Thursday 28 February 2013

Pyar Tera hai Zanoon

Dil ki kisi ko kadar nahi
Iss baat se main bekhabar nahi
Phir bhi dil pe bharosa kiye
Teri khatir tere liye
Main dil ki baat sunnu
Aur rang berangi sapne bunnu
Aur kuch tuj bin soojey nahi, pyar tera bana hai zanoon

Apni duniya choti sahi, par umeedun pe khayam toh hai
Apne sapne chote bade, par needun mein shamil toh hai
Tune saat kuch din ka diya, phir chod k tu chal diya
Chahe hum kissi se na kahen, par dil apna gahil toh hai
Par itna hone k baad bhi, tu raggun mein bahey ban k khounn

Door reh k bhi  har wqat har lamhe tu saat mere rehti hai
Sang rehne ki chahat hai teri, tu bhi mujse kehti hai
Meri sasun mere khayalun mein tere siva koi nahi
Phir kyon door reh k duniya k zulmu sitam sehti hai
Ek baat tu bhi jaan le agar tu hai toh main hoon

Khoon ban k tune muje jinda rakha hai, yeh tu bhi jaane
Main jaanta hoon muje yakin hai, duniya maane na maane
Tu kahin bhi rahe tuje mera hona hai aakhir
Tu muj se aan mille gi kisi na kisi bahane
Bahut doonga hai tuje aa pass mere, kahan hai toun





Teri Yaad

Teri yaad aati hai, aati rahe gi
Sada mujko, yeh rulati rahe gi
Zakhm dil ko, joh tune diye hain
Dard unn ka, badati rahe gi

Meri saari jawaani tere kaam aayi
Magar husan tera aurun ne loota
Dukh iss baat ka hai mujko
K manjil pe aa k tera saat choota
Kuch na mila khuda se faryaad kar k
Kho jaata hoon kahin main tuje yaad kar k
Rootey rootey kabhi hass padunga
Kisi kaam toh mere aati rahe gi
Sada mujko.....................................

Tune gairun pe apna sab kuch lutaya
Apnu ka pyar tujko samaz na aaya
Khusi dil ki dil mein na dhoond k
Kadam tera kyon dagmagaya
Aisa kar k tu khud se huvi door
Aur apnu ko bhi ghair banaya
Tere bina bas naam ka jeeyun ga
Sans vaise toh aati rahe gi
Sada mujko ..............................................






Mila Kuch Nahi hai

Baharun ne mera gulshan ujara
Khizavun se mujko gila kuch nahi hai
Dusmanu ne khoob nibai dushmani
Dostun se magar mila kuch nahi hai

Pyar jis se kiya tha wohi nikala jhoota
Main kis kis ko batavun yeh dil mera toota
Woh bewafai kar k bhi sar na jukaye
Muje kahani sunane mein bhi sharm aaye
Mujpe wqat ka huva asar hai, safedh ho gaya mera sar hai
Woh ab bhi pehle jaisee haseen hai, yovan uss ka dhala hi nahi hai
Dushmanu .......

Sab kuch haar k bikhar main gaya tha
Kahan se chala tha kidar main gaya tha
Apni mujko koi bhi na khabar thee
Zamane k phir bhi mujpe nazar thee
Rooh sadmmu se zakhmi huvi hai, zazbun mein lag gayi koi sooee hai
Yeh kaisee aag lagi hai jism mein, k dil k siva jhala kuch nahi hai
Dushmanu....................

Dokha kha k bhi, de dil se duvayen
K uss ko milen, sada palkun ki chhyen
Kabhi uss ko koi kabhi na rulaye
Usse mauf kar doon agar pass aaye
Yeh jaan le woh tera kabhi tha, dil mein basa tha na ajnabi tha
Kisi ka dil dukhane se Chahat, hona tera bhala kuch nahi hai
Dushmanu.................................

Do Pal ka Saat

Do pal ka saat de k saari umar maang lee
Hum bhi itne bhole hain k haan kar gaye
Isse pyar kehte hain ya koi aur cheez hai
Hum pal mein ghair k naam dil-o-jaan kar gaye

Mahobat bahut ajeeb hai, pehle hoti hi nahi
Ho jaye toh phir kuch bhi bas mein na rahe
Dil mein bas k uss ne bechain kar diya hai ha
Keh do k khoon ban k nas nas mein an rahe
Maine ki badi  iltaza. par uss pe na asar huve
Meri har guzarish ko woh na kar gaye

Aag donu taraf hi hai lagi, yeh pyar hai nahi dil lagi
Na jaane kaise anjaane mein,mahobat dil mein aa jagi
Yeh pyar ka hi hai asar, accha lag raha hai muskil safar
Muje mein bahut badlaav hai, kehne lage mujko sabhi
Hamare bin na jee sakega, unn k moun se nikla
Yeh bhool k woh hum ko, bada heeraan kar gaye

-----------------------------------------------------------

Shabnami subha, pooche mujse us ka pata
Joh raat bhar mere saat tha, aur ab nahi
Mujko umeed  hai woh phir mille ga muje
Kon kehta hai k apne jaisun ka rab nahi

Raat ki rangeeniyun se muje pyar nahi tha kabhi
Aey dost meri subha tuje aaj bhi bulati hai
Naam tera sunn k dil mein utha hai toofan
Aur hootun pe achanak muskarahat aati hai
Aaj joh kuch bhi kar raha hoon woh nahi accha
Joh log karte hain, main karta woh sab nahi

Aajkal ka pyar, pyar nahi zismun ka khel hai
Ik raat k riste ko sab pyar kehte hain
Umar bhar k saat ki nahi kisi ko zaroorat
Do kadam joh saat chale usse hi yaar kehte hain
Hamare zamana alag tha alag they bandan
Joh aajkal hota hai woh hota tha tab nahi







Kuch bhula huva yaad aane laga hai

Jis raste bhi chalun, woh muje tere pass lane laga hai
Baar baar aisa hote dekh, dil mera gabrane laga hai
Kahin tera mera koi purana rista toh nahi
Kuch bhula huva mujko yaad aane laga hai

Kal tak tu tha ajnabi, mulakaat bhi na huvi thee kabhi
Ek baar mik k hi aisa laga, k tu mera hai koi apna saga
Tuje dekh k sakoon aaye muje, Tera chera kuch padaya muje
Kuch bhi samaz na aaye muje, teri yaad jab tadpaye muje
Yeh kaisa dil ka dard hai, joh phir muje tadpane laga hai
Kuch bhula huva................

