Saturday 9 February 2013

Main Ladki Hoon

Here is another poem on the plight of a girl child in India. 

Main Ladki Hoon

Ladki hone ki mujko saza dijiye
Saza ki na koi waza dijiye
Maine Ma ban k sab ko jeewan diya
Muje aaj phir se kaza dijiye

 Main har roop mein daasi rahi
 izzat aur pyar ki pyasi rahi,
 Patni bani toh pati ki chaya mein rahi,
 Beti ban k pita ki maya mein rahi,
 Behan bani toh bhai ne rokha muje,
 yeh nahi karna woh kar tokha muje, 
 Main khul k sans le sakun bas thodi hi hawa dijiye.

 Maine sapne bade kabi dekhe nahi,
 bas choti choti khusiyun ki chahat hai muje, 
 jis k kabil hoon main muje woh b na mile,
 bas is baat ki shikayat hai muje, 
 muje khud se chota samjo nahi bas mujko b marji se jeene do,
 khud apne feshale muje karne do bina arzi ke jeene do, 
 muje paisa shorat bale na mile apne dil mein jagha dijiye 


                              Dhundlaka

Yaddun k Dhundlake mein, na jaane kya huva, teri tasveer phiki lagi
Ab k saawan mein, joh mujko mili, woh kheer phiki lagi


1) Pyar kam huva hai tera ya halaat bas mein nahi
Ab phele jaisee mahobat ki siddat teri nas nas mein nahi
Ab ki bahaar mein, kyon tere Ranje ko, apni Heer phiki lagi.

2) Pyar tumse itna hai k tera maara phool b pathar jaisa lage
Tere bina jiyun toh aisa lage jaisey wqat mujko thage
Tune dard b diya, dil ko kuch b na huva, aur pheed phiki lagi. 

No comments:

Post a Comment