Sunday 31 March 2013

Kabhi Kanni Na Kaatna : Pyar Ki Kahani


Mere yaar tu mujse,kabhi kanni na kaatna
Yeh iltaza hai tujse,kabhi kanni na kaatna

Meri koi baat tujko agar acchi nahi lagi
Keh dena dil khol k har baat tu tabhi
Intazar kisi mokhe ka karna nahi kabhi
Naaraj hona ruthna mujse, kabhi kanni na kaatna

Mera bhi vaada hai kuch b na tujse chupavunga
Dil ki har ek baat main tumko batavunga
Tu behaka agar kabhi toh raste pe lavunga
Tu bhi ab keh mujse, kabhi kanni na kaatna

Pyar mein nokh jokh toh hoti hi rehti hai
Nokh jokh se pyar badhata hai Nani bhi kehti hai
Behney de dil mein pyar ki nadi joh behti hai
Keh sagar se mil usse, kabhi kanni na kaatna

Tu Kanni Na Kaatna : Pappu Ki Kahani


Badi muskil se meri ho banni
Tu kanni na kaatna
Oh mere Pappu ki Mummy 
Tu kanni na kaatna

Pappu ne pass kar liya exam matric ka
Teen saal fail ho kam kiya hat trick ka
Pappu k pass hone ki sab se le badai
Dher hi se sahi par mennat toh rang layi 
Mil k puri kar len ge baaki kikammi
Tu kanni na kaatna..............................


Pappu ki waza se jaghra na karna mujse
Bachpane se main pyar karta hoon tujse
Ab Pappu apne beech ki dewaar ban gaya hai
Kyon aurun k jaisa apna pyar ban gaya hai
Chahe reh tanni ki hi tanni
Tu kanni na kaatna..................................


Pappu hi ek din apna naam kare ga roshan
Tayaar abhi se kar lo tum accha sa bhasan
Bill Gates ki tarah se bane ga ameer ik din
Joh nesaane pe lage ga bane ka woh teer ik din
Ooncha kar doonga pooja se sani
Tu kanni na kaatna...............................


Bachhun ki waza se pehle pyar badhta tha
Ab bachhe pati patni mein doori laate hain
Kuch Maaien apne bachhe mein doondati hai Bill Gates
Kuch Baap apne bachhe ko Sachin banana chahate hain
Bachhun pe bahut zayada umeeden rakh k 
Unn ke bachpane ko bhi hum kharab karte hain
Joh kaam hum nahi kar paye apne wqat mein
Unn k kandun pe rakh k unne barbaad karte hain
Isliye Pappu ki Mummy Aa Khelen Rummy
Pyar bhi rakh jinda aur bacchun ko bhi jeene de
Unne apni marzi ko coke pepsi aur paani peene de
Unne khud feshala karne de unne kya banana hai
Unne bhi eahash hai k unne umeedun pe utarna hai
Apni marzi se joh karen ge karen ge dang se
Aur jindagi bhi jiyen ge mann ki umang se
Woh theek rahen ge chahe ho gareeb ya danni
Tu kanni na kaatna....................................



Friday 29 March 2013

Prabhu Tu Hai Kahan ?


Aey Prabhu tere dar pe aa k jukun 
Raat din tere naam ki mala japun 
Tune sab ki bigri banai yahan
Ab muje hai zaroorat tu hai kahan?

Mere mann ki bhi asha poori kar de
Door meri har ik mazboori kar de
Dard ki tu koi toh dava laye ga,
Tere ashirwaad se hi mera dukh jaye ga, 
Tere siva koi bhi nahi mera hai yahan ?
Ab muje hai zaroorat tu hai kahan?

Bachpane se teri bhakti karta hoon main
Bhura kaam karne se darta hoon main
Tere naam le k hi din se suruwaat hoti hai
Tere prathana kar k hi raat hoti hai
Dukhda le k main aur javun kahan ?
Ab muje hai zaroorat tu hai kahan?

Tune sabkuch diya hai muje iss ka sukriya
Tuje yaad kiye bina maine kuch bhi na kiya,
Khusi mein bhi tera simran karun, 
Dukh mein bhi sada teri ass dharun
Tu mera bhai behan hai, baap aur ma?
Ab muje hai zaroorat tu hai kahan?

Gazal : Dheere Dheere

Tu mere dil se nikal jayega dheere dheere
Dil tuje bhool bhi jayega dheere dheere

Wqat k saat kya nahi badalta tu bhi badlega
Tu bhi ghair ka ho jayega dheere dheere

Aaj udasiyun ne tere chere pe dhala hai dhera
Chere khile ga tu muskaraye ga dheere dheere

Pyar chupta nahi chupane se sach hoga apne liye bhi
Paata duniya ko bhi chal jayega dheere dheere

Kaali raatein logon ki baatein jeene na dengi tujko
Sabar tera bhi toot jayega dheere dheere

Kab tak main akele beetapavun ga jindagi "Chahat"
Koi mere pass bhi aayega dheere dheere


Paisa Aur Farz

Neebata raha main farz aur poori kee jimmewariyan
Uthata gaya main karz aur milti gayi bemaariyan
Jab mujko zaroorat padi tab koi na saat aaya mere
Dost bhi jhoote nikle aur kaam aayi na ristedariyaan

Aisse kahani sirf meri nahi, 
Bahut se logon k saat aisa hi hota hai
Pyar mahobat riste naatu mein
Zaroori paisa hi hota hai

Maana paisa zaroori hai par aisa karo
Yeh khuda na banne 
Pyar izzat aur shorat ko chod k 
Insaan issi ko na chunne  

