Thursday 14 March 2013

Behne De Ansuvun Ko


Behne de ansuvun ko, nikal jaane de bharass dil ki
Peene se ansuvun ko, na buje gi pyas dil ki

Kuch tujse keh k main, kyon bharavun dil ka bojh
Main kar raha hoon kab se, khud hi khud ki khoj
Tujpe yaakin kar k khaye hai kitne dokhe
Main phir bhi deta rahun ga, tuje jeene k saare mokhe
Tune phir bhi roj todhni hai, har ek ass dil ki
Peene se ansuvun ko.................................

Tere pass aa k koi bhi insaan, jaata nahi hai khali
Maine maang k bhi kuch na paya, badnasseb hoon saawali
Jaisay bhi karta hai tu takdeeren sawarta hai
Tu zawariyun ki tarah se dil jeetata haarta hai
Khudaya tune toh bana lee hai,  kyon taash dil ki
Peene se ansuvun ko.................................

Pyar k liye kis kis darwazey pe ja ka lauta
Maang maang k maine kar diya khud ko chhota
Logon ko dekha maine mitti ko bechtey
Main khoon bhi na bechh paya naseeb nikla khota
Ab khud hi chod dee hai, maine har talash dil ki
Peene se ansuvun ko.................................

Jeene ki cha mein maine kya kya nahi kiya hai
Ab lag raha hai mujko kuch bhi na sahi kiya hai
Dard ko khatam karte karte dil ko hi maar daala
Joh karna nahi tha phir bhi maine wohi kiya hai
Kyon mujse uthai na jaye, ab yeh halki laash dil ki
Peene se ansuvun ko.................................

No comments:

Post a Comment