Muje kuch yaad nahi, tu kon hai, dil kuch na bole mon hai
Iss ka bhi mere jaisa haal hai, donu ki jindagi ka sawaal hai
Dil ki sunnu ya apni karun, kuch bhi karne se main darrun
Ajeeb see betabi chayi hai, pass mere meri tanhai hai
Kya baat hai yeh kaise ho raha, tu dil mein samaane laga hai
Kuch bhula huva................

--------------------------------------------------------------------
Dik ki dharkan badne lagti hai, tere deedar se pehle
Khizan ka mausam aata hai, jaise bahaar se pehle

Meri bhi arzoo hai kuch, usse tum kar do pura
Bata kya teri khawaish hai, poocho gunagaar se pehle

Agar chahate ho k imarat khadi rahe salun saal
Toh neev karo pakki sangmarmaari deewar se pehle

Dehri se joh milta hai maza uss mein nahi rehta
Insaan hota hai bada khush intazar se pehle

Jeet haar toh mukadar hai. apne bas mein yeh kahan
Na bechain tu hona jeet ya haar se pehle

Main aaj ban-than aaya hoon tera deedar karna hai
Kyon k naye kapde pehne jaata hai tyohaar se pehle

Keh de joh bhi kehna hai, 'Chahat' accha bhura mujko
Todha kar lete hain takraar, hum bhi pyar se pehle



Wednesday 27 February 2013

Pyar Pe Anch Na Anne Dena

Pyar pe anch na aane dena
Pyar pe jaan lutai hai maine
Saari duniya ko tokhar pe rakh k
Apni duniya banai hai maine.

Tu meri jindagi mein kab se thee
Main teri jindagi mein tha kab se
Ghair ki ho k bhi tu apni lagti thee
Kyon lagti thee poocha tha sab se
Ab meri ho gayi ho chod k sab ko
Sukriya kehta hoon main apne rab se
Tum mere pass khud aayi ho
Ya purani koi kasam nebai hai maine

Pyar kiya hai toh pyar ki kadar bhi hogi
Tera saat doonga har pal har muskil mein
Itna pyar karonga tumse k kisse apne pyar k
Sunne sunaye jayen ge har ek mehfil mein
Tum bhi har rah pe mere saat hi chalna
Main bhi tujko sambhale rakhun ga apne dil mein
Tune chura liya hai chain-o-karaar mera
Kya teri bhi koi cheez churai hai maine









Ada Pyar Ki

Pyar mein tum bhi seekho, ada pyar ki
Har baat lage pyar mein, jhuda pyar ki

Pyar kaise huva tum ne kaise kiya
Dil mein hi dhoond lo tum waza pyar ki

Pyar karnewale dil hi murjate hai
Aaj kal nahi chalti hawa pyar ki

Zakhm bharte nahi joh diye yaar ne
Sab ko lagti nahi dava pyar ki

Pyar k dushmanu ka jahan darr na ho
Dhoondate hai sabi woh jagha pyar ki

Pyar mein tum badlo apne aap ko
Chahat deta tume hoon duva pyar ki

--------------------------------------------------------------

Rahen dusvaar hain, par karte hum pyar hain
Aur manjil ka bhi pata hai hume
Sacha jab pyar hai, phir kaisee haar hai
Jeetane ki milli duva hai hume

Pyar mein dukh dard mila hai bahut
Dil ka aashiyana phir bhi khila hai bahut
Tune joh bhi mujko zakhm diya
Dil ka daaman unni se sila hai bahut
Chedh ab bhi kuch baaki toh hain
Jeene k vaste woh kaafi toh hain
Kya huva hai hume, aisa kyon hai huva
Dard mein bhi lagta maza hai hume

Saari purani baatein bulane k baad
Main raat din tumko hi karta hoon yaad
Tumko saza ki jagha pyar apna diya
Suuni suuni ankhun ko sapna diya
Tere sang jeene ka vaada bhi hai
Khub jeene ka apna erada bhi hai
Ab aise haal mein, unneesh mein saal mein
Judai bhi lagti saza hai hume

Tuesday 26 February 2013

Raat bhar Jagta Raha hoga

Raat bhar jagta raha hoga
Rasta takta raha hoga

Mujko uss ki bahut yaad aati hai
Koi toh vasta raha hoga

Naam mere sunn k woh khamosh raha
Mujko woh janta raha hoga

Vaada kar k bhi na milne aaya
Muskil har rasta raha hoga

Uss k bin kaise jee raha hoon main
Logon se poochta raha hoga

Mere bina uss ne jee liya 'Chahat"
Kaise jiya soochta raha hoga

-----------------------------------------------------
Dil dukhate ho baar baar mera
Phir bhi chahate ho tum pyar mera

Mere siva jab koi bhi tera nahi
Todhte ho kyon aitbar mera

Gum agar halka nahi kar sakte
Kyon bhada dete ho bhaar mera

Chain k bhi tum ho gaye ho dushman
Bekaraar karte ho tum karaar mera

Theekhee theekhee baatein keh keh k
Todhro na dil ka kachha taar mera

Darr hai muko teri aadatun se "Chahat"
Kam kahin ho na jaye pyar mera

---------------------------------------------------------------------------

Gazal aur Geet

Tu mere chere ki udasiyun pe ghor mat karna
Main dard se tadap raha hoon iss ka shor mat karna

Tumko dekh k mujko badi himmat milti hai
Muje bechara keh k muje kamjoor mat karna

Bhaant k sab ko khusiyaan mera dil mujse kehta hai
Main pehle hi dukhi hoon muje tu aur mat karna

Riste nazuk toh hote hain magar bandhe nahi jaate
Apne beech mein bhi tu koi kachhi door mat karna

Dil muje khud hi tu de de churana nahi mere bas mein
Bahut sajan hoon main aadami muje tu chor mat karna

Mahobat jab se payi hai khusiyun se judha hoon main
Udasiyun se pade paala, tu aisa daur mat karna

Chupi rehne de apne mann ki aagan mann mein "Chahat
Barsaat k mausam mein belagaam dil ka mor mat kar
----------------------------------------------------
Tere bin jeena pada, jee bhi liya, hum khud bhi heraan hain
Har haalaat se lade, lad sakte hain, kyon k insaan hain

