Saturday 9 March 2013

Mere Ho Na Paye

Tarak diye, minnatein ki, falsafey bhi sunaye
Phir bhi woh ghair ho gaye, mere ho na paye
Dil toota, ruswai mili,, zakhm bhi khoob khaye
Naik neeyati,sache zazbe, kuch bhi kaam na aaye

Mahobat jis ko kehte hain aaj kal milti nahi
Yeh low hai aissee naik dilun aajkal jalti nahi

Sachai imandaari wafa ab mahobat mein kahan
Dokhe behayai bewafai ka daur hai yahan

Zismun tak aa k rukh jaate hai armaan sabhi
Zazbatun ki duniya se sab ho gaye hai ajnabi

Mahobat toh bik rahi hai shaare aam bazarun mein
Nadiya reh nahi paati ab apne kinaru mein

Jhoote farebi matlabi, ho gaye kamyaab
Imandaar ho k bhi hum kuch na kar paye

Gazal

Mere dil ko joh diya tune, woh dard purana hi theek hai
Anjaan dushman se kya laden, jaana pechana hi theek hai

Aaj mudatun baad mere dil ne yeh mujse kaha
Joh chod k chala gaya hai, usse bhulana hi theek hai

Dil ko dard k haatun hi aani hai maut teh hai
Tera aana dard badaya ga, tera na aana hi theek hai

Jhoot bhol k pyar kiya tune, jhoot bhol k saat choda
Sach bhol k joh saat na chala, woh zamana hi theek hai

Teri mehfil mein roj roj ruswa ab huva jaata nahi
Is se bethar meri tanhai ka veerana hi theek hai

Jissey jaan hum samajte they wohi Jaan le gaya
Ab jee k kya kare ge mar jaana hi theek hai

Yeh kaisa pyar ka daur hai k chahanewalun k liye
Tadapna bhi theek lagei aur tadpana bhi theek hai

Sach bholne se toot sakte hain aur bhi keien dil 'Chahat'
Aissey haalaat mein jhoot bhol k dil bachana hi theek hai




No comments:

Post a Comment