Monday 29 September 2014

Maut : Neend Chain Ki

Maut ke moun se joh nikal ke aaya hai
Main nahi hoon woh toh mera saya hai

Ek hi sans ke tootane se lut gaya woh bhi
Log jisse kehte the umar bhar ka sarmaya hai

Pyar kyon itna karte hain apne mujh ko
Mera pass kuch nahi bas mitti ki kaya hai

Jahan pe koi bhi apna nahi apna lage mujko
Wqat mujhe aise mukaam pe le ke aaya hai

Bangle ghadi paise ki baat nahi karni hai mujhko
Aaj apna tan badan bhi lagta mujhe paraya hai

Mehnaat dekti reh gayi main aage badhta gaya
Naseeb mujhko kahan se kahan laaya hai

Bahut dair se hi jaana par jaan ke bhura na laga
Woh khuda ka dhar nahi jahan maine sar jukaya hai

Chod diya hai surun se khelna jab yeh jaana maine
Dhunn meri thi par geet kisi ne gaya hai

Wqat aur halaat se bante bhigarte hai riste
Koi apna nayi yahan na koi paraya hai

Samne maut khadi hai aur main darr ke baitha hoon
Aur koi bhula huva dost yaad aaya hai

Mar ke jab chain ki neend soya toh laga "Chahat"
Kisi ne jaise lambhi meend se muhje jagaya hai

Friday 26 September 2014

Ghazal: Yaadun Ke Jamghate Se Main Bahir Nikal Na Paya

Yaadun ke jamghate se main bahir nikal na paya
Dil ki uljanu ka issliye koi bhi hal na paya

Seene ki jalan ki khatir pee maine sharaab kaafi
Ik baar joh main behka phir kyon sambal na paya

Beimanu ki is duniya mein main alag talag ho gaya hoon
Sachai aur imandaari ka maine koi bhi phal na paya

Gharun, galiyun, bazaarun sehrun ke badle hain maine nakshe
Par apne haatun ki lakeerun ko cha ke bhi badal na paya

Bhure waqt mein duva dava ka maine liya bahut sahara
Bhura mere saat joh hona tha lakin woh tal na paya

Barsun se barsun tak jeene ki ladai insaan lad raha hai
Par woh jitna bhi bane danish maut ko chhal na paya

Marzi se duniya chalti sabkuch kar leta main apne bas mein
Magar hakeetat mein mera dil bhi meri marzi se chal na paya

Meri arzooein itni ki poori ho sakti nahi ik janam mein
Maine aakhand banana tha jiss ko woh diya hi jal na paya

Kehte hain aakhiri waqt khuda ka naam lene mein sabaab hai
Jab zaroorat padi bolne ki mera lab khul na paya

Na jaane kis tarah se maine jingadi ke sarmaya ko lagaya tha
Sood kya milta mujko maine toh asal na paya

Kitne ghair logon ko maine badla apni salaha masvare se
Par mera apna hi bachha mere sanche mein dal na paya

Ghairn ke haq ki khatir maine chere pe chere badla
Par ma baap ki umeedun ka kazal main aakun mein mal na paya

Tuje chod ke ik baar joh chala aaya teri duniya se
Aey dost main jis mein laut aata koi aisa pal na paya

Waqt se saat na badalne ki payi hai saza maine
"Chahat" kisi ka dard bhara pyar mera dil se nikal na paya.

Tuesday 16 September 2014

Srinagar - Kya Khabar Hai Iss Shehar Ki


Is shehar ki yeh khabar hai har khabar hai pani pani
Kyon huva kaisa huva par saara shehar hai pani pani

Pani ne mita diye hain chote bharun ke antar
Amirun ka ho ya gareebun ka har ghar hai pani pani.

Pani mein joh gujri kali raat woh kisi ko na bhoole gi
Subha bhi kaati thi pani mein aur ab dopehar hai pani pani

Yeh peerun fikeerun ka shehar isse kis ki nazar lagi
Khudrat ne joh yahan bakhshi thi woh mehar hai pani pani

Jis taraf bhi nazar jaye pani hi nazar aaye
Tehar ke karo ya naav se ab safar hai pani pani.

Charun taraf hai dikhta barbaadi ka hi manzar
Dil mein hai gamun ka sailaab aur nazar hai pani pani.

Iss shehar ke honsale bhi mujhe past lag rahe hai
Khawaisen bhi huvi hai geeli umeedun par hai pani pani.

Mar mar ke jin ki raatein kati hai un logon ka
Dil hai bada mayoos aur sabar hai pani pani

Kaya karen kaise karen jeene ki iss daud mein
Na manjil ka pata hai aur dagar hai pani pani.

Sailaab se lad raha apni tarah se har koi
Yeh kaise huva yeh sooch ke har basar hai pani pani.

Desh pe jaan lutane wale ab jaane bacha rahe hai
Kabhi unn pe chalne wala har pathar hai pani pani.

Muslim mara ya Hindu insaan hi mara hai
Astiyaan toh pani mein milti thi ab kabar hai pani pani.

Tabai mein bhi sayasat dekh ke har insaan dukhi huva hai
"Chahat" ankhen meri jhuki hai aur sar hai pani pani.



Tuesday 9 September 2014

Ghazal: Pani Pani

Hamare sabhi mansubhe pe phir gaya hai pani
Tabai macha raha hai kyon ghir gaya hai pani

Kabhi jindagi yeh deta tha ab maut ban gaya hai

Jeene ki sabhi taqatun se bhid gaya hai pani

Kudrat ki bekadri dekhi gayi na iss se

Badle le raha hai chid gaya hai pani

Virat roop pani ka dekh ke sab darre hai

Ab khamosh kaise hoga jab chidh gaya hai pani

Faslen pedh podhe roshni jindagi dene ka kar ke vaada

Barbaadi kar ke vaadun se phir gaya hai pani.

Ab ke. baras itna barsa jitna kabhi na barsa

Pehle desh ke dil kandu pe ab sir gaya hai pani

Joh bhi iss ke aage aaya usse nisbo naboodh kar ke

Dil se hi nahi ab demaag se bhi phir gaya hai paani.

Zannat mere desh ki pani ne bani hai dozakh

Khudaya rokh isse asmaan se bahut ghir gaya hai pani

Bahut roya hai asmaan dekh ke tabai khudrat ki "Chahat"

Kyon ke bepavun ke hai barsa besir gaya hai pani.