Isse naukar hi rehne do maalik na honey do
Saari duniya mein nafrat k beez na boney do
Door rakhu isse khud se jitna ho sakke
Khawabun aur khayalun mein isse sang na soney do

Yeh itna pardaan hai k mandir se ghar tak is ka raaz hai 
Yeh aaj ki himmat taqat hai yeh sunne jaane wali awaz hai
Sab kuch badalta hai duniya mein 
Rang roop mausam aur shorat
Joh kabhi na badla na badle ga
Paisa aisa ik riwaz hai  

Iss ka hona bhi museebat na hona toh kyamat hai
Agar yeh pass ho toh bemaari se bhi rahat hai 
Jeena marne khana peena sab kuch isse se chalta hai
Par yeh bhi sachai hai imandaari se kam milta hai
Kam mile ya zayada main toh 
Saare farz neebavun ga 
Iss ki ayemiyat jeete jee na samza
Toh phir main mar javunga

Ankhen : Naseele Ankhen

Uss ki ankhun ko dekh k jeena seekha hai maine
Dhuba joh unn mein toh peena seekha hai maine
Jheel se ankhun mein paani nahi saraab rehti hai 
Muje tu pee le madhosh ho ja yeh mujse kehti hai







Uss ki ankhen dekho kitne rang badalti hain
Dekhne ka deekhayee ka woh dang badalti hai 
Nasha fehlati hai jab yeh hoti hai naseele ankhen
Udas kar deti hai jab hoti hain geeli ankhen
Dard jab bharta hai toh saaf dikta hai
Dekhte dekhte hi ho jaati hain deeli ankhen
Inn ankhun ka kya kehna kitne khawab deekhati hai mujko
Kabhi gusse mein lal  aur kabhi pyar mein lagti hai neeli ankhen








Kabhi bulati hain muje apne pass chere ka nimantran pad k
Kabhi muje mouh leti hai isharun se mantar pad k
Maine dekhi hai kabhi kabhi jalan se jalti ankhen
Muje lagti hai bahut acchi singaar karti ankhen 
Kabhi in mein dekhi hai maine pyar ki maang 
Kabhi lagta hai peeye huvi hai ganja ya bhang
Dekhi hai kabhi kabhi maine tadap bhi ankhun mein
Dekh leta hoon dil ki main har ek jalak bhi ankhun mein







Yeh ankhen hain toh mera jeena bhi hai
Inn ki badolat mera peena bhi hai
Yeh ankhen hain toh mere sapne bhi hai
Inn ki waza se armaan mere apne bhi
Yeh na hoti toh pyar na hota
Itna haseen pyar apna yaar na hota
Khuda sada salamat rakhe inn ankhun ko
Jinnu ne bachaye rakha hai meri sasun ko


Thursday 28 March 2013

Phir Se Bahaar Aayegi

Yaadun k gulistan mein, ab phir se bahaar aayegi
Khusboo ki hawaein chalengi, thandi fuwaar aayegi
Jis ne muje dil mein hai basaya, yaad wohi baar baar aayegi

Saare jahan mein uss k siva, koi na aaya pasand
Mann ko bahut baati hai, uss k badan ki sugand
Saare jahan k gum hum bhul jaate hai uss dekh k
Seene se jab lagti hai woh toh aata hai mujko anand
Mujse milne meri mehbooba ho k tayaar aayegi
Kar k singaar aayegi
Khusboo ki hawaein chalengi.................................


Ab tak chupa rakha hai jahan se humne pyar ko
Todh na paye ga koi dil se judhe huve dil k taar ko
Maine kabhi aisa na kiya jis se uss ko dukh mile
Uss ne banaya rakha hai viswash ko aitbaar ko
Sasun mein chupi hai joh hootun pe woh yaar aayegi
Ik baar nahi soo bhar aayegi
Khusboo ki hawaein chalengi..........................................




Adherdbun : Meri Kahani

Adherdbun karta raha main saari jindagi
Phir bhi sulzi nahi ulz gayi yeh pyari jindagi


Main mann ko kush na kar paya
Kiya zazbun ka adherdbun
Main apne hi baare mein soocha raha
Dekhe na dusare k gunn
Mann mein malal hai bahut see baatun ka
Intazar ab tak hai sapnu ki raatun ka
Mann ko na jeeta isliye maine haari jindagi
Phir bhi sulzi nahi ulz gayi...............................




Riste bhi banaye maine kar k adherdbun
Apna bana liye kuch logon ko chun chun
Uss ko banaye rakha joh rista tha kaam ka
Khudgarzi thee har riste mein har rista tha naam ka
Ristun k bhog se ho gayi hai ab bhaari jindagi
Phir bhi sulzi nahi ulz gayi...............................




Dolat shorat k liye bhi adherdbun ka liya sahara
Uss ko bhi chhod diya raha mein joh lagta tha sab se pyara
Daulat kamane k liye kya kya nahi kiya
Daulat bahut kama lee par jeendagi nahi jiya
Ab maut ki kar rahi hai tayaari jindagi
Phir bhi sulzi nahi ulz gayi...............................

Wednesday 27 March 2013

Gantantar Divas : Ek Asha

Aa kuch naya karen, ya phir naya sooch len
Kya kar rahen hain, kya karna hai, iss ka hoosh len
Sradha se manaye isse yeh Gantantar Divas hai
Koi rokh nahi humpe yeh savtantar divas hai

Har saal joh kiya hai humne kuch uss se alag ho
Jaise sapne dekhen hain desh vaisa hi ab ho
Seemayein surakshit rahe aur andar bhi ho shanti
Hum kamzoor hai toot jaye ab yeh bharanti
Aa kuch naya karen..........................