Jindagi tere bina jindagi na lagi, phir bhi jeena pada hai hume
Amrit bhol k zehar logon ne diya, joh peena pada hai hume
Phir bhi tujse milne ki ass na gayi, tere hone ki pyas na gayi
Issi umeed mein ab bhi hai khade rahun mein
Ek din laye gi jindagi tuje meri bahun mein
Apni prathanaye sabi karen ge poori, apne acche baghwan hain

Jab yaad aate hain sang betaye huve din, ankhun se ansu nikal aate hain
Tum dobhara mere ban jaavo ge, dil ko khud hi hum samjaate hain
Pyar sacha agar hai nahi haare ga, pyar ka gum humko na maare ga
Zulmo-sitam pyar ko aur karen ge mahaan
Bina mille kisi ki bhi nahi nikle gi jaan
Aey dil tu na kar fikar, poore hone sabi armaan hain

---------------------------------------------------------------------------


Monday 25 February 2013

Gazal Aur Geet

Chaal woh chalte gaye, par mera jawaab baaki raha
Pyar mein apne beech ka, dekho hisaab baaki raha

Dard aur zakham k siva uss ne kya diya mujko
Dil se woh nikal bhi gaya, lakin aajaab baaki raha

Woh haseena apna sabkuch luta k bhi na yeh jaani
Khusboo urdh gayi toh, phir kya gulaab baaki raha

Woh toh Taj Mehal ki tarah hamesha haseen lagti hai
Umar dal gayi usski, phir bhi shabaab baaki raha

Ghair ki ho gayi hai woh yeh jaan k bhi 'Chahat'
Usse paane ka uss k hone ka kawaab baaki raha

-------------------------------------------------------------------

Begunahai ki saza kaat k, dil ko gehra sadma laga, dekh le
Joh dil aurun ko bhi khush rakta tha, uss ko tu bhuja, dekh le

Dekh le pathar dil logon ka chalan
Hone dete nahi joh kisi ka milan
Pyar pe joh pehre lagate sada
Pyar karne ki joh dete saza
Wohi log aajkal k khuda ban gaye
Paise wale hain tabi toh juda ban gaye
Pyar k mausam ab pehle jaisey nahi, badli badli saari hawa, dekh le

Pyar k dushman k farmaan jab aate hain
Pyar karne walu ko tharraate hain
Kyon pyar bebas ho jaata hai
Kyon khatam har ras ho jaata hai
Dil k zazbe  bhi kyon zakhm khaate hain
Mazboot dil bhi pal mein toot jaate hain
Pyar kar k bhi apni jindagi, kyon huvi bemaza, dekh le

Pathar Aur Tasveer

Pathar ko tarasha jab mann se, tasveer yaar ki banti gayi
Tune bhi saat joh mera diya, takdeer pyar ki banti gayi

Hum ik duje k deewane huve, mashoor apne bhi fasane huve
Tu aisee haseen shamma thee fidha jis pe lakun parvane huve
Par tujpe kisi ka bhi rang na chadha
Tera dil kisi bhi dil se kabhi na judha
Tune meri dharkan se apni dharkan jhodhi, zanzeer dil k taar ki banti gayi

Duniya k zulmun sitam ka bhi, kuch ho na saka asar humpe
Hum koi galti kar jayen, rakhe huva hai zamana nazar humpe
Humne na maan ni hai logon ki,dil ki baat karege hum
Apni alag basa k duniya itminaan se pyar karege hum
Kuch tu bhi chali kuch main bhi chala, lakeer khar ki banti gayi

-------------------------------------------------------------------------

Tu saat chode ga toh akela hi chalna padega muje
Anjaan rahen hain gir gir k sambalna padega muje

Yeh kaisa jahan hain kaise riste naate hain
Sukh mein joh saathi bane dukh mein chod jaate hain
Har ek ko ristun k bandan se ulajana padta hai
Kuch hadsey aisey hain insaan ko janjor jaate hain
Toote huve riste k anch mein sulagna padega muje

Pyar ki aagan ko dil mein bhujana mere bas mein nahi
Pyar k badle dhokha doon aisa khoon meri nas mein nahi
Tujse toot k mahobat kee hai yeh tu bhi jaane hai
Doshi nahi nirdosh hoon main yeh duniya bhi maane hai
Zakhmu pe gavun pe marham laga k hasna padega muje

---------------------------------------------------------------

Sunday 24 February 2013

Geet

Door reh k bhi tu nahi juda hai
Tu toh meri har sans mein basa hai
Hawa ka jhonka tere sandesh laye hai
Tu mera hai har aahat yeh bataye hai

Tuje hi dekta hoon aaina k andhar
Dil ban gaya hai tera hi mandir
Tuje hi raat din pujata hoon
Kabhi gussey mein tum se poochta hoon
Kyon deewarun pe bhi tera saya mujko dikhta hai
Main kaise padta hoon roj woh khat joh tu nahi likhta hai
Tere khayal teri chahat ki jadugiri dekhi
Mahobat roj maine apne pass khadi dekhi
Kabhi woh udas muje dikhti hai
Kabhi khil khil k muskaraye hai

Tuje kaise batavun hall apne dil ka
Kis se poonchu main sawaal apne dil ka
Tere siva kisi se aasnayi nahi
Dil ki baat kabhi kisi aur ko sunai nahi
Tujse hi dil jaan aur jahan judha hai
Tu hai toh meri zameen se asmaan judha hai
Tu hai toh dekhen hain ankhun ne sapne
Tere hone se sabhi aazube lagte hai apne
Teri yaadun se sakoon mille dil ko
Hosh urd jaata hai jab tu aaye hai

----------------------------------------------------------------------
Khud se poochun tu mera kya lage reh
Mera mann tere peeche kyon bhage reh
Tujko yaad kar k sooti hai raat meri
Meri subha tere khayalun se jaage reh

Tu door rehta hai par teri khusboo
Meri sasun se aati hai mujko
Tuje dekh loon tu meri yaad
Khud hi bhool jaati hai mujko
Tere aane se mere chere pe ajeeb si chamak aati hai
Tere aane se mann ki dharkan geet pyar k gungunaati hai
Sari duniya se rista toot jaata hai
Jab mann se mann k judhte hai dhage

