Wednesday 6 March 2013

Sapne

Sapne

Khuli ankh se hi maine, dekhe hain saare sapne
Sab ki tarah mujko bhi, lagte hain pyare sapne
Kuch sapnu k peeche, lagi hai tamaam duniya
Kuch sapne toot k, huve hain be-sahare sapne

Sapnu mein ik chamak hai
Aasavun ki bhi jalak hai
Poore agar ho jayen
Phir zammen bhi falak hai
Sapnu ko dekh kar hi, ummedun ka jahan basse hai
Sapnu ki ass mein hi dhukhi mann bhi hasse hai
Kaayam sapnu se hi hai, mere sapnu ki duniya
Sapne sanjo k hi dekhi hai, maine apnu ki duniya
Kaali raatun mein bhi bante hain, chamakte sitare sapne
Sab ki tarah......................................

Sapne kisi kisi k hi
Hotey hai yahan poore
Maine bhi duva khee hai
Na armaan rahen aadure
Sapnu k tootne se dil bhi toh toot tey hain
Aisey haalatun mein toh apne bhi rooth tey hain
Ansu aate hai aur mehnat pe, pad jaata hai phir paani
Kisi ka bachpan rhota hai, kisi ki barbaad ho jaye jawaani
Phir bhi kisi k haat na aayen, yeh toh hai banjaare sapne
Sab ki tarah......................................

Tu bhi toh thee mera sapna
Joh bikhra toot k hai
Kisi dusare ki duniya main
Chala gaya tu rhoot k hai
Teri yaad muje sataye tere bin jiya na jaye
Jeewan ab hai amrit. par tuj bin piya na jaye
Koi din nahi hai aisa joh tu mujse na milli ho
Ummedun ki ho bahaar tum, armanu ki kali ho
Muje aaj bhi karte hain,kyon tere ishare sapne
Sab ki tarah......................................



No comments:

Post a Comment