Kewal vaade hi na kiya jayen kuch amli zama ho
Har Krihna k saat khada uss ka Sudhama ho
Har aadmi Ram jaiee maryaada ka paalan kar sakke
Har aurat aise kaam kare k Sita ban sakke
Aa kuch naya karen..........................

Pichle saalun ki galtiyun ko, na phir se doraya jaye
Na Hindu ki jaan ki haani ho, na Muslim ka sarmaya jaye
Har taraf ho aman shanti, sab mil k laden bhook se
Vigyaan itna bade apna k har bemaari chali jaye phook se
Aa kuch naya karen..........................

Sabkuch kar sakten hain hum kyon k hum hai Bharatvasi
Pass hamare hai Ajmer, Amritsar Goa aur Khasi
Himalaya hamara rakhwala hai Ganga se milti hai mamta
Missilun aur toophon ki goonng baati raha hai apni shayamta
Aa kuch naya karen..........................

Software ki baat ho ya mobile ka revolution
Hamare pass hai har problem ka solution
India ka dhanka hai har taraf US ho ya China
Ab hamare wqat aa gaya hai desh ka yeh yeh kehna
Aa kuch naya karen..........................

Bas kyon insaaniyat hamari pe laga hai prasan chin
Par inaan kaise jee sakta hai insaniyat k bin
Hume apni insaniyat ka phir se loha manvana hai
Hum itne sangdil nahi hai samane ko dikhana hai
Aa kuch naya karen..........................

Kha lete hai yeh kaam aaj ki din sab mill k
Pyar se meetayen ge sabhi fasle dil k
Kisi bhi insaan pe koi attyachaar na hoga
Saheedub ka balidaan bekaar na hoga

Aa kuch naya karen..........................

Dard Ko Dil Dhoond Hi Leta Hai

Dard ko mera dil dhoond hi leta hai
Isse chain aaye na, dard k bina
Dosh tera nahi hai yeh naseeb hai mera
Sukh mil paye na, dard k bina

Apne dil pe zakhm khata raha hoon main
Aur vaada joh tumse kiya woh bhi nibata raha hoon main
Yeh aur baat hai tu mera dard meshsoos na kar sakki
Kabhi kabhi dard dil ka tuje dikhata raha hoon main
Tu bhi chhod k chal dee, gamun se jhhod k chal dee
Mera koi ban paya na, dard k bina
Dard ko mera dil.................................

Tu bhi aurun ki tarah hogi yeh na soocha tha.
Dil ko khud se zayada tujpe bharosa tha
Maine kisi ki bhi na sunni na jahan ki na dil ki
Muje tera hone se kahan halaatun ne rokha tha
Bichar k tujse youn toh hoon akela, par yaadun ka bhi laga hai mela
Par tu yaad mujko aaya na, dard k bina
Dard ko mera dil..................................

Premika KI Holi

Rangun ki barsaat hone de, aaj holi hai
Phir se dil ki baat hone de,aaj holi hai
Har rang mein tu nazar aaye, ya tera saya hai
Yeh pyar ka asar hai, ya dil ki maya hai
Door na ja saat hone de,aaj holi hai

Bhool ja aaj k din saari talkhiyaan
Urda k gulal kar le todi see mastiyaan
Armanu k darya ko bhi kar k satrangi
Chala le apne pyar ki tu bhi kastiyaan
Mere sunder chere pe haatun se mal gulal
Badal de meri surat mujko kar de harra lal
Khul k apni dobara mulakaat hone de, aaj holi hai
Rangun ki barsaat hone................................

Akhun mein bhar le phir se sapne sindoori
Mita de jitni aaj mita sakta hai doori
Aisa mokha phir saal k baad hio aaye ga
Tab tak pyar ka rang feeka pad k utar jaye ga
Jindagi k rang mein bhar le pyar ka rang
Ek bhar phir chal k dekh le mere sang
Kisi bhi khusi ki na tu maat hone de, aaj holi hai
Rangun ki barsaat hone..................................

Akhri baar mauf kar le nadiyaan meri
Par sehni pade gi tujko sehtaniyan meri
Meri allad jawani ka rang kabhi na honge feeke
Pyar ka rang naseela hai dekh le tu pee ke
Main bhi toh kab se rangi hoon tere hi rang mein
Jundagi beetani chahati hoon tere hi sang mein
Sitarun k rang mein rangi aaj raat hone de, aaj holi hai
Rangun ki barsaat hone.........................................

Tuesday 26 March 2013

Phir Pyar Se Keh Do Holi Hai

Holi hai Holi hai, khel tu bhi holi,
Holi hai holi hai, bhol pyar ki bholi
Kar de satrangi saara vatavaran, 
Rangun se bhar le tum apna mann
Meheka de khusiyun se ghar aagan
Mita do seene mein joh bhi hai chuban
Phir Pyar se keh do Holi hai
Dushman se keh do Holi hai
Aur Yaar se keh do Holi hai

Holi ko maana loo acche tareeke se
Rangun ko urd loo acche saleeke se, 
Mita k sabhi sikwe gile, lag javo tum sab k gaale,
Joh rang lagwana na chahe, joh gilla hona na chahe
Uss bhi tum maano le sirf teeke se
Phir Pyar se keh do Holi hai....................................










