Friday 1 March 2013

Tere hi Rang Mein


      Tere hi Rang Mein

Main tere hi rang mein rang javungi
Har jagha ab tere hi sang javungi
Pyar karungi tujse naye andaz mein
Pyar ko de k naya dang javungi

Mere yovan ka agar tujpe huva na asar
Akele hi tu jindagi karna chahe basar
Tujko apni bahun mein laane k liye
Main na chodrun ki koshish mein koi kasar
Tapasaya teri kar k bhang javungi
Main tere hi.......................................

Yovan ko chod, dekh gunn mere mann k
Main toh asmaan se aayi hoon teri hi ban k
Mann ki har bhavana karti hai yeh kamna
Jab bhi yovan mile ho tumse saamna
Jodh k tere ang se main ang javungi
Main Tere hi .........................................

Tere saat jeena agar muskil huva
Amrit jindagi ka peena muskil huva
Zehar se hi kaam chala loon gi main
Maut ko hi apna bana loon gi main
Kar ke duniya ko main dhang javungi
Main tere hi......................................

---------------------------------------------------
Tujko duva main doonga, tuje badduva lage na
Joh saza tu seh rahi hai,tujko saza lage na
Saari jindagi ka safar tu, mere hi sang kaatey
Ik pal bhi jindagi ka, tuje bemaza lage na

Main apne har vaade ko, jaan pe khel k karunga pura
Tu bhi apni kisi kawahish ko, na rehne dena adhura
Tu jaisee bhi hai mujko jaan se hai pyari
Tu sada aisee hi rehna tuje kasam hai hamari
Duniya k badalte roop ki, kabhi tujko hawa lage na
Tujko duva.....................................

Janmu k baad ab tum, phir se milli ho mujko
Duniya se chupa kar, ab rakhna hai maine tujko
Tere saare zakhmu ko pyar ki, marham se bharun ga
Saare jahan se zayada, tuje pyar main karun ga
Ta ki mujse door jaane ki tuje koi waza lage na
Tujko duva..................................

No comments:

Post a Comment