Tu mera hai ya  ghair ka
Yeh kismat k haat  mein hoga
Apne saare jeewan ka feshla
Kya sirf ik mulakaat mein hoga
Maine toh pehle hi nazar mein mann haar diya tha tujpe
Khel k jindagi ka juva sabkuch haar diya tha tujpe
Mann mein tadap hai tujse milne ki
Ankh intazar mein jaage hai


Saturday 23 February 2013

Duva

Duva dil se nikle tumare liye joh, usse pura kare ga mera khuda
Tuje duniya ki har ik khusi mile, Khuda se meri hai yehi iltaza

Tere paavun mein kanta bhi na chube, tujko aasaan  rahen milen
Sada main tere saat saat hi chalun, ghirne lage toh meri bahen milen
Dukh ki dhoop kabhi tujpe na pade, sukh ki thandi chayen milen
Jahan jahan se tu gujre, jannat ban jaye woh har jagha
Duva ----------

Tu meri bane ya ho jaye kisi ki, kaami tere pass na kabhi ho khusi ki
Milna bicharna toh takdeer dekhe, kaam karna na aeymeeyat tu apni dosti ki
Khuda se maang k bhi agar na mili tu, galti koi ho gi meri bandagi ki
Jahan bhi rahe tu rahe chain se, dil mere deta hai tuj ko duva

-------------------------------------------------------------------------

Tham ja zara, rukh ja zara, aey sham tujse guzarish hai yeh
Apne mehboob ko kuch aur dekh loon, dil bhi karta seeparish hai yeh




Teri Khusi

Teri khusi se badh k kuch aur nahi mere liye
Muje bata main aur kya kar sakta hoon tere liye

Tu beyanban raatun mein akeli darr darr k jee rahi hai
Main tere ghar k bahir kab se khada hoon savere liye

Kaali darri sehmi jindagi chod k aa ja meri roshni mein
Tu meri janmu janmu se hai chahe abhi nahi phere liye

Maine tere vaste saari jindagi laga di hai daav pe
Kasam hai, main nahi chahata k tu dukh b sahey mere liye

Duniya ki koi bhi deewaar hum ko alag na kar paye gi
Tu bani hai mere liye  'Chahat" main bana hoon tere liye
---------------------------------------------------------------

Tuje khusi dene k vaste muje gammu mein jeena manjoor hai
Tuje joh bhi dukh mila hai uss mein mere nahi kasoor hai
Sab kuch apna bas mein hai par takdeer ka kya karen
Takdeer k haatun main loot gaya aur tu mazboor hai

---------------------------------------------------------------------

Tere bina kuch bhi accha nahi, na pahar na vaadiyan
Mujko kyon tadhpa rahi hain sunder pyari chotiyan
Na mann mein chain hai na ankhun mein sakoon
Tu saat rahe toh tapas bhi acchi aur acchi hai aandiyan

Chandi jaisee barf ki chaddar bhi muje kare udas
Nadiyun k beech reh k bhi bujti nahi meri pyas
Phaharun ki chotiyan ya phedrun k silsille
Tere bina toh jaanam kuch bhi na chale
Tu saat ho toh registaan mein bhi aa jaati hain haryaliyan
Tu nahi toh gulistaan mein bhi  na bajein dil ki taliyaan




Geet aur Gazal

Kuch tum kaho kuch hum kahen, pyar ki koi toh baat ho
Haatun se hum haatun ko chuven, kahin se koi suruwaat ho
Main tuje bahun mein bhar loon,joh kiya na ab tak woh kar loon
Subha se joh suru karun, wohi karte karte raat ho

Dil mein chupey sab zazbun ko, ek din toh deni hai zubaan
Kab tak hum kahen ge nahi, ek din toh karni hai haan
Chupa k apne pyar ko hum ko kuch bhi na mila
Ab aur na chalne den ge chupa chupai ka yeh silsila
Aaj hi kyon na raaz khol len, I Love U baar baar bhol len
Aaj hi yeh teh kar len, kahan agli mulakaat ho
Haatun se .............................................

Tu bhi apne dil ka feshla saare jahan ko bata dena
Main tera hoon tu hai meri parda iss se ghira dena
Joh bhi saza duniya chahe hum ko de de tayaar hain
Pyar k buna sab rang duniya k feekey hain bekaar hain
Sab ko aaj keh liya, dard joh sehna tha seh liya
Dukh dard ho ya ho khusi, haat mein hi sada haat ho.
Haatun se.........................................................

-------------------------------------------------------------------------

Pyar mein kya khoya kya paya dekha nahi jaata
Pyar karne se pehle kabhi poocha nahi jaata

Ek baar dil kisi pe aa jaye toh phir jaanam
Woh jaan bhi le le rokha nahi jaata

Humne tum ko beintaha chaha hai sab kuch jaan k bhi
Tere siva ab aur kuch soocha nahi jaata

Tum ko bahut samjaya par tu phir bhi kare galtiyaan
Aisa karne se tuje khud ko kyon rokha nahi jaata

Mere bas chale toh tujko apne sanche mein dhal loon
Par chooti chooti baat pe tujko tokha nahi jaata

Itna pyar hai tujse k teri har galti k baad bhi
Tujpe vishwaas hai aur tujse bharosa nahi jaata


Friday 22 February 2013

Riste Naate

Riste Naate yahan bas naam k
Tere mere hain yeh kis kaam k

Pyar mein dard kon sehta hai aajkal
Saathi saare yahan hain aaram k

Janmu ki baat karna gunha ho gaya
Riste ho gaye ik raat ik sham k

Kon hai joh jahan mein bikta nahi
Jagre hain toh bas daam k

Tu dil se hai heera koi dekta nahi
Deewane saare hain surat aur cham k

Jo jeeta sabhi uss k ho gaye
Saat chalta nahi koi nakaam k

Rawan Wadi aage bhade ja rahe
Peeche ho rahe hai chaley kyon Ram k

Pyar kar k Chahat kahin k na rahe
Na Radha hi mili na rahe Sham k.

___________________________________________________


Joh khoya joh bhi paya, sab yahan reh jaye ga
Tera jism teri kaya. sab yahan reh jaye ga

Riste Naate Pyar mahobat tere kis kaam k
Yeh duniya yeh moh maya, sab yahan reh jaye ga

Mehal Chubare Bangle Gadi kuch na jaye ga saat
Teri yaaden tera saya, sab yahan reh jaye ga

Saat tere bas jayen ge tere acche bhure karam
Paisa tune joh kamaya, sab yahan reh jaye ga.

