Sunday 10 March 2013

Ab Aage Kya Karunga - A Romantic Love Song

Mujse zayada tujko koi pyar na kare ga
Jitna kiya hai maine intazar na kare ga
Tuje itna pyar kiya hai, heraani ho rahi hai
Ab aage kya karunga, paresaani ho rahi hai

Barsun k intazar k baad, tuje apna bana sakka hoon
Hakeekat kab bano gi, abhi sapna bana sakka hoon
Muje darr hai tuje pa k kahien kam ho jaye na zanoon
Kahan se milla ga ab mere armanun ko sakoon
Uss pe sitam yeh k tu bhi meri deewani ho rahi hai
Ab aage............................................................

Muje darr hai intaha tak ja k mera pyar rukh na jaye
Gilli dil ki zammen ka kahein paani sookh na jaye
Tere tan badan se meri jitni huvi hai mulakaatein
Keh de hai maine tumse iss dil ki sabhi baatein
Main bhi ho raha hoon daana, tu bhi sayanni ho rahi hai
Ab aage............................................................

Jab tak tu na milli thee kisi haseena ko na tha dekha
Maine dekhna chuna choomna sab kuch hai tumse seekha
Tere mere beeche k bandan youn toh bade hai gehre
Phir bhi tu karti rehna meri dil ki talab k pehre
Ankhun se hi ab dil ki nigraani ho rahi hai
Ab aage............................................................

Pyar jitna badh raha hai de raha ha maza ajab sa
Teri seene se lag k muje aaye sakoon gajab sa
Umar k badne se kyon bad rahi hai meri jwaani
Teri na sunni kabhi na teri na kabhi na maani
Teri ankhun ki sharaab bhi purani ho rahi hai
Ab aage............................................................

No comments:

Post a Comment