Saturday 16 March 2013

Tasalli Nahi Huvi

Do pal k deedar se, tasalli nahi huvi
Aaj mil k apne yaar se, tasalli nahi huvi

Woh bhi jaldi se aaye, main bhi jaldi se aaya
Na dhoop mein chal saake, na payi pedh ki chhaya
Na yeh dekha kis kis ne, hum ko dekha saat
Na ankhen mila sakke, na haatun se mille haat
Itne bebas rahe donu , wqat aa k chala gaya
Ek pal k liye sapnu ki tarah, hume mila k chala gaya
Urthi see wqat ki dhaar se, tasalli nahi huvi
Aaj mil k apne yaar se....................

Kuch pallun ki mulakaat mein kuch bhi na kar sakke
Na galle hi lagaya unnko na bahun mein bhar sakke
Na yeh pooch paaye, aaye ho bana k kya bahana
Na dekh paye unn ka, muje dekh k muskarana
Jaldi jaldi duva de kar, hum vapis aaye dhor k
Dukh bhi huva kyon chale aaye, unne akela chod k
Aaj aisay mile pyar se, tasalli nahi huvi
Aaj mil k apne yaar se....................

Kuch ajeeb see mulakaat huvi hai apni aaj
Na kuch  ho sakke na hum huve naaraaz
Aankun se bhi baat na huvi na labh hi hill sakke
Jaisay hamesha milte they vaise na mill sake
Aaj pehli baar sahi wqat pe aaya mera yaar
Aaj pehli baar maine na kiya lambha intazar
Chotte se intazar se, tasalli nahi huvi
Aaj mil k apne yaar se....................

No comments:

Post a Comment