_________________________________________________


Wqat haatun mein aa aa k nikal jata hai
Joh bhi samettha hoon main woh bikhar jata hai

Sab log hain akalmand par koi na jaane yeh
K insaan jahan se ja k kidar jaata hai

Tum ko bhi hai seekayat mujko bhi hai gila
K pyar jis se hota hai kyon badal jaata hai

Pyar ussi se hota hai joh jaane anjaane mein
Pehli nazar mein hi dil mein uttar jaata hai

Mera khud pe hi koi asar nahi hota "Chahat"
Jisse bhi chu loon main woh toh nikhar jaata hai

_____________________________________________



Thursday 21 February 2013

Gazals

Muje keh toh dete, jaane se pehle
Tuje yaad kar leta, bulane se pehle

Kitne motiyoon ki maut aaj hogi,
Yeh sooch toh lete rulane se pehle

Sache dil k andar khuda basta hai
Kash jaan jaate tum dukhane se pehle

Dekh k ujra dil ko log keh rahen hain
Mehfil yahan thee veerane se pehle

Dil k baat ho toh sab dil ki sunte hain
Kon puchta hai zamane se pehle

Apne ko dusare ki b nazrun se tolo
Khud dhoob k dekho dubane se pehle

Naye yaar k sang muje dekh k woh bhole
"Chahat" rista toh todh lete purane se pehle

-------------------------------------------------------

Dard ko dil mein chupa k dekh liya
Yeh bhi tera hai azma k dekh liya

Pyar chupta nahi chupane se
Sab ko humne bhata k dekh liya

Door ja k bhi jee na payen ge donu
Ek baar pass aa k dekh liya

Log kehten hain baad mein hai rona hi rona
Pyar mein muskra ke dekh liya

Uss k siva kuch aur bahir na nikla
Dil chira dikha k dekh liya

Apnu se ghair hi ho gaye hain apne
Ghair ko apna bana k dekh liya

Ansu bhi kabhi kabhi dete hai khusiyaan
"Chahat" aaj khud ko rula k dekh liya.

Saturday 16 February 2013

Zaroori Aur Aaduri

Zaroori

Jeene k liye, aey mere dil, tuje kyon mahobat zaroori lagi,
Barsun se chup tha,chup rehta, aaj kyon seekayat zaroori lagi,

Jindagi teri jaise chal rahi thee, chalne deta vaise hi usse,
Jeene ki cha mein woh mar rahi thee, marne deta vaise hi usse, 
Har ass har umeed tootne se bhi tujpe na dikhta tha koi asar,
Jaise jee raha vaise hi rehta, kar leta jindagi ro ro k basar,
Par ab aisa kya ho gaya, k tujko bagawat zaroori lagi.

Mahobat k shole bujje na kabi. Wqat ka paani toh behta raha,
Kya Kabi koi aap ki jindagi mein tha, zamana poochta kehta raha, 
Dil mein sulagta raha kisi ka pyar, par kholi kabi na maine zubaan,
Meri kahani sunn k udas huvi zameen, ansu  bahane laga asmaan, 
Jis ne tuje dokha diya, kyon tuje uss ki chahat zaroori lagi

Aaduri

Teri yaadun ko bhula k muje, yeh jindagi aaduri lagi,
Gam bhi muje na gam se lage, aur har khusi aaduri lagi,

Minnaten bhi kee teri tarak bhi diya maine,
aur falsafe ka bhi huva na asar, 
Apni taraf se ki har koshish,
chodi ne maine koi b kasar,
Khuda se bhi tumko maanga maine,
par har duva huvi besar,
Khuda toh khuda hai who hi jaane, Kyon usse bandagi aaduri lagi

Apni mahobat mein hi  rahi kuch kammi,
K tum chup chap ghair k sang chal diye,
Raggun mein meri  khoon jam gaya,
lage k dil ko tum jhang chal diya,
Muje toh pata nahi log kehte hain,
ho k tum mujse tang chal diya,
Dil maine sirf tujse hi lagaya tha, aur tuje Dil ki lagi aaduri lagi






 

Friday 15 February 2013

Bollywood Type Song


Mujse mil kar, chill kar, bhool ja saare gum 3,
Phool see khil kar, chil kar, bhool ja sare gum,
Kurbaan kisi pe apna dil kar, chill kar bhool ja saare gum

Udasi tujpe sazti nahi, u apne jaise lagti nahi,
Dekh kar teri khamosh ankhen, ganti dil mein bazti nahi,
Chere pe noor la. Ankhun mein saroor la,
Muje bahun mein kas le, hill hill kar, chil kar, bhool ja ...............

Teri baali umar hai, teri patli kamar hai,
Tera badan tapta shoola, daale har koi nazar hai,
Tere jalvun ne sab ko maara, ankhun se kar ishara,
Koi sms kar pyara, sabko kill kar, chill kar, bhool ja ......................

Na aaye gi phir jawani, yeh jaane tu bhi rani,
Pachtaye gi ghar ja k, baat meri agar na maani,
Apni chunri ko ghira de, sholun ko hawa de,
Tu kya hai bata de, gap fill kar, chill kar,
Sabka scoor nil kar, har gossip ko kil kar, Chil kar bhool ja.................

-------------------------------------------------------------------------------------
Gulshan joh khijavun mein ujren ge, Unne baharun ne phir khillana hai
Kantu se roj zakhm kha k bhi, Phoolun ko sada muskarana hai
Oonche parbat gehri khaeeyaan, muje kya rokhen gi "Chahat'
Main teri nadiya hoon sagar, muje tuj mein hi samana hai

Thursday 14 February 2013

Pyar Mahobat Aur Poetry


Pyar Kya Hai

Teri ankhun se padh liya maine, woh sabak joh mujko padna hai
Aaj phir jee k dekha maine, aaj phir mujko marna hai

Tu chali jaye gi chod k mujko, yadun k saat jodh k mujko
Logon ko kuch samaz na ayyegi, tu jayegi todh k mujko
Abhi himmat muje dikhani hai, abhi sadme se ubharna hai

