ko naaz ho gaya hai

Tu nahi meri huvi chalo koi aur hi sahi
Pyar mein aa gayi hai reet koi aisee nahi
Kisi naye yug ka ab aagaz ho gaya hai

Pyar pe mar mitne wale ab hai kahan
Kisi ke sapne mein ab nahi hai asmaan
Mausam ka bhi badla huva mizaz ho gaya hai  

Dil ki dharkanu mein ab koi nahi basta hai
Saat janmu ki baat pe zamana hasta hai
Besura dil ka har saaz ho gaya hai

Kirdaar ki baatein ab hain bas kitaabun mein
Aamiri dikhti hai ab urthi huvi sharaabun mein
Kouaa aise dikhe jaise ke baaz ho gaya hai 

Mehnat kar ke bhi qabil nakaam ho rahe hain 
Bhai bateeja vaad se hi hakumat ke kaam ho rahe hain
Ab naqabil ka hi yahan takhat-o-taaz ho gaya  

Seede saadhe aage badh nahi paate hai
Baimani se log oonche oonche oodhe paate hai
Gunda baba swami ya maharaj ho gaya hai

Jaan jis pe maine lutai thi apni
Ek ek kar ke har seh gawai thi apni
Wohi mujhe se kyon naraaz ho gaya

Sapne sindoori apni ankhun mein liye
Vaade uss ne joh they mujse kiya
"Chahat" bewafai ussi ka andaz ho gaya hai










No comments:

Post a Comment