Tuesday 19 March 2013

Khudgarz Hai Aadmi

Apne liye jiye aur apni hi baat kare, khudgarz hai aadmi
Loot k mang k, jaise bhi, apna ghar bhare,khudgarz hai aadmi

Dukhi ko kar k aur dukhi, mazloom ko loot k
Insaan paisa kamata hai shahare le k jhoot k
Dalali dharam ki ab nahi, koi baat sarm ki ab nahi
Namardi k iss daur mein, hakoomat garm ki ab nahi
Riste hani sab aamirun se, gharib ka leta nahi koi naam ab
Ummedun k khafale sadakun pe, lutey hai subha sham ab
Bhure se bhure kaam woh, kar raha hai sarre-aam woh
Chahe phir woh bhuri maut marre, khudgarz hai aadmi

Khudgarzi ghar se hoti hai suru, bhai bhai ka ab hai kahan
Beti Ma se, Beta Baap se izzat se baat kab karre yahan
Pyar bhi bache karte hai ab dekh k bangla aur Gaadi
Ab sanskaar aur  bhavnavun  pe paisa ho gaya hai bhari
Riste naatun ki zameen pe paisa ka pavun pada aisa
Kuch karne nahi deta yeh, samne sab k khada aisa
Paisa ho gaya hai khuda, yehi hai sab dukhun ki waza
Yeh jaan k bhi khuda se na darre, khudgarz hai aadmi

Khudgarzi haamare khoon mein hai muje aisash hota hai
Kar k isse chahe har aadmi khus nahi nirash hota hai
Phir bhi jeene k liye jab aati hai muskilen kar jaata hai
Karne k baad insaan apni nazrun se bhi ghir jaata hai
Kabhi apne liye kabhi apnu k liye khudgarzi kaam aati hai
Jab dusurun ki sunn sunn k kuch nahi hota, tab marzi kaam aati hai
Apni marzi se joh hoga, woh apne liye hi hoga
Jaante huve bhi na reh paye parre, khudgarz hai aadmi



No comments:

Post a Comment