Tera mera ajeeb rista hai, tera mera alag kyon rasta hai
Pyar mein aisa kyon hota hai, ghair hi aa k dil mein basta hai
Tune ankhun mein rakha hai mujko, tere dil mein muje utarna hai

Pyar khona aur paana hi nahi, pyar ki baat hi nirali hai
Pyar khele dharkanu se holi, zazbun ki aag se diwali hai
Log kehta hai aag ka darya hai, mujko b aag se gujarna hai
--------------------------------------------------------------------------------------------------
Wqat rukh jaye ga tham jaye tere aane se,
Baat main kehna chahata hoon saare zamane se,
Kya Tuj ko dekh k mujko chain aaye ga,
Khud ko b azmaa loonga isse bahane se

----------------------------------------------

Tum duniya ki hi baat karu,
dil ki toh kuch kar sakte nahi,
Apni marzi se joh jiye na kabi,
marzi se woh mar sakte nahi

 ---------------------------------------------
Tune jab se saat choda hai, bandanu se azad rahe hai hum
Isliye akele hi jindagi bhar, tere baad rahe hai hum
Logon ke samne muskarete, haste khelte rahe
Dil hi jaane dil se kitne,barbaad rahe hai hum

 -----------------------------------------------------------------
Duvayen kaam aati toh aisey halaat na hote,
Aap k badle gamun k bhoj hamare saat na hote,
Humne apne aap ko kab ka maar dala hota,
Agar aaj b aap dharkanu k ass pass na hote.

--------------------------------------------------------

Tum tanha chod k javo ge, itna pata na tha,
bewafai bhi kar javo ge, itna pata na tha,
itna sabkuch hone k baad bhi,
tum dil se na javo ge, itna pata na tha

-------------------------------------------------------------------------------

Tuje dil de k kya paya, koi pooche, kahun kya main,
Na mili rahat na chain aaya, koi pooche, kahun kya main

1) Ankhun se choom k tumko, sansun mein basaya tha,
    khali sunsaan tere dil ko, mahobat se sazaya tha,
    pyar se seench k hum ne, ik gulshan khilaya tha,
    pyar ki dhali dhali ko khizan se bachaya tha,
    khila tha pedh kyon murjaya, koi pooche, kahun kya main

2) Main apne dil ki haalat ka tume ilzam na doonga,
    koi kuch b kare lab se tumara naam na loonga,
    jitna b diya tumne pyar woh b accha tha,
    main duniyadaari na samza sahid chota bachha tha,
    luta kya mera sarmaya, koi pooche, kahun kya main.

----------------------------------------------------------------

Joh log yaad aate hain wohi ho apne hote hain,
Joh khuli ankhun se dekhe jayen wohi toh sapne hote hain,
Bhuri woh ho nahi sakti mahobat naam hai jis ka,
Dukh dard bebasi nakaami chahey inaam hai iss ka.

-----------------------------------------------------------------------------------

Umar tere bina aisay gujari hai, jaise jindagi ki baazi haari hai,
Tujse bichrey huve barsun huve hai phir b, meri har sans aaj b tumari hai,

Yadun k mausam sada khusgawar nahi hote,
Logon k samne hum b toh nahi hai rote,
Akele mein kya hota hai koi na samze ga,
Baaki ka wqat b tere bina hi gujre ga,
Tera naam aate hi aisa hota hai kyon, dil ki badh jati bekarari hai

Nassebu k haatun lute hai khabar hai sab ko,
Maante hai hum aaj b apne ussi rab ko,
Jis ne tumse mila k juda kar diya mujko,
Sach poocho toh fanha kar diya mujko,
Kisi se keh nahi sakhte magar sach hai, tu aaj be humko khud se pyari hai

Tujse milne ki tamanna aaj b dil mein rehti hai,
Mere andhar koi cheez hai joh mujse kehti hai,
Sahid tu b muje utna hi yaad karti ho,
Jitna main marta hoon tujpe utna marti ho,
Dil pe phir b chal rahi hai kab se, wqat k pass joh tez aari hai

 -------------------------------------------------------------------------------------

Duniya se jeet k b main khud se haara hoon,
Isliye hi ban na saka tumara hoon,
Tu muje dekh toh sakti ho par pa nahi sakti,
Ttere asmaan ka main ek dundla taara hoon.
 ----------------------------------------------------
Meri sasun mein ik ajab se bekarari hai,
dil ki dharkan jab se huvi tumari hai,
tu nahi saat toh kuch b na apna lage,
kehne ko youn toh mere pass duniya saari hai.

---------------------------------------------------------------------------------------------

                       Naya Saal
Naya saal ka youn swagat karo,
sabi khus rahe yeh ebadat karo,
shikwa gila b jis se ho tumko,
uss se b sachi mahobat karo,

1) naye saal mein naye suraj ki kiran,
mita de dilun mein joh b hai chuban,
ankhun ki udasi khusiyun mein dhale,
ho jaye thandi seene ki agan,
apnu se sabi karte hain pyar,
ghairu se b ab tum chahat karo

2) koi beti ab na grab mein mare,
 koi behan dahej ki suli na chade,
 kisi aurat ki izzat na lute,
 koi doshi saza k bina na bache,
sadak pe kisi ka khoon na mila,
samaz ki tum aise halat karo

3) dusarun ko sudaarne ki hi na baat ho,
   apni atma se apni b mulakaat ho,
   hum sab apne b dil mein jhank k dekh le,
   khon doshi hai yeh bhanp k dekh le,
   acchai se kar lo dosti,
    burai se tum bagawat karo

-------------------------------------------------------------------

                               
Bewafai ko teri mauf kar k, dard milta raha yeh kya kiya maine,
Na tera hi huva na main raha apna, jindagi ko tukhdu mein jiya maine.

1) pyar tum ko joh diya maine, kyon diya is ka koi jawab nahi,
 tujko hakeekat mein bana liya apna, dekha tere kabi kyon kawab nahi,
 is kadar is siddat se tu dil mein utari k rag rag tu machalne lagi,
 jaise jaise badti gayi teri chahat vaise hi jindagi meri badalne lage,
 tere khatir tere liye, joh na karne they kaam woh b kiye,
 dosti yaari ristedaari aur duniya, sab ko kurbaan kiya maine.

