Sunday 10 February 2013

Kismat Pe Chod Diya



Tu milegi ya na milegi mujko, ab kismat pe baat chodi hai
Sitare apne kabi mile na milen, sans se sans humne jodi hai

Pyar sab ko mil sakta nahi, yeh baat jaante sab hain
Phir b pyar karna chahatey hain, dil ki baat maante sab hain
Dil sada sachi rah chalta hai, pyar ka suraz kabi na dalta hai
Sach mano toh pyar ki taqat se hi sari duniya ka kaam chalta hai
Phir b pyar k raste mein lakhun muskilen aati hai
Wqat k jab thapare padte hain rasme kasme bhul jaati hai
Hum sacha pyar karte hai, ham se har rasam todi hai

Sacha pyar kar k bhi kyon juda hum ko rehna padta hai
Gamun se ladhte rehte hain aur dard sehna padta hai
Log hamare pyar ko na jaane kya kya naam dete hain
Baatun k theekhe nastar roz subha sham dete hain
Pyar kuch nahi hawas hai yeh ilzam lagate hain log
Apne wqat apni jawani ko kyon bhul jaate hain log
Hum kabi na kabi milen ge sanam, pyar ki chaddar humne ohdi hain



Dard

Dard aaram de raha hai ab toh, pass apne aa gaya hai rab bhi
Tere chere ko dekh letey hain, apne dil mein jhankte hai jab bhi

Dard ko dava ban ney mein gujar jaye gi umar, 
itna intazar hum se na kiya jaye ga, 
na dard hum ko maarne k kabil rahega,
na hum ko aisey hall mein jiya jaya ga,
isliye betar hai k dosti dard se kar lo, 
apni marzi se jiyo aur marzi se mar lo.

Dard se pyar kar liye hai hum ney,
Dushmani hum se chod di hai gum ney
Gum b ab dosti nibata hai, roz roz hum se milne atta hai
Bebasi bhi subha sham aati hai, aa k hum ko khub rulati hai
Rotey rotey bhi hasne lagte hain, jab teri yaad mein basne lagte hain,

Apne aur dard ki yehi kahani hai, dard hai toh jindagani hai.




No comments:

Post a Comment