Sunday 10 March 2013

Bhajan

Aey Prabhu tumse viniti,yehi hai
Ussi rah chalana, joh rah sahi hai
Kabhi teri marzi bina, kuch karun na
Wohi baat maanu, joh Gita mein kahi hai

Joh yaad tumko raat din kare hai
Dukh dard se phir woh na darre hai
Jab jab insaan tujko hai bhula
Jhal na sakka uss k ghar ka chula
Daridhar uss se ghar se kabhi bhi na jaye
Tuje bhog lagaye bin joh bhi roti khaye
Teri daya jis pe bhi barsi
Uss k ghar dood ki nadia bahi hai


Tuje joh na pooje woh dar dar hai bhatka
Trishanku ban k mazdaar mein woh latka
Uss ka aasaan nahi koi bhi rasta hoga
Jis ka tumse Prabhu na koi rista  hoga
Manjil khud chal k aaye uss k daware
Tera naam joh ik baar bhi pukare
Mere bhi gunah mauf kar de
Meri bhakti bhi abhi toh nayi hai

1 comment: