Monday 4 March 2013

Paana Aur Khona

Rulane walun ko rohna bhi aana chahiye
Needen joh uratey hain unne sona bhi aana chahiye
Pyar koi khel nahi jeeene marna ka hai sawaal
Sansun mein sasun ka phirona bhi aana chahiye

Lagan ho sachhi toh nadiyun ko rokh sakte ho
Kaam se pyar ho toh saari taqaat jhokh sakte ho
Mill jaye ge tuje manjil,rahein na rahengi muskil
Dil mein imandaari ho toh khud ko bhi tokh sakte ho
Jeena chahate ho toh marna bhi aana chahiye

Andhere hota hai toh chand bhi nikalta hai
Haarne k baad hi milti yahan safalta hai
Shamma ko panne k liye bhanvara khusi se jalta hai
Bina kuch khoye duniya mein kuch bhi nahi milta hai
Pyar k badle mein kuch khona bhi aana chahiye

Koi aisee raat nahi jis ki koi kahanai nahi
Behke ya bhatki na ho aisee koi jawaani nahi
Jis ki jindagi mein kalnayak na ho aisa nayak kahan
Jis ka koi kal na ho aisee bhi koi rani nahi
Daaman pe daag lage toh dauna bhi anna chahiye

Har ek insaan ko apni ladai khud hi ladni hai
Muskilun se joogh k hi jindagi teri savarni hai
Kisi ke sahare na reh khud ka sahara ban ja
Aisa karne se hi takdeer teri badalni hai
Jindagi agar bhog hai toh ussey dhona bhi aana chahiye

Kisi acche insaan ki kab se talash hai mujko
Samundar pee jaavun ga itni pyas hai mujko
Khel javun ga mein jaan ki baazi pyar mein
Koi mera saat zaroor dega yeh bhi ass hai mujko
Saamne mera dil ka khilona bhi aana chahiye

No comments:

Post a Comment