Jise pyar huva ho uss ki satrangi holi hai, 
Jis ka dil toota ho uss ki berangi holi hai, 
Holi youn toh rang bhar jaati hai har ek jindagi mein,
Pyar kar k chaar chand laga do tu meri bhi khusi mein
Aisa tum kargo toh phir changi holi hai, 
Phir Pyar se keh do holi hai........................................










Holi k din udasi acchi nahi hoti, khus ho jaa tu na ho udas
Aur paane ki na sooch, maza le uss ka, joh bhi hai tere pass
Holi ki rangun mein se dhoond le tu, koi apna rang
Akele jeena theek nahi hai, ho ja tu bhi kisi k sang
Purani baatein bhool ja, saza le naye naye sapne
Saat rangun mein kuch rang, ho jaye ge tere apne
Jindagi ko rang le ussi rang mein, joh rang tuj ko baaye
Kisi k rang mein rang jaane se hi, jeewan safal ho jaaye
Phir Pyar se keh de holi hai......................................................

Phir Alag Koi Na Kar Paye Ga

Jaise paani mein rang gulta hai
Vaise tum muj mein aa k gul javo
Jaise dood mein milti hai sakhkar
Tum bhi muj se aa k mil javo
Phir alag koi kar na paye ga
Door hone ka darr bhi jaye ga, 
Phir saat  saat katte gi apni jindagi 



Pichli bahaar ne kyon ujara tha apna chaman
Itni chali hawaein k toota tha mera seese sa mann
Tu bhi kyon chali gayi thee bacha ka mujse daman 
Aa a mere dil k bageeche mein
Ek bhar phir se tum khil javo
Phir alag koi kar na paye ga.................



Tum sans ban k basti ho mere seene mein
Tu ho toh tabhi mazza hai mere jeene mein
Nas nas mein samil ho, dikti ho khoon paseene mein
Phir kis baat pe tum kehte ho, 
Mere dil se nikal javo
Phir alag koi kar na paye ga...............................



Muje tere pass joh layi hai wohi toh khudrat hai
Tuje dil mein mere machalna hai yehi toh mahobat hai
Kisi bhi pal badal janna yeh mausam ki aadat hai
Mujko raat dil yeh darr satata hai
Tum kahin na badal javo
Isliye yehi hai ilzaja muje le k kahin nikal javo
Phir alag koi kar na paye ga.............................

Monday 25 March 2013

Ansun Anmol Hain

Ansuvun ki keemat laga k gaya
Woh samza nahi ansun anmol hain
Joh baat zubaan tumse na keh sakki
Yeh ansun wohi dil k bhol hain

Dil kaisa hai kisi ne dekha nahi
Pyar karne ki koi rekha nahi
Dharkan mein jab koi basne lage
Samjo iss mein koi dokha nahi
Zubaan chup b rahe par jaane jaan
Ankhen khol deti har ik pol hain
Joh baat zubaan...................

Ansu youn hi nahi aate hain ankhun mein
Har ansun ki apni alag hi kahani hai
Yeh khusi mein bhi chhalak sakte hain
Aag lage jis se inn mein aisa bhi paani hai
Dil k har kone mein la sakte hain toofan
Dil k armanu ka yeh bahiri khol hain
Joh baat zubaan..........................

Woh keh k gaya aaj mujse yeh baat
Ansun ka tum chod do ab se saat
Yeh kamzoor insaan ko kar jaate hain
Dard se dil ko bhar jaate hain

Par uss ne dekha nahi hai in ka asli roop
Nahi dekhi hai uss ne jindagi ki chaavan dhoop
Woh kya samje ga mere ansun ka mol
Jis ne pura kiya na kabhi apna bhol

Isliye ansun ki keemat na laga
Yeh kya hain mujko tu na seekha
Maine ansuvun se jeena bhi seekha hai
Aur zaroorat pe peena bhi seekha hai
Kyon ki main jannu ansu anmol hain
Sab na samze inne isliye ghol hain
Joh baat zubaan...................................


Premika Ka Pyar

Muje apna kar pyar kar k, tune ki hai meharbaani
Yeh soochati hoon toh, ankhun mein aa jaata hai paani
Tum mere liye khuda ho, yeh khuda se keh diya hai
Tum hi ab likho ge meri jeewan ki har kahani

Sansun mein tum ho baste, ankhun mein tum hi haste
Teri ik jalak pe kurbaan, mere armaanu k saare daste
Tum ko hi dekh kar subha apni suru karun main
Tu mere saat nahi toh wqat ko kya karun main
Tere saat joh gujre wohi toh jindagi hai
Tere bin joh katti woh jindagi hai bemaani
Tum hi ab likho ge.....................................

Devta jaise tum ho, tum ko khuda hai maana
Puja teri karti hoon muje kabhi na ajmaana
Jaan se zayada tumho pyare, jaan bhi luta doon tumpe
Zaroorat agar pade toh umar apni ghata doon tumpe
Khud se zayada tumpe mujko hai bharosa
Jeewan ki yeh ruth dekho, vaisey hai aani jaani
Tum hi ab likho ge..................................

Main Aaj Bhi Hoon Tera

Muje mil k dekh le, raaz dil k dekh le,
Main aaj bhi hoon tera, dil se nikal k dekh le
Tune barsun pehle mujko chodha tha rahun mein
Aajma le phir se muje, chahe toh chhal k dekh le


Mera kal kaisa tha, koi jaanta nahi hai
Main bhi pyar kar sakta hoon, koi maanta nahi hai
Jaisa choda tha tune, main vaisa hi aaj hoon
Tu sahid pasand na kare, main kal ka riwaz hoon
Main sada aisa hi rahuga, tu badal k dekh le
Main aaj bhi hoon tera.........................