2) maanga tujko nahi khuda se magar saat k liye duvayen karta hoon,
 tu kahin chod na jaye mujko raat din is khayal se darta hoon,
 kaisa ajeeb sa khel yeh mahobat hai, jis k liye jeeta hoon ussi pe marta hoon,
 nazar apni hi lagi pyar ko apne, toot gaye. Joh b dekhe they sapne,
 ab dard se pet bhaa mera aur khoon ka ansu piya maine.

------------------------------------------------------------------------------------

Pyar ki kisi ko kadar hai kahan,
Dil ki baatun ka sab pe asar hai kahan,
saat ik raat ka ab chalan hai yahan,
umar bhar joh saat de humsafar hai kahan,

Jis rah b chala dokha khata raha,
geet pyar ka magar gungunata raha,
seene mein le k zakhm apnu k,
chere se main sada muskarata raha,
 mandir maszid gurudwarun mein bheed mili,
dakha mukhi main b toh khata raha,
 na khuda ka hi mujko deedaar huva,
 na main apnu ka hi yaar huva,
har rah pe thake haare rahi mile,
 ristedarun mein hi kasai mile,
 dil k tukhde mile gulistanu mein
 ashiq sache mile mehkhanu mein,
 joh muje mere yaar tak le chale,
muje bata do woh dagar hai kahan?

 ------------------------------------------------------------------------------------------------------
Dava ki zaroorat nahi muje duva dijiye,
Sanse ukhar rahi hai thodi hava dijiye,

1) tere khayalun mein khon hai mujko pata nahi,
dil khon basta hai chere pe likha nahi,
apne kareeb rakhte ho tum bahut hi khas log,
tere didaar ki rakhte hain hum jaise aas log,
 jee jayen ge apni ik nigha dijiye.

2) wafa ki jinne samaz nahi woh bane hain wafadaar,
 wohi pyar ka falsafa padhatey hain jinne aata nahi hai pyar,
 ruswa wohi hote hain joh marte hain pyar pe,
 chalna unne padhta hai kanton ki taar pe,
 aise hi hum b hain hume b saza dijiye

-----------------------------------------------------------------------------
Jeene ki khawaish mein yahan roj marna padta hai,
dil jisse karna na chahe wohi kaam karna padta hai,
pyar karna pyar paana aasaan nahi hota hai,
 iss k vaste toh hadh se gujarna padta hai,
koi aisa nahi is jahan mein, jisse dard k bina pyar mila ho,
 jaisey darya paar karnne k liya paani mein utarna padta hai,

yeh duniya ajeeb hai aur ajeeb hai chalan iss ka,
k joh jaan se pyara ho, ussi k liye tadapna padta hai,
main kahin bhar yeh sooch k chup ho jata hoon Chahat,
k pyar paane k liye kyon aurat ko savarna padta hai

---------------------------------------------------------------

Umeed pe hi khayam hai duniya, umeed ka na tu chodna daaman,
nafrat ki chahe jitni ho baaris, pyar ka hi tu odhna daaman,
 saat milna ya judha hona yeh khel hai naseebu ka,
kho k b kisi ko na visvaas ka na todhna daaman

------------------------------------------------------------------------------------------

Dard-o-gum se mera dil aabaad kiya hai tune,
 khon kehta hai k muje barbaad kiya hai tune,
wafa k badle mein bewafai ka toofa de kar,
kasmu vaadu se muje khud azad kiya hai tune.

-----------------------------------------------------------

Door kar rahi hai logon se meri sachai mujko,
panapney kyon nahi deti insaaniyat aur achai mujko,
yeh ajeeb sa morh aa gaya hai jindagi ki rah mein,
 k akela chod rahi hai meri hi parchai mujko

-----------------------------------------------------------------


Pyar ki har baat khud jis ne shekhayi mujko,
 kyon samaza na paya wohi pyar ki gehrai mujko,
maine toh apni haalat ka ilzam kisi pe lagaya hi nahi,
phir kyon de raha hai woh apni safai mujko,

Raat aayi magar neend na aayi mujko,
soney nahi deti kyon teri judai mujko,
yeh kya huva hai muje aisa kabbi huva na tha,
apni lagne lagi hai koi cheez parai mujko

--------------------------------------------------------------------------------------

Muje chahiye teri rooh dilo jaan mein sada basne ki jagha,
main koi khawab nahi jisse tu raat ko dekhe aur bhool jaye subha

------------------------------------------------------------------------

Khusi jab tak mere pass rahi tum rahe pass mere,
tumne chod diya muje jab meri jindagi ka sawaal aaya,
Main b ajeeb insaan hoon tere bina jee sakta nahi,
Khusi mein b yaad kiya tuje dukh mein b tera khayal aaya.
--------------------------------------------------------------------------

                                     WQAT

Wqat khud hi sawaal pooche hai, wqat khud hi jawab deta hai
Tune accha kiya ya kiya hai bhura, yeh sab ka hisaab leta hai

Sab ko bandatata hai tofey halke bhari, ek din aati hai sab ki bari
Neerash kisi ko yeh karta nahi, rehmatein is ki kab se hain jhari
Jindagi ko deta hain sanse, mann ko deta hai mann ki ankhen
Jis ke pass hoti hai kalam pyar ki, uss ko hi dil ki kitab deta hai

Wqat jab meharbaan hota hai, tab hi insaan ka naam hota hai
Wqat ulti jab chal chalta hai, raja b tab gulam hota hai
Wqat ki izzat joh karta hai, mar k b woh kabi na marta hai
Wqat ki dekho kaise duniya hai, kante ko hi gulab deta hai

Wqat se dosti karna seekha hai maine, tum b seekho jaldi
Apne dil k zakmu pe laga lo, meri tarah tum be pyar ki haldi
Pyar ka saat wqat deta hai sada, kisi na kisi dil mein sab ko milti hai jagha,
Mujko dee hain iss ne teri ankhen, saraabiyun ko yeh saraab deta hai

----------------------------------------------------------------------------------


Muskilen sabak joh deti hain woh sacha sabak nikla
Loha tab hi bana sona tap ke aag se jab nikla
---------------------------------------------------------------------------------------
This poem is for my Nani- Maternal Grand Mother


