Thursday 14 May 2015

Likh Diya Aisa bhi Maine

Museebatein jab hadh se badi, toh apne bhi chod gaye mujhko
Aise jaise doobti kishti se, uttar jaate hain musafir saare
                             --------------------------
Dekha tuje toh, aisa laga
Jaise dekha hai, maine khuda
Dil mujhse kehta hai, sunn zara
Fark bas itna sa, hai zara
Khuda toh mandir mein, bhi na dikhe
Tu dikhta mujhe hai, har ik jagha.

              --------------------------
Pyar k naam pe kyon khamosh ho gaye ho aap
Kya kisi see yaad aap ko bhi aa gayi hai abhi
Meri ankhen toh hamesha hi nam rehti hai
Kya koi baat aap ko bhi rula gayi hai abhi.

               ---------------------------

Tamana hai mahobat mein bahut mujko sataye tu
Kabhi pyar kare mujse aur kabhi bhool jaye tu
Tumare saamne aa kar main bacha sa ban javun
Mahobhat ki sabhi baatein khud mujko seekhaye tu.
                ---------------------------------
Dil ki badhaaliyun ne aisa kiya hai mera haal
Ab toh mere jeene pe bhi uthne laga hai sawaal
Main akela hoon phir bhi lage bheed hai jhakre huve
Kisi ne jaise bunn liye ho mere aage peeche jaal.
             ---------------------------
Ik zameen ka tukra hi, ban gaya hai dusmani ki waza
Vaise toh hum donu bhai hain, ik ma ka dood hai piya
Aey khuda yeh kaisa daur, aaya hai teri khudai mein
Apne hi apnu k khilaaf hain, aur apnu ko dete hain saza.
                ----------------------------

Muje bhahun mein bhar k, ik baar dekh lo
Teri sabhi paresaniyaan, ho jayen gi hawa
Badan ki saari thakan ko, araam aaye ga
Aur dil k har ek dard ko, mil jaye gi dava.

           ------------------------
Tere mere beech mein kuch aisa ho gaya hai
Sab kuch theek thaak hai par kuch kho gaya hai
Hum sabkuch kar sakte hain par dobara la nahi sakte
Talkhiyun mein jhagrun mein waqt joh gaya hai
                          ---------------------------
Kaash k har Muslim ban jaye Javed Akthar
Aur koi bhi Hindu na Tagodia bane na Modi
Sab desh k mitti k saat saat deshvasiun ko bhi poojen
Sab ko pyara ho Bharat Ma ka anchal aur Ma ki godhi.
                     ------------------------
Waqt se badle ga tan badan tera yuvan bhi dhale ga
Roop rang bhi pheeka hoga kyon ki dhoop mein jalle ga,
Par tere mann ki acchai pe aanch bhi naa aaye gi kabhi
Waqt se pyar aur gehra ho jaye ga joh dil mein palle ga.
                 -----------------------------------------
Eid ho mubarak har deshvaasi ko
Khuda ki deed ho har ankh pyasi ko
Mil jul ke sabhi tyohaar manane hai hume
Woh aayen amavasya mein ya puranmasi ko
Khusiyaan ko le k hi aata hai har tyohaar
Vishvash ke saat saat badhata hai yeh pyar
Pyar se hum ko yeh Eid bhi manani hai
Riwaaz yeh naya nahi reet purani hai.

          ----------------------------------
Dusarun ke aadeen na reh, khud pe bharosa kar le
Khud pe yakeen na todna, khud se na dokha kar le
Dusare bas salaha denge. aur nikaalen ge galtiyaan
Tera dil jaisa chahe kaam vaisa hi anokha kar le.