Kal bhi tumare vast,e lutaya tha maine ghar
Aaj bhi kurbaan kar sakta hoon, tere liye apna sar
Bas itni see khawaish hai, diley barbaad ki
Koi kaadi tootne na paye teri yaad ki
Main yaadun ke sahare kaatunga jindagi
Tu sapne jaane jaan kal k dekh le
Main aaj bhi hoon tera...................


















Sunday 24 March 2013

Tanha Raha Tanha Raha

Main tere sehar mein aa k bhi, tanha raha tanha raha
Yaadun se dil laga k bhi, tanha raha tanha raha
Meri tanhai mit na sakki, saare yatan maine kiye
Apna tuje bana k bhi, tanha raha tanha raha

Dusmanu ne zakhm joh they diye, woh wqat ne hi bhar diye
Apnu ne joh gunha they kiye, woh maine hi mauf kar diye
Seene se sab ko laga k bhi, tanha raha tanha raha
Main tere sehar mein aa k bhi ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Tere vaste laut aaya hoon wohin, jahan luta tha mere jahan
Ab zameen bhi pavun mein nahi aur door bahut hai asmaan
Tumpe sab kuch luta k bhi, tanha raha tanha raha
Main tere sehar mein aa k bhi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Nas nas mein tu bassi thee khoon ban k dard k saat saat
Tuje rukh k apna na sakka chalta gaya main farz k saat saat
Sachai tuje bata k bhi, tanha raha tanha raha
Main tere sehar mein aa k bhi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,

Kehte hain nazar ki dooriyan kam kar sakti nahi hain pyar ko
Door reh k bhi dekta tha tuje, kabhi tarsa nahi main deedar ko
Rooh mein tuje chupa k bhi, tanha raha tanha raha
Main tere sehar mein aa k bhi,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,



Rakhi Hai Teri Tasveer

Rakhee hai teri tasveer, chupa k kitab mein
Tu khusboo ban, basa loon ga tuje, dil k gulab mein


Behi khatta logon ka jab khola rab ne, 
Paise shorat aur dohlat maang li thee sab ne, 
Fasela taqdeerun ka jab uss ne kiya, 
Apne haatun se mere naam tuje likh diya, 
Khuda ne tujko daala hai mere hi hisaab mein.
Rakhee hai teri tasveer.................


Tu meri main tera hoon teh ho chuka hai, 
Apna koi bhi kaam kabhi na rukha hai, 
Vaada milne ka kar rahi hai tu mahinee se, 
Hakeekat mein aa k lag ja mere seene se,
Roj aa k tang na kar tu mujko khawab mein
Rakhee hai teri tasveer..................


Apne jasee jhodi kitne yugun mein banti hai,
Hum donu hai diya baati apni na thanti hai, 
Choo k dekha tuje ab tuje choomun ga, 
Pyar ka nasha chada hai saare sehar gumoon ga, 
Nasha pyar ka dal ankhun ki sharab mein 
Rakhee hai teri tasveer..................

Saturday 23 March 2013

Sab K Hisse Mein Chand Nahi Hota

Sab k hisse mein chand nahi hota
Sab ko roshni kahan milti hai
Kaali raatun mein joh lootey jaate hain
Unne phir jindagi kahan milti hai

Chand ko paane ki tamanna mein
Asmaan se hi kahin na gir jaana
Jab sab log tere saat chod denge
Tu chahe toh mere pass laut aana

Muje sada se teri talash rahi hai
Tu aaye gi ek din ass rahi hai
Saare jahan k mehkadun ki meh pee k bhi
Teri ankhun ki muje pyas rahi hai
Tere saat reh k joh paata hoon
Vaisee khusi kahan milti hai
Sab k hisse mein chand...................


Kisi mandir kisi mazid kisi buthkhane se nahin
Maine maanga hai tuje zamane se nahin
Maine khuda se seedhi duva ki hai
Tere liye puja har jagha ki hai

Tujpe meri chahat ka asar ek din hoga
Muskil jeena mere tere bin hoga
Tu nahi toh toh yeh jindagi kis kaam ki
Yeh shoorat daulat hai benaam ki
Pyar tujse karun aur pujun tujko
Sab ko aisee bandagi kahan milti hai
Sab k hisse mein chand........................

Razz Seene Mein Hi Chupa Liya hai

Kuch raaz aise hote hain,
Hamesha rehte hain dafan
Samne aate nahi
Kuch dard aise hote hain,
Dil ko dete hain sakoon
Dil dukhdate nahi

Hum kuch iss tarah k chahanewale hain,
Roj zakhm kha k bhi
Chup rehte hain,uff nahi karte
Aur bhool jaate hain

Humne yeh bhi dekha hai k zazbe sache hote huve bhi
Vaade poore nahi hote, kasme adhuri reh jaati hain
Aur bhand ankhun se dekhe huve sapne
Need khulte hi toot jaate hain

Hum kyon aisa karte hain,Hame pata nahi
Yeh zakhm apnu ne diye hain, Bas itna pata hai
Hum sirf itna jaante hain k hamare dil k liye ya tum ho
Ya tumere zakhmu ka hona likha hai

Tumey paana mere bas mein nahi
Isliye tumara diya dard dil mein basa liya hai
Aur tum kabhi hamere bhi they
Yeh razz apne seene mein hi chupa liya hai

Tu Sans Ban K Dekh Le

Apne aap se tu kabhi bhi, na juda mujko hone dena
Tu sans ban k dekh le, aur hava mujko hone dena

