Wednesday 13 February 2013

Yaadun K Pal

Yaadun K Pal

Yaadun k pal sametay hain maine, phir ja k door tanhai huvi,
 Wqat ne yeh kaise asar dhikhya, dundli teri parchai huvi
    
Jhardhalu k phal aur makki ki challiyaan,
Bhool gaya hoon bagh aur galiyan,
Mujko ab na koi pechane.
Na pedh podhe na phool kaliyaan,

Ab mujko yaad nahi aati,
Sehar ki dakhiyan aur mandir ki sheediyaan,
Ab main kisi aur jagha ka hoon bashinda
Kehti hain mujko sabi nayi pheediyaan,

Bachpan k khel bane jawani mein museebat, 
Jaan gaya hoon ab main yeh hakeekat,
Kabi main yahan pe sab ka tha pyara,
Mere bin hota na tha kisi ka gujara, 

Sab ab kar chuke hain mujse kinara,
Ab sabkuch pa k khud se hoon haara,

Har roj main yeh soochta hoon, yeh kaisee kamai huvi,


 Another Poem on Recent Rape in Delhi


 Jab peda kiya toh phir mera triskar kyon kiya,
 Viswash todha maara peeta balatkar kyon kiya

1) Muje har mard se ab darr lage bacha bhudha ho ya jawaan,
    Kahan chala gaye aajkal mard k andhar ka insaan,
    Uss ne apna chera itna khoonkar kyon kiya

2) Main bhi inssan hoon muje kyon cheez samza jata hai,
    Har burai ka muje hi kyon beez samza jata hai,
    Koi bataye mere deh ka vaopaar kyon kiya


3) Mere apne hi mujko dukh dete hain satataye hain,
    Saari acchi baatein jab zaroori ho bhool jate hain,
    Padh likh k innu ne apna sabkuch bekar kyon kiya

4) Agar main na rahi toh phir sansaar kya hoga,
    Mere bina sukh hai behmani aur pyar kya hoga,
    Ab mujko apni pehchan ki ladni hai ladai,
    Ab mujko nahi rehna hai ban k katputli ya parchai,
    Ab soochti hoon itna lambha maine intazar kyon kiya



No comments:

Post a Comment