                                Ba Ji
Jab tak rahen ge jinda, tu hum ko yaad rahe gi,
Tere ashirwaad se apni, duniya aabad rahe gi,
Jeete ji b Ba aap ne hum sab ko, di hain khusiyaan,
Mar k b tere duvahun ki, paari nabaad rahe gi,
Duniya k janjalun se, aaj mili hai tujko mukti,
Jeene marne k bandan se, ab tu azad rahe gi,
Teri har ek sheek aur salaha ko, hum ne sada hai maana,
Teri ahemeyat hamare dilun mein tere b baad rahe gi,
Tujko apne jeewan se hum door na jaane denge,
Jeewan roopi baghiya mein tu ban k khad rahe gi,

Urdu Gazal Aur Geet


                                         Gazal

Chiragun ko buja do tum, andhere rass aaye hain
Badi muddat k baad woh, hamare pass aaye hain

Bhathavo unn ka kya hoga, sahara khon unney de ga
Khudaya tere ghar se joh, log nirash aaye hain

Aisa kabhi huva na tha, aisa kyon huva hai aaj
K unn se mil k aaye aur, hum udas aaye hain

Sabhi sazdaz k khade hai, sabi k chere roshan hai
Lagta hai mehfil mein kuch log khas aaye hain

Hamari b iltaza sun lo, hum b aap k apne hain
Aap se milna chahate hain, liye kuch ass aaye hain

Sab poochete hain humse k, is garmi ke mausam mein
Bata do kis nadi se hum buja k pyas aaye hain

Jeene k liye "Chahat", dekhiye kya kya nahi hota
Liye apne hi kandu pe, hum apni laash aaye hain

--------------------------------------------------------------------------
  

Teri yaad b mujko dene lagi hai dokha
Yeh mujko chod jaye jab b mile hai mokha

1) Tu chod ge gayi thee, phir laut k na aayi
Barsun huve hai bichre, lage phir b na parai
Tere sapne mujko ab b, raatun ko satayen
Yeh baat maine, sari duniya se hai chupai
Juda ho k b apne beech, hai rista koi anokha
Teri yaad b ..........

2) Teri yaad k sahare kaati hai jindagani
Kabi khusi de gayi hai kabi layi pareshani
Is ka rista hai mujse ab bahut hi purana
Is ko hi sunata hoon main dil ki ab kahani
Apne pass aane se is ne, mujko kabi na rokha
Teri yaad b ........

3) Kuch dinu se yeh mujko bada udas kar rahi hai
Kya vaza hai k sach batane se darr rahi hai
Sadme pe sadme de k dil ko dard hai deti
Na dikhne wale ansuvun ko meri ankhun mein bhar rahi hai
Lo phir aa gaya hai teri yaad ka ik jhonka
Teri yaad b.....

Valentine Day and Women

Dear Friends Today is Valentine Day, Let us dedicate ourself for Love Love and Love. We all need Love for existance, sustinence and creating a progressive kind lovable and peaceful world. But we must know that it is only through respect affection and valuves we can create a World that we are dream for. No society can live peacefully happly if Women are not respected loved and valued for their contribution to our  Life and World. Let us rededicate our commitment for respect and Love for Women- Our integral Part of life I may say our heart of Life. Moreever I want to stress that One day is not sufficient even to know the meaning of Love, what to say To love or to be loved. We need to breath Love eat love drink love everyday to understand the essence of LOVE. Here are poems for Love for Valentine Day:


Meri muskil hai k main pyar ko bantun kaise,
Beti patni Ma hoon sansar ko bantun kaise.

Ek ne mujko joh dee woh jeet banti maine
Dusare se joh mili uss haar ko bantun kaise.

Sab ko khusiyan de k apni khusiyan tyagi maine
Phir b ristun mein padi deewar ko bantun kaise.

Ek kehta hai muje pyar ko dekh duja sansar kehe
mere dil se joh nikle uss pukar ko bantun kaise.

Main aurat hoon chahat mera khoon khoon nahi,
Roj dil pe chali talwar ko bantun kaise.
-----------------------------------------------------

Pyar k liye ik din kya, jindagi hi kam hai
Mil jata humko bhi khuda, bandagi hi kam hai


Riste naate paani jaise, khud rukte hain chal padte hain,
Pyar k chaddar pe kabi kabi, khawahasun k bal padte hain,
Main bhi tujpe mar mit ta, dosti hi kam hai.

Main tab udas ho jata hoon, jab tu pad jaati hai thandi,
Baar baar kyon aa jati hai, tere pyar k bazar mein mandee
Main khusiyun k ansu bahahoon, par khusi hi kam hai

------------------------------------------------------------


                  Valentine Day

Har taraf shor hai k aaj hai Valentine Day
Bahut se log poochte hain yeh kya hai ray,
Pyar karne ka din hai jab maine bataya
Aankhe nikaal ke meri Ma na samjaya
Pyar k liye ik din kya poori jindagi hai kam
Pyar toh ibadat hai pyar nahi zuram

Pyar hai toh parvaana shama pe marta hai
Pyar hai toh deepak aag mein jalta hai
Pyar hai Chand chandni ka dum bharta hai
Pyar hai toh khush ho sakti hai ankh nam

Pyar hai toh lagan se insaan kare hai kaam
Pyar hai toh Bhagat leta hai Prabhu ka naam
Pyar hai toh Sharaabi todhe na apna jaam
Pyar hai toh insaan seh leta hai sarre gum

Pyar hai toh phool kaantu mein muskarye
Pyar hai toh raat sham se milne aaye
Pyar hai toh subha suraj ki ho jaye
Pyar hai toh patte pe padhti hai sabnam

Pyar hai toh pyare hain Darling aur Humdam
Pyar hai toh bante hain sajni aur Saajan
Pyar hai toh Jaan, Jaane Jahan, Na jaane kya kya hota hai
Sonu Sona Monu Mona Pyar mein aisa hota hai
Sweety Sweetu Honey Money Gabru Chunna bante hain
Anpade ya pade likhe sab pyar ki bhasa sunte hain

Anpad bhi I love u bhole, pade likhe ka kya kehna
Pyar ban sakta hai yaaro, Duniya ke sazne ka gehna
Pyar se badal sakti hai duniya, War se kabhi na badle gi
Mitta do dilon ke sab fasle, dewaar se kabhi na badle gi

Insaan insaan se pyar kare, iss se kya bethar hoga
Agar ladai hoti rahi "Chahat", toh  har taraf Kurushetra hoga
Aavo pyar ki bhasa bolen, pyar ka sabak pade phadayen
Ek desh nahi saari duniya ko hum phir Swarg Banaye