Main tere liye jannat ko bhi chod k aavun ga
Jahanum bhi mila toh tere saat wqat beetavun ga
Tum takdeer ho agar meri, toh khuda mujko hone dena

Pyar kar k pyar paana sab ka nahi muqudar
Sagar ki hai nadiya par nadiya ka nahi sagar
Tu ta-kayamat rahegi jinda, par fanha mujko hone dena

Meri hi apni karni ka mujko phal mila hai
Kabhi dil ko mili hain khusiyaan kabhi ankhun ko jhal mila hai
Apni hi dil ki aagni mein, tu swaha mujko hone dena

Teri izzat bane tu mashoor ho sada tera naam ho
Meri jindagi barbaad ho chahe kuch na daam ho
"Chahat tu saz savar ka aana, aur fidha mujko hone dena

Friday 22 March 2013

Mahobat Dil Mein Palti Rahi Hai

Teri yaad mein subha meri ughi thee
Teri yaad mein sham dalti rahi hai
Na mujko khabar thee na tujko pata
Mahobat dil mein palti rahi hai

Kisi bhi mehfil mein jab main gaya hoon
Tumari hi yaddun mein sada kho gaya hoon
Tere khayalun se karta hoon baatein
Tere sapnu mein katti hai raatein
Sabhi saat mere hote hain lakin
Tumari kammi toh khalti rahi rahi
Mahobat dil mein palti rahi hai

Kya tume yaad hai woh wqat jab tum
Haatun mein mehandi lagaye khadi thee
Kisi k galle mein phoolun ki mala
Pehnane ko tu aage bhadi thee
Tu dulhan ban k dholi mein gayi thee
Meri jindagi toh haat malti rahi thee
Mahobat dil mein palti rahi hai

Mahobat mahobat hoti hai jaanam
Khatam yeh kabhi bhi hoti nahi hai
Chahe log iss pe zulam bhi daayen
Yeh hasti rehti hai rothi nahi hai
Muj pe bhi wqat laaya kitne toofan
Par shamma pyar ki jalti rahi hai
 Mahobat dil mein palti rahi hai

Gazal : Kisi Ki Talash Hai Mujko

Tuj ko pa k bhi kisi ki talash hai mujko
Tu joh nadiya hai phir kyon pyas hai mujko

Tu muje chod k jaye ga veham karta hoon
Tu nahi jaye ga kya jhooti ass hai mujko

Khusiyaan de k tuje lauta toh dekha maine
Aaj phir kar diya tune udas hai mujko

Umeed bhi tujse hai aur naumeedi bhi
Baar baar karta tu hi nirash hai mujko

Aey khuda kisi ko maanga hai tere dar se
Bahane se hai tu laata apne pass hai mujko

Kya huva ik baar aur dil toota 'Chahat'
Tukdun ko jor k jeene ka abyaash hai mujko

Thursday 21 March 2013

Geet : Yeh Bhol Ja K Tuje Hai Pyar Mujse

Main tuje kitna pyar doon, yeh poochta hoon tujse
Tu lab na khol paye toh, phir rootha hoon tujse
Bata kab tak tu apni zubaan na khole gi
Kab mere kannu mein tu mishri goley gi
Kabhi toh mere pass deere se aa k.
Mere kannu mein tu budbuda k
Yeh bhol ja k tuje hai pyar mujse
Yeh bhol ja k tuje hai pyar mujse


Main jaanta hoon tere liye yeh bholpaana
Muskil hi nahi namumkin ho gaya hai
Main jaanta hoon tere pyar ka lava
Kabhi utha tha ab so gaya hai
Magar main bhi toh zid pe adra hoon
Tumare samne le k dil khada hoon
Roz tumse ek hi baat ki hai
Mahobat bas tumare saat ki hai
Zubaan se na sahi ankhun se khe k
Pass aa k muje sansun se keh k
Jodh dena tu dil k taar mujse
Yeh bhol ja k tuje hai pyar……………………


Chup rehna hai teri aadat purani
Badal de iss ko ab jaldi se rani
Kisi ghair se tuje kuch kehna nahi hai
Mahobat ka matlab chup rehna nahi hai
Mahobat bayan na ho toh kya hai mahobat
Ibadat ki tarah hai khuda hai mahobat
Tub hi apne labun se naam le le
Badle mein dil ka enaam le le
Zubaaan se na sahi ishara hi kar de
Ooncha tu mere sasun ka paara hi kar de
Karna pyar tuje hai baar baar mujse
Yeh bhol ja k tuje hai pyar ………………

Tasveer Dil Ki

Ankhun se na khinchee jaye gi tasveer dil ki.
Dil se hi mehsoos hoti hai taseer dil ki

Sabkuch fanah ho sakta hai lut sakta hai
Koi chura nahi sakta magar jageer dil ki

Ranje se roothe naraaz ho jaye ho sakta hai
Par bhurai kar nahi sakti kabhi bhi heer dil ki

Agar tootna hai isse toh apne hi tohden ge
Koi badal nahi sakta yaahn takdeer di ki

Joh pass rehte hain woh bhi na dil ko samjen
Keemat kya laga paye ga koi rahageer dil ki

Tere pavun mein kabhi bhi na chube ka kanta
Dua de kar gaya tha "Chahat" tuje fakeer dil ki


