Friday 15 March 2013

Mera Chand Rootha Hai

Sitaro tum chale javo, mera chand rootha hai
Koi toh hogi naarazgi, joh ho k maand rootha hai

Mera chand bahut pyara hai wohi mera sahara hai
Dhor k hamesha woh aata hai maine jab bhi pukara hai
Meri khusi ki khatir uss ne chandi bhi lootai hai
Dil k asmaan mein mere liye jagha bhi banai hai
Main jab bhi roothi hoon uss ne mujko manaya hai
Galti jab bhi ki maine pyar se sabkuch samjaya hai
Aaj yeh kaise ho gaya k woh rhuth gaya mujse
Sahid uss se kiya vada koi toot gaya mujse
Dekho todh k sabar ka woh, har bhand rootha hai
Sitaro tum chale javo, mera chand rootha hai

Main aaj us ko manane k liye kuch bhi kar loongi
Woh chahe toh jholi ko kaantun se bhar loongi
Zakhm kha loongi seene pe dard dil se laga loongi
Jaise bhi karna pada main uss ko mana loongi
Mere chand phir se chamke ga felaye ga roshni
Main apne haatun se uss ko parosun gi har ik khusi
Uss ko khus dekh kar mera mann bhi machal jaye
Aur woh kabhi na roote ga mujse vaada bhi ho jaye
Karele ki tarha se rootha, kyon nahi ban k khand rootha hai
Sitaro tum chale javo, mera chand rootha hai

No comments:

Post a Comment