Kahan Gayi Woh Baat

Woh baat joh muje tere kareeb layi thee
Woh baat jis ne muj mein wafa jagai thee
Woh baat jis ki waza se maine maine tuje tha apnaya
Woh baat jis ne tera muje, aur mera tuje banaya
Kahan gayi woh baat, kyon tuj mein ab woh baat nahi
Kyon ab pass reh k bhi, hum donu alag hain saat nahi

Raat din saat rehna ban k ajnabi,
Kyon aisee ho gayi hai apni jundagi
Kyon tere dil ki baat tere labun pe aati nahi
Kyon pyar ka purana geet tu ab gaati nahi

Ajeeb see khamosi chayee hai apne darmiyaan
Cheerne laga hai dil ko khamosiyun ka bolta toofan
Mere khayal kyon door tujse le jaate hai muje
Ab mere saat chalta hi nahi teri yaadun ka karwaan

Ek kadam ki doori ko bhi hum paar kar paate nahi
Teri ankhun k nimantaran ab muje kyon aate nahi
Sang sang toh rehte hain hum, par hoti mulakaat nahi
Kyon ab pass reh k bhi..............

Subha hamari ab vaise nahi jaise hoti thee kabhi
Takiya Kambal Chaddar gahir lagte hai ab sabhi
Ek kamre mein ek bistar par gujar k saari raat bhi
Sab kuch karte hain par, khash karte dil ki baat bhi

Din tere mere apne pane daftar mein gujarta hai
Sham hone tak kuch dil mein obalta aur sulagta hai
Ghar aa k bachun se kuch battein kar latey hain
Halki see thodi hum apni sansen kar latey hain

Phir wohi khamosi aa jaati hai tere mere beech mein
Pyar oonde moun ghirta hai hum done kheench mein
Khul k dil ki baat karen hum, kyon aisa talukaat nahi
Kyon ab pass reh k bhi..............

Kahan kho gayi hai woh baat, tum bhi kuch toh baat karo
Purana gujra sab kuch bhula k, nayi koi suruwaat karo
Kisi ne cheene kisi ne chori kee nahi uss baat ki
Baat ban gayi hai ab yeh jeene marne k halaat ki
Phir se wohi baat tum kar lo, anchal ko khusiyun se bhar lo
Kuch bhi abhi nahi bigra hai, kuch bhi abhi nayi khoya hai
Abhi bhi foot k phal sakta hai, beej pyar ka joh boya hai

Saari galatfemeyun ko saare bhure khayalun ko
Aaj ghar k bahir hi tu chod k aana
Phir se apne dil ki sunn k, phir se naye sapne bunn k
Apne dil ka mere dil se rista jodh k anna
Dekhna phir woh baat phir se aa jaye gi tuj mein
Tuje toot k chahane hi 'Chahat" phir se aa jaye gi muj mein.

Wednesday 20 March 2013

Baat Ulaz See Gayi

Apni deewarun pe ajnabi logon k saye
Main bhi heraan hoon kis tarah se aaye
Ghar ka bedhi hai koi ya koi dushman
Baat ulaz see gayi hai samaz an aaye

Kisi apne ne agar yeh kaam kiya hoga
Kuch na kuch kunsaan ghar ka hoga
Par yakin hai mujko apne k dil mein
Khayal apni izzat ka sar ka hoga
Isliye lagta hai apne ka haat nahi hoga
Apna koi dushmanu k saat nahi hoga
Hum apas mein lad sakte hain par dushman ka
Saat de kar ghar ko badnaam na hone denge
Apnu ki need urd sakte hai gusse mein aa k
Par kisi ghair ko apne aagan mein an sone denge
Yeh nahi ho sakta k hum royen dushamn muskaye
Baat ulaz see gayi hai samaz an aaye

Dushman yeh kaam kar jaye itna aasaan nahi
Apni taqat ka andaaza uss ko hai kab se
Kisi se dushmani agar ki toh neebai hai
Youn toh hum hamesha pyar hi karte hai sab se
Jaan bhooj k na yeh kaam kiya ho kisi ne
Hum itni see dava bhi karte hai rab se
Talwaren khich na jayen iss se darta hoon
Isliye sachai ko doondane ki chah hai mujko
Yeh khuda sach kya hai yeh bata de mujko
Kahein yeh chalawa ya mithya na ho aisa laga hai mujko
Kabhi kabhi hota kuch aur hai par kuch aur nazar aaye
Baat ulaz see gayi hai samaz an aaye

Apne ghar ko kitne chav se banaya hai maine
Ek ek cheez ko tareeke se sazaya hai maine
Apne khoon paseene ki kamai ko laga k
Apne gharwalun ki ummedun ko jagya hai maine
Raat din ek kar k deewarun ki chanai ki hai
Ankhun k paani se kone kone ki safai ki hai
Jawani k rangun se rang dil se bhare hai iss mein
Be Dili se kuch na kiya koi na bewafi ki hai
Ghar mera dekh k dost dushman sab kehte hain
Sita k saat saat Ram bhi yahan rehte hain
Gita k salokun ki awaz subha sham aaye
Baat  phir kyon ulzi yeh bhi samaz an aaye

Kitna Dard Dil Ko Dega

Kitna dard dil ko dega aur kitna mujko tadpaye ga
Mere mehboob ko kabhi toh mujpe tarsh aaye ga
Uss din ka intazar kab se main kar raha hoon dekho
Jab chere k saat saat mera dil bhi muskaraye ga

Pyar itna kiya hai usse jitna khud se bhi nahi mujko
Uss k elaava koi aur kabhi na laga sahi mujko
Har insaan galat hai uss k siva dil kehta hai
Ek pal ki doori ab yeh nahi sehta hai
Jitna nazrun se rahe ga door utna hi pass aaye ga
Kitna dard dil ko........................................

Mera uss ka rista kya hai kaisa hai main na jaanu
Itna teh hai k main usse poojun aur rab hi maanu
Koi usse dekh na paaye seene mein chupaya hai maine
Kuch is tarah se sansun mein basaya hai maine
Woh muje chod toh sakta hai par na bhool paye ga
Kitna dard dil ko.......................................

Joh bhi lamhe uss k sang gujre woh yaadgaar bane hain
Aissay mokhe meri jindagi mein baar baar bane hain
Ang ang pe unn k likha hai mera naam pyar ne
Hum dharkan mein samil hain dil ka taar bane hai
Ab apni yaadun se mujko woh kaise mitaye ga
Kitna dard dil ko..................................

Muje Tu Pyar De Dena

Tere pyar ko rakhun ga dil mein sada chupa k
Muje tu pyar de dena thoda aur azma k
Kisi k samne kabhi tera naam na main loonga
Yeh vaada main karta hoon teri hi kasam kah k

Pyar paana ya khona nahi, pyar haasna ya rona nahi
Zara se thesh se toot jaye. pyar aisa koi khilona nahi
Pyar dil ki ik baat hai, pyar apne pan ka aishash hai
Pyar mein door ho k bhi, koi rehta dil k pass hai
Pyar mein kisi ko yaad, kiya jaye sab ko bhula k
Muje tu pyar de dena..........................

Arzuven pyar mein toh machal machal k khilti hain
Umeedun uran bhar k phir asmaan pe milti hain
Armannu ko mil jatta hai chupa chupi ka bahana
Tamannayen toh dil ko bataye bina hi nikalti hain
Tuje bhi pyar mil jaye. duva karun main haat utha k
Muje tu pyar de dena..................

Tere zara sa pyar le k jee javun ga umar saari
Phir chahe dekh na pavun kabhi surat main tumari
Tu baaki ka pyar apna jis pe bhi chahe luta de
Main kabhi bhi na laandunga tere dil ki chardewaari
Tujko yeh bhi haq hai jisse rakhe tu apna bana k
Muje tu pyar de dena........................

Tere pyar yaadgaar ban k rahe ga mere dil mein
Raat din khoon ban k bahe ga mere dil mein
Iss maine kasam dee hai yeh meri maanta hai
Chup chap hi rahe ga, na kuch kahe ga mere dil mein
Isse sada khus rakhun ga khusiyun se behla k
Muje tu pyar de dena..................................

Tuesday 19 March 2013

Tere Gum K Siva

Tere gum k siva mere pass, koi gum nahi hai
Pyar mein tune joh bhi diya,woh kam nahi hai
Tere saat youn judha hoon jaise phool se khusboo
Juda kar de hume koi, kisi mein dam nahi hai

Tere sikwe aur gile kitne accche hain,
Tera naraaz hona rooth jaana pyar ka hi silla hai
Teri minnatey karna bhi accha lagta hai muje
Dard bhi chain deta hai joh tujse mila hai
Teri galtiyaan b hass k mauf karta hoon
Zakhm joh tune diye, dil unn se bhi khila hai
Tadapta hai dil mera, par ankh nam nahi hai
Pyar mein tune ........................................

Joh bhi vaada kiya tune woh neebaya na
Kasam khud kha k thoodi hai tune
Khud se roz ladi ho tum meri khatir
Aadat phir bhi na koi apni chodi hai tune
Kisi ne tumko kabhi bhi na koi dard diya
Dard se dil ki taar khud hi jhodi hai tune
Door phir bhi tujse jaata, mera kadam nahi hai
Pyar mein tune ........................................

Joh Bhi Khuda Ne Diya

Muje joh bhi khuda ne diya, kaafi hai mere vaste
Aur galti bhi ho jaye toh. maufi hai mere vaste
Uss ne joh bhi diya muje main khus ussi mein hoon
Saatan saneel na bhi mile, toh bhi taaki hai mere vaste

Muj ko dee hai uss ankun mein roshni
Saare jahan ko dekh k paata hoon main khusi
Uss ne diiye hain mujko sunnne k liye kaan
Acchi bhuri har baat sunn sakta hoon sunni
Mere jubaan bhi toh uss ki niyamat hai
Marzi hai accha bholun ya karun kaha sunni

Chalne ko diya pavun soochane ko diya deemag
Dil de kar kiya uss ne poora hisaab kitab
Sooch, samj, vivek bhudi kya kya nahi diya
Apna jaisa muje bana k sab kuch sahi kiya
Mere jeene peene khanne ka bhi hisab kar
Kuch hisssa kutte ko diya,aur baaki hai mere vaste
Muje joh bhi khuda ne diya .............................
Main uss ka sukriya karta hoon har hall mein
Ussi ne meri jawani k solamey saal mein
Pyar kara diya kisi se main kisi pe mar gaya tha
Thoba thoba karte karte main sabkuch kar gaya tha
Deewani koi meri bhi huvi thee aisa bhi waqt aaya
Wqat ne hume khud hi pyar ka geet sunaya

Pyar mein gahil ho gaye toh sahyar ho gaye they
Bareeki se sab cheez ko dekhne mein mayir ho gaye they
Lakin phir achanak hi sapna toot gaya
Kismat rooth gayi apna saathi chooth gaya
Ab akela jee raha hoon sharaab k sahare
Dil behlane ko aur kuch nahi, saakhi hai mere vaste
Muje joh bhi